Aapki ghazal aaj hee firdoos-e-nazar huee hai, apnee dilkashee aor dilrubaaee meN bilashubah aek shaahkaar takheeq hai. shaai'r ko apne e'hed ke taqaaZooN ka eHsaas lamhah ba lamhah masaai'l-e-Hayaat se qareeb karta chala jata hai. aor ba'Z aoqaat shaai'ir apne zaahir ke inbisaat par baatin ke dukh ko tarjhee dene lagta hai. shaayad is ki aek wajah yeh ho keh baatin ke dukh ki har aahaT dimaagh-o-dil ke liye jaraaHat afza hotee hai.
Ghalib ne fan ki abdiyat ke liye jo shart lagaee the keh :pehle dil-e-gudaakhtah paedah kare koee: aap ne us par a'mal karte huwe apne fan ko jila pakhshee hai jo qaabil-e-daad-o-teHseen hai.
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram S, faSeeH Rabbani SaaHib tasleemaat!
Aapki ghazal aaj hee firdoos-e-nazar huee hai, apnee dilkashee aor dilrubaaee meN bilashubah aek shaahkaar takheeq hai. shaai'r ko apne e'hed ke taqaaZooN ka eHsaas lamhah ba lamhah masaai'l-e-Hayaat se qareeb karta chala jata hai. aor ba'Z aoqaat shaai'ir apne zaahir ke inbisaat par baatin ke dukh ko tarjhee dene lagta hai. shaayad is ki aek wajah yeh ho keh baatin ke dukh ki har aahaT dimaagh-o-dil ke liye jaraaHat afza hotee hai.
Ghalib ne fan ki abdiyat ke liye jo shart lagaee the keh :pehle dil-e-gudaakhtah paedah kare koee: aap ne us par a'mal karte huwe apne fan ko jila pakhshee hai jo qaabil-e-daad-o-teHseen hai.
Muzaffar AHmad Muzaffar
محترم مظفر احمد مظفر صاحب!
السلام وعلیکم!
آپ کی یہ گرانقدر رائے میرے لیے حوصلہ افزائی کی باعث ہے۔
اس عنایت، اس نوازش کے لیے تہِ دل سے آپ کا شکرگزار ہوں،
اللہ تعالیٰ اپ کو ہر پَل شاداں و فرحاں رکھے، آمین۔ اور مجھے اپنی دعاؤں میں یاد رکھیے گا۔