Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!
Basilsilah mahanah mushae'irah apnee Haqeer Ghazal bagharaZ-e-mutalea'h pesh-e-khidmat hai. qawee ummeed hai ba'd az mulaHizaat eHbaab apnee qeematee aara' se sarfaraaz farmaeeN ge. mulaHiZah keejiye.
Ghazal
Muzaffar AHmad Muzaffar
Aah be taaceer naalah naa rasaa mere liye!
tanG hai, kyooN daman-e-mushkil kushaa mere liye?
maiN to samjhaa tha keh bach kar saaHilooN par aageya!
thee magar ek muntazir maoj-e-bala mere liye!
armaGhaan-e-e'shq hai, daar-o-rasan ka ehtemaam!
jaor tera hai karam kee intehaa mere liye!
dard kee lazzat kaa khugar hai, dil-e-bismil mira!
Chaarah Gar mat keejiye fikr-e-dawa mere liye!
Aaftaab-e-Hashr kee shiddat lagee baad-e-Naseem!
uTh geya jab aap kaa dast-e-dua'aa mere liye!
teGh Zan dene laga hai, Z^abt-e-Gham ka HaoSlah!
"ban gaee hai maot kitnee khush adaa mere liye"
Yaad hai, itna Muzaffar kashtee-e-u'mr-e-rawaaN!
le geya t^ufaaN kee jaanib naa khuda mere liye!
[/size][/color]Basilsilah mahanah mushae'irah apnee Haqeer Ghazal bagharaZ-e-mutalea'h pesh-e-khidmat hai. qawee ummeed hai ba'd az mulaHizaat eHbaab apnee qeematee aara' se sarfaraaz farmaeeN ge. mulaHiZah keejiye.