aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

Pesh hai
Attachments
nazir 1.gif
nazir 1.gif (23.44 KiB) Viewed 946 times
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Post by sbashwar »


حترم خورشید الحسن نیرؔ صاحب
السلام علیکم

فکر جس کی تھی اردو ادب کی بقا
پر تواں ذہن و تن بجھ گیا بجھ گیا

عبداللہ ناظر صاحب مرحوم کا انتقال دنیاِ اردو ادب میں بہت بڑا سانحہ ہے۔
آپکی غزل ہم سب چاہنے والوں کے جذبات کی ترجمانی کرتی ہے۔

مخلص
سالم باشوار
سالم احمد باشوار
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

sbashwar wrote:

حترم خورشید الحسن نیرؔ صاحب
السلام علیکم

فکر جس کی تھی اردو ادب کی بقا
پر تواں ذہن و تن بجھ گیا بجھ گیا

عبداللہ ناظر صاحب مرحوم کا انتقال دنیاِ اردو ادب میں بہت بڑا سانحہ ہے۔
آپکی غزل ہم سب چاہنے والوں کے جذبات کی ترجمانی کرتی ہے۔

مخلص
سالم باشوار

muHtaram Bashwar Sb

aap ke jawaab kaa bahut shukriyah dua'aa hai keh Allah Naz^ir Sb kee maGhfirat farmaae,Y aameen.

t^aalib-e-dua'aa

Khurshidul Hasan Naiyer
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Post by jawaid badauni »

Khurshidul Hasan Naiyer wrote:Pesh hai



MoHtarmee Khurshidul Hasan Naiyer Saahab,
aadaab

Aapki yeh ghazal aapke jazbaat ki tarjuman hai. NaZir SaHab Allah baKhshey aur unke darjaat bunaNd kare,thay hi aise. Un per jitna kaha jaye kum hai. Woh sub se dili raGhbat rakhte thay unse bhi log usee minasibat se unsiyyat rakhte thay.

Mujhe Jumeraat aur Jumey ki taateel ke dauran kuch ziyadah tawajjo se dostoN ka kalam paRhne ka mauqa mil jata hai. Dostee aur moHabbat ka taqazah yeh hai keh ek doosre ke kalam per kabhi kabhi agar zaroori tou tanqeedi nazar bhi Daali jaye. AKhlaq ka taqazah yeh hai ke aise e'trazaat parda-e raaz meN raheN magar khule aa'm forum per unheN taHreer karne se yeh faiydah hota hai ke deegar mubtadee mimbraan bhee us guftagoo se mustafeed hotey haiN.

Awwal tou is kalam ko Ghazal kahna hi ghalat hai. Ghazal Urdu suKhan meN ek majazee meHboob se guftagoo ka naam hai. Kisee ke inteqaal ke baad jo kalam kaha jata hai aisee nazm ko Urdu suKhan meN marSiye ka naam diya gaya hai. Neez yeh ke aap ki readeef jismeN aapne Bujh gaya lafz ko mukarrar istaimal kiya hai bahut dushwaar hai. Such tou yeh hai ke yeh lafz kahiN kahin ek baar bhi nahiN nibh raha hai magar doosree baar tou shayad kaheeN bhi munasib nahiN laga. Is liye agar aap is radeef ko kuch tabdeel ker lete tou yeh marSiya funnee e'tbaar se aur bhi achcha ho jata, masla" "bujh gaya kya kareN", "bujh gaya dekh lo" waghairah waghairah.

Baat niklee hai tou ab door talak jayegee. Aap bhi Khatta'e Arab meN haiN main bhee. Hum Khub jaante haiN Yaum-ul-Khamees aur Yaum-ul-Guma ko hi tafseeli gufatagoo ka waqt milta hai dostoN se. Tou janab aap ne ek sher me KE RAHLAT kaha hai jab keh jitni lughAAt mere paas haiN un sub meN Rahlat lafz MOANNAS bataya gaya hai is e'tbaar se aap ko "KI RAHLAT" kahna chaahiye tha. Baraye karam EDIT se durust ker lijyega. Ek sarsaree nazar meN maiN ne yeh bhi meHsoos kiya keh woh misra jismeN DEEDAH-E FUN lafz istaimal kiya hai wazn meN nahiN hai. Us per bhi nazr-e saane ker lijiyega. Aur tou mujhe koiee aib ya Khamee qabile zikr nazar nahiN aaya main ne kalam ko ek baar hi paRha tha.

Baraye karam mere mashwaroN per ghaur kijiye halaaN keh un per amal lazim nahiN hai. Woh aapki marZee per mabnee hoga. Ummid hai meHsoos na kareNge. Ek doosre kee nishandihee karna aur taa'meeri mashwarey dena hum sub ka farz bhi hai aur in maHafil ke tashkeel ka maqSad.e KhaaS bhee.

Allah aapko shaad.o.aabaad rakhkhe.

KhulooSkaar,
Jawaid Badauni

Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtaram janaab Jawaid Sb

salaam a'laikum

aap kee nigaahe karam kaa shukriyah Jawaid Sb yeh reHlat waalee kamee mujhe bhee maHsoos hui,y thee jise maiN ne apnee kaapee mieN durust kar liyaa yeh "slip of pen" hai bas. baqee rahee bujh gayaa bujh gayaa woh to maiN badalne se rahaa. deeda-e-fam waalaa miSra' badaldungaa inshaa Allah.

or rahee baat Ghazal kee to yah Ghazal hee hai muHtaram jo kisee kee yaad meiN kahee gai,y hai.

baqiya aap kee raahnumaai,y or tawaajjoh kaa bahut bahut shukriyah.

niyaazmaNd

Khurshidul Hasan Naiyer
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Post by tahira Masood »

Bohat Achaa Khiraaj-e-Aqeedat pesh kiaa hai aap ne

Jazaakomullah
live and let live

Image
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: aik Ghazal bayaad-e-Abdullah Naz^ir Sb MarHoom

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

tahira Masood wrote:Bohat Achaa Khiraaj-e-Aqeedat pesh kiaa hai aap ne

Jazaakomullah

bahut bahut shukriyah Tahir Masood SaaHebah

Khursh rahie,Y.
Post Reply