teer-e-nigaah-e-neem_kash jaanam ne maar daala.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

teer-e-nigaah-e-neem_kash jaanam ne maar daala.

Post by zaamin »

kehte hain yooN hi log hai hamdam ne maar daalaa
mujh ko to mere dost mere Gham ne maar daalaa

gul ko gilaa kab hai tabistaaN kii jalaandi luu se
komal kalii ko subh ki shabnam ne maar daalaa.

haaN mar bhii jaate husn 'ibaadat mein magar bajaa thaa
Gham ishq-e-laaHaasil ke hai maatam ne maar daala

do chaar gar jo hote dil barham kabhii na hotaa
baaraan-e-dard-baarii-ye-paiham ne maar daala

jiine ko jii bhii lete ham sehraa sajaa ke dil mein
chashm-e-haziiN se ashk kii rimjhim ne maar daala.

thaa kab ki yeh,haaN yeh magar daam-e-sayaad sadkaa,
bulbul ko buu-o-rang ke mausam ne maar daalaa.

ham bhii gaye mehfil mein zindaa-dilii dikhaane
teer-e-nigaah-e-neem_kash jaanam ne maar daala.

har aan mein doobegaa vo suuraj charhaa hai jo bhii
ilzaam hai taaham vahii pach'chham ne maar daala.

zaamin ko to marna hi thaa hai mar gayaa bi'laakhir
khwaa tum se yeh sarzad huwaa ya ham ne maar daala


zaamin
Post Reply