Azm

Kalaam jis per vazn kii qaid nahiN
Post Reply
Brijinder
-
-
Posts: 86
Joined: Mon Jul 04, 2005 9:02 pm
Contact:

Azm

Post by Brijinder »

Azm

Jo waqt ki aaNdhi main bikhar gayay
Nahi mujhko un tootay huay ghroNdoN ka malaal
Na hi mujh main un maraahil ki qashis baaki
JahaaN bechan-o-ajnabi sa rahay daur-i-hazir ka swaal

Madhoshkun hai to bahut waqt-i-maazi main laut jaanaa
Pathar kay but banaanaa aur un pay sar jhukaanaa
Ik aqs-i-khuda bana kar khud ko khud gawaN kar
Bus jalwa-i-ghaib keh kar nijaat-i-swaalaat-i-aham paanaa

Meri nahi woh duniya mera nahi woh imaaN
Kashmkash-i-hyaat main nihaaN irtiqa-i-insaaN
Mafhoom-i-zindagi hai har din aagaay barna
BedaarioN ki lau pay ahud ko parakhna

Hosh ka dum bhar had-i-rasumaat say guzar jaanaa
Aqaayud ko riwaayut ki salaasil say chura kay laanaa
KhuddarioN kay asaas pay ik naya manzar banaanaa

Nabz-I-daur pakrana zulmat say yooN ubharnaa

Nighah-i-imroz farda pay tika kay
Ik bedaar ghroNda banaa kay
ChlaiN shaan say tamaddun kay qaafilay

-------------------------
Post Reply