DangoN main Jab say daikha ik toota hua khwaab

Kalaam jis per vazn kii qaid nahiN
Post Reply
Brijinder
-
-
Posts: 86
Joined: Mon Jul 04, 2005 9:02 pm
Contact:

DangoN main Jab say daikha ik toota hua khwaab

Post by Brijinder »

DangoN meiN jab se daikha ik masla hua khwaab
Boseeda saaqi,berang maiqada aur kaRwi hai shraab

Mujhay aayaa na swaal bhi puchnay ka sha_ur
Aur sab yahaaN liyay phirtay haiN jwaabon ki Qitab

Mujhsay puchtay ho to jagaao khud meiN junooN aisa
Patjhar meiN bhi jo karay koshish-e-fasl-gulaab

Bharay zakhm kuraydogay to inki bu-e-lahu se
Phir harqat meiN aa jaaNgay tanhaaioN ke uqaab

Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala
Ki kab ana nay pehan liya khuddaari ka naqaab

--------------------------------
User avatar
Nayeem Khan
-
-
Posts: 280
Joined: Sun Jan 13, 2008 2:32 pm
Location: Mahbubnagar, India.
Contact:

Re: DangoN main Jab say daikha ik toota hua khwaab

Post by Nayeem Khan »

Zindagi ki rou mein ye pata bhi na chala
Ki kab ana nay pehan liya khuddaari ka naqaab

Bohat khooob.
Post Reply