Ek Nihaayat Aham Guzaarish

Taazah bataazah adabi khabreN
Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Ek Nihaayat Aham Guzaarish

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-Urdu: tasleemaat!

is Khat^ kaa maqSad aap se ek nihaayat hee aham guzaarish karnaa hai. Internet par Face Book se ham sab hee waaqif haiN. wahaaN un zabaanoN kee fehrist dee gayee hai jin meN Face Book sahoolat mayassar hai. Hairat kaa maqaam hai keh in zabaanoN meN Urdu naheeN hai jab.k yeh dunyaa ke taqreeba" 400 million ashKhaaS kee zabaan hai. hamaaraa farZ^ hai keh ham Face Book ke arbaab-e-Hal-o-a'qd se Urdu ko apnee zabaanoN meN shaamil karne kee guzaarish kareN.

Face Book ke SafHeh ke neeche un kee Help Line hai. aap wahaaN jaa kar Suggestions meN jaa kar ek muKhtasar lekin waaZeH Khat Urdu kee wakaalat meN likheN. is kaa Zikr Z^aroor kareN keh Urdu taqreeba" 400 million aadamee dunyaa meN bolte haiN. jab ham meN se har shaKhS is kaam ko farZ^ samajh kar apne waqt meN se 5 minute Urdu kee falaaH meN lagaaYe gaa to yaqeena" Face Book waale Urdu ko woh maqaam deN ge jis kee woh mustaHiq hai.

aap se iltimaas hai keh pehlee furSat meN is tajweez par a'mal farmaaYeN aur Face Book par naz^ar rakheN keh is kaa kyaa nateejah niklaa. shukriyha!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Ek Nihaayat Aham Guzaarish

Post by sbashwar »

MoHtaram Sarwar A. Raz SaHeb
:salaam2:

Khat ke zariye tawajeh dilane ka shukria.
Maine fauran Facebook par guzarish kardi hai.

:jazak:
سالم احمد باشوار
Post Reply