aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 430
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle

Post by ismail ajaz »

aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle apna Khud kaa jaa'izah leN

guzishtah niSf Sadee se yeh hum ne kaam kiyaa
sikhaayaa pattharoN ko bolne kaa aisaa fan
har ek shaKhS yahaaN boltaa hai baRh chaRh kar
jise bhee dekho woh naqqaad nuqtah cheeN hai aur
watan ke bigRe huwe masKh jhulse chehre par
uThaa ke uNglee yuN tanqeed karne lagtaa hai
keh jaise usne tow iss mulk ke liye apnee
tamaam zindagee ta'aameer meN basar kee thee
magar quSoor tow hai doosroN kaa jo abb tak
paRe haiN so'ey huwe owRhe chaadar e Ghaflat
yehee hai tarz e amal pooree hee awaam kaa abb
humaaree tarbiyat o shaKhSiyat , nizaam kaa abb
khaRe sabhee haiN keechaR uchhaalne ke liye
kisee bhee cheez meN keeRe nikaalne ke liye
kaheeN se ko'ee humeN aa'inah woh dikhlaa de
keh jis meN shakl humeN apnee hee nazar aa'ey
bajaa'ey shikwah gilah doosroN se ho hum ko
"Khayaal" Khud ko badalne kee hum kareN koshish


Ismail Ajaz Khayaal
Attachments
guzishtah niSf Sadee se yeh hum ne kaam kiya.gif
guzishtah niSf Sadee se yeh hum ne kaam kiya.gif (68.44 KiB) Viewed 213 times
Last edited by ismail ajaz on Mon Jan 17, 2011 11:32 am, edited 2 times in total.

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle

Post by sbashwar »

قوم اور ملّت کا اتنا درد۔ اللہ ہم سب کو توفیق دے۔ آمین۔
سالم احمد باشوار
waQaar
-
-
Posts: 22
Joined: Mon Sep 03, 2007 9:50 pm

Re: aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle

Post by waQaar »

Ismail Saahib!

aadaab!

aapki naZ^m bahut pasand aa,i aur aap jaise hi likh~nay waaloN ki ab ash-Had zarurat hay hameN. kuCHh~ kehna chaahuNga is umeed say keh aap is per meri rahnumaa,i fermaayeNgay.

"yeh tarz e amal pooree hee awaam kaa hai
humaaree shaKhSiyat tarbiyat yaa nizaam kaa hai
sabhee khaRe haiN keechaR uchhaalne ke liye"

mujh~ay in teenoN misr'oN ka wazn alag lagaa, ab Ya to aapse type kernay maiN koi ghalat^ii huii hay Ya meri laa-'ilmi. aapkay javaab ka mamnoon huuNgaa.

daad qubool kee jiYay aur meri aapse guZaariSh hay keh is kaar-e-kher ko jaari rakh~Yay.

Shukriah!

waQaar :)
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 430
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle

Post by ismail ajaz »

sbashwar wrote:
قوم اور ملّت کا اتنا درد۔ اللہ ہم سب کو توفیق دے۔ آمین۔

janaab moHtaram sbashwar SaaHeb

Allah aap ko sadaa Khush rakkhe ,duniyaa o aaKhirat kee izzatoN se nawaaze beHad shukriyah aap kaa


mamnoon

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 430
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: aa'iye !!! kisee par uNglee uThaane se paihle

Post by ismail ajaz »

waQaar wrote:Ismail Saahib!

aadaab!

aapki naZ^m bahut pasand aa,i aur aap jaise hi likh~nay waaloN ki ab ash-Had zarurat hay hameN. kuCHh~ kehna chaahuNga is umeed say keh aap is per meri rahnumaa,i fermaayeNgay.

"yeh tarz e amal pooree hee awaam kaa hai
humaaree shaKhSiyat tarbiyat yaa nizaam kaa hai
sabhee khaRe haiN keechaR uchhaalne ke liye"

mujh~ay in teenoN misr'oN ka wazn alag lagaa, ab Ya to aapse type kernay maiN koi ghalat^ii huii hay Ya meri laa-'ilmi. aapkay javaab ka mamnoon huuNgaa.

daad qubool kee jiYay aur meri aapse guZaariSh hay keh is kaar-e-kher ko jaari rakh~Yay.

Shukriah!

waQaar :)

waQaar bhaai bohot arSe ke baad aap se humkalaam hone kaa sharf HaaSil huwaa ,salaam aap kee Khidmat meN ,nazm pasand farmaane kaa beHad shukriyah,aap ne jin ash'aar kee nishandahee farmaa'ee hai mujhe bhee unkaa raNg badlaa badlaa lagaa magar ziyaadah dheyaan naheeN diyaa ,Allah ap ko jaza e Khair ataa farmaa'ey dekhooN gaa ko'ee mutbaadil Soorat nazar aaga'ee tow aur aap bhee agar ko'ee munaasib mashwarah inaayat farmaa'eN ge ko tabdeel kar dooN ga

aap kaa beHad shukriyah

mamnoon

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply