urdujahaaN ke 18veN mushaaEre meN Khayaal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

urdujahaaN ke 18veN mushaaEre meN Khayaal

Post by ismail ajaz »

urdujahaaN ke 18veN mushaaEre meN Khayaal kee kaavish baad az aadaab o tasleemaat ke urdubandhan kee nazr
arz e Khidmat hai


baat mujh se karte ho jab tum ishaaroN kee taraH
aaNkhoN se shauKhee jhalaktee hai nazaaroN kee taraH

zingadee jeene kaa aise aane lagtaa hai mazaa
phool jaise khil uTheN har soo bahaaroN kee taraH

aasteenoN meN chhupe haiN kitne saare saaNp jo
bholee Soorat ko liye milte haiN yaaroN kee taraH

maahee e be aab ban kar dil taRaptaa hai miraa
choR kar jaate ho jab tum be sahaaroN kee taraH

pyaar ke lafzoN meN meeThe zehr meN Doobaa lahoo
dauRtaa hai abb ragoN meN bhee sharaaroN kee taraH

apnee sachchaa'ee kaa mere paas hai yeh hee Cuboot
" ashk palkoN peh chamakte haiN sitaaroN kee taraH "

be murawwat zindagee ke roop haiN kaise "Khayaal"
dostoN meN dooriyaaN be aitbaaroN kee taraH

Ismail Ajaz Khayaal
Attachments
baat mujh se karte ho jab tum ishaaroN kee taraH.gif
baat mujh se karte ho jab tum ishaaroN kee taraH.gif (36.27 KiB) Viewed 210 times

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: urdujahaaN ke 18veN mushaaEre meN Khayaal

Post by sbashwar »

MoHtaram Ismail Ajaz Saheb
:salaam2:

Aapki ghazal ka har sheir qabl-e-daad hai. Sheir # 3 haqeeqat par mabni hai.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: urdujahaaN ke 18veN mushaaEre meN Khayaal

Post by ismail ajaz »

sbashwar wrote:MoHtaram Ismail Ajaz Saheb
:salaam2:

Aapki ghazal ka har sheir qabl-e-daad hai. Sheir # 3 haqeeqat par mabni hai.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

moHtaram janaab Salem Bashwar SaaHeb

aap kee HauSlah afzaa'ee o pazeeraa'ee mere liye baa'iC e aizaar o iftiKhaar hai,Allah aap ko duniyaa o aaKhirat kee izzateN ataa farmaa'ey

apne duaa'oN meN yaad rakhiye

niyaazmand

Ismail Ajaz Khayaal

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply