WAQT-E-FURQAT
Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN
Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil
Socha bhi naa thaa
Woh chaNchal si khilkhilahat
Woh tumhari maNd maNd si muskaan
Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay
Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan
Woh tumhaaraa meri baahoN maiN duniya ko bhool jaanaa
Woh behtay ashkoN maiN laraztay laboN ka muskuraanaa
Woh tumhaari pal pal ko shiddat say jeenay ki chaah
Woh tumhaari nazar maiN phool say komal khwaaboN ki raah
Woh tumhaari dabdabaai aaNkhoN maiN unkahayay sawaal
Woh tumhaaray ghanay dasht say gasuoN ka jamaal
Woh tumhaaray hoNthoN ka tilsmee khumaar
Woh tumhaaraa mujh par beloss aitbaar
Bahut yaad aataa hai yeh sub meri jaaN
Aur yaad aataa hai bahut tumhaaraa woh-
"SUNO NA"
------------------------------------