Ghazal :Ahmad Ali Barqi Azmi
Mera junoon e shauq kidhar le ke aa gayaa
Manzil pe mujhko azm e safar le ke aa gayaa
Maloom kya tha apna dikhayegi rang woh
Apni balaa e jaaN ko maiN ghar le ke aa gayaa
Teer e nazar ka sah na saka us ke waar jab
Main saath apne dard e jigar le ke aa gayaa
Tooti kamand e shauq meri haaye kis jagah
Main dekhta raha woh samar le ke aa gayaa
Is baar mutma'in tha ki aayega woh zaroor
Itne meiN namah bar yeh khabar le ke aa gayaa
Us ka na intezaar karo woh a aayega
Laana mujhe guhar tha sifar le ke aa gayaa
Gul ho gaya chiraagh e tamanna shab e firaaq
Mian khaali haath deedah e tar le ke aa gayaa
Mujh ko bahut aziz hai Barqi woh is liye
Ilzaam uska apne main sar le ke aa gayaa