Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Allamah Iqbaal kii shakhsiyat unki shayeri falsafe aur mazmoon aapke yaa kisi aur ke mazameen se iqtibaas

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Post by yasir shah »

assalaamoa'laikum!


aik kitaab kaa iqtibaas paish-e-khidmat hay

________________________________________________

aik rauz Hakeem Ahmed Shujaa' Allaamah Iqbaal ke makaan par pahunchay to Allaamah ko bahut ziyaadah fikrmand, maghmoom aur baichain paayaa -Hakeem SaaHib ne ghabraa kar daryaaft kiyaa,"khair to hay ? aap aaj khilaaf-e-ma'mool bahut ziyaadah muZt'arib aur paraishaan naZ'ar aatay haiN" Allaamah ne khaaS andaaz maiN naZ'raiN oopar uThaa.eeN aur Gham.anGaiz lahjay maiN farmaayaa:

"Ahmed shujaa'! yeh sauch kar maiN akcar muZt'arib aur paraishaan ho jaataa hooN keh kaheeN mairee u'mr rasoolulllaah Sallallaahu a'laihi wa aalihee wa sallam ki u'mr se ziyaadah nah ho jaa.ay"
---------------------------------------------------------------------------(rauzgaar-e-faqeer az faqeer Waheeduddin)

i'shq-e-rasool Sallallaahu a'laihi wa aalihee wa sallam ke aaeenah daar Iqbaal ke yeh ash'aar bhee paRhiyay:


ho nah yeh Phool to bulbul kaa tarannum bhee nah ho
chaman-e-dahr maiN kalyoN kaa tabassum bhee nah ho

yeh nah saaqee ho to Phir mai bhee nah ho khum bhee nah ho
bazm-e-tauHeed bhee dunyaa maiN nah ho tum bhee nah ho

kheemah aflaak kaa istaadah isee naam se hay
nabZ-e-hastee tapish aamaadah isee naam se hay


______________________________________________________________
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Post by munir-armaan-nasimi »

Masha'Allah... Subhan'Allah... Kya Khoob Farmaya Dr.Iqbal ne....

Kaash... Rasool-e-Maqbool (S.A.S) Kii Hayaat-e-Mubareka se, unki SunnatoN ka bhi utna hi khayaal karte.... jitna Huzur ki "Umr" ka to... Iqbal ke DushmanoN ko yeh Jurat na hoti keh wohh unke upar FATWA wagerah lagate.

Hum aapke mamnoon hain Janab Yasir Shah Saaheb keh aapne Dr.Iqbal ke shaksiyat ke ek aur pehloo se aashna karvaya. Shukriya.
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Post by yasir shah »

baraadar-e-a'zeez Munir !
assalaamoa'laikum wa raHmatullaahi

idhar iltifaat farmaanay kaa shukriyah -qaa'idah yehee hay keh jinhaiN Husn-e-kaamil raHmatul lil 'aalameen Sallallaahu a'laihi wa aalihee wa sallam ki shakl naheeN bhaatee un kaa da'waa-e-maHabbat bhee khaam hay laiken yeh bhee a'rZ kar dooN ke Iqbaal ki maHZ taSaaveer par hi mat jaaiye -mairaa to Husn-e-Zan hay keh al-aakhir unhoN ne bhee baaGh-e-MuHammadee Sallallaahu a'laihi wa aalihee wa sallam se apnay chahray ko aaraastah kar liyaa ho gaa -
aagay is baaray maiN khaamaushee bahtar hay keh jaanay waalay apnay a'maal tak pahunchaa diyay ga.ay-ab Allaah hamaiN sunnatoN ke baab maiN taufeeq a't'aa farmaa.ay keh apnee zindagee ko aaraastah-o-pairaastah kar chalaiN -

jazaakAllahu khairan

t'aalib-e-du'aa
yasir
User avatar
Nayeem Khan
-
-
Posts: 280
Joined: Sun Jan 13, 2008 2:32 pm
Location: Mahbubnagar, India.
Contact:

Re: Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Post by Nayeem Khan »

:subh:

Is inayet ka shukria Yasir Shah sb
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Iqbaal kaa zaaviyah-e-i'shq

Post by sbashwar »

Mohtaram Yasir Shah Saheb
:salaam2:

Inayet ka shukria. Ye ishq e rasool SAWS ki meraj hai.
سالم احمد باشوار
Post Reply