hadiyah e naat e rasool e maqbool Sallallaahu alaihee wa aalihee wasallam
chamakte chaand sooraj aur sitaare jhilmilaate haiN
yeh sab aaqaa (S.A.W) kee chaukhaT se ziyaa aur faiz paate haiN
zameen o aasmaaN meN jitne bhee qudrat ke haiN mazhar
rasool e paak (S.A.W) kee barkat se hee manzar sajaate haiN
haiN qaa'em saare hee aalam rasool Allah (S.A.W) ke sadaqe meN
zamaane waqt raat aur din jo abb tak aate jaate haiN
muHammad muStafa (S.A.W) kaa rauzah hai jannat kaa gaihwaarah
jahaaN par jannatoN ke raaste Khud chal ke aate haiN
baRe hee bhaag waale haiN baRaa hai martabah unkaa
jineN shaah e dow aalam (S.A.W) apne rauze par bulaate haiN
"Kayaal" armaaN machalte haiN yuN dil meN aarzoo bankar
keh hum kab aapkee (S.A.W) chaukhaT peh yeh palkeN bichhate haiN
aHqar
Ismail Ajaz Khayaal
hadiyah e naat e rasool e maqbool (S.A.W)
- ismail ajaz
- -
- Posts: 482
- Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm
hadiyah e naat e rasool e maqbool (S.A.W)
- Attachments
-
- keh hum kab aapkee (S.A.W) chaukhaT peh yeh palkeN bichhaate haiN.gif (88.58 KiB) Viewed 555 times
Last edited by ismail ajaz on Mon Jan 24, 2011 4:25 am, edited 1 time in total.
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Ismail Ajaz Khayaal
(خیال)
- sbashwar
- -
- Posts: 1655
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
- Do you know URDU language?: Yes
- Location: Hyderabad, India
- Contact:
Re: hadiyah e naat e rasool e maqbool (S.A.W0
محترم اسماعیل اعجاز خیالؔ صاحب
السلام علیکم
’’خیال‘‘ ارمان مجلتے ہیں یوں دل میں آرزو بن کر
کہ ہم کب آپکی ﷺ چوکھٹ پہ یہ پلکیں بچھاتے ہیں
اللہ آپکا یہ ارمان جلد پورا کرے۔ آمین۔
مخلص
سالم باشوار
[/size]السلام علیکم
’’خیال‘‘ ارمان مجلتے ہیں یوں دل میں آرزو بن کر
کہ ہم کب آپکی ﷺ چوکھٹ پہ یہ پلکیں بچھاتے ہیں
اللہ آپکا یہ ارمان جلد پورا کرے۔ آمین۔
مخلص
سالم باشوار
سالم احمد باشوار
- ismail ajaz
- -
- Posts: 482
- Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm
Re: hadiyah e naat e rasool e maqbool (S.A.W0
sbashwar wrote:محترم اسماعیل اعجاز خیالؔ صاحب[/size]
السلام علیکم
’’خیال‘‘ ارمان مجلتے ہیں یوں دل میں آرزو بن کر
کہ ہم کب آپکی ﷺ چوکھٹ پہ یہ پلکیں بچھاتے ہیں
اللہ آپکا یہ ارمان جلد پورا کرے۔ آمین۔
مخلص
سالم باشوار
janaab moHtaram سالم باشوار SaaHeb
salaam pesh e Khidmat hai,Allah aap kee zubaan mubaarak kare ,Allah tamaam ummat e muslimah ko Haj ,baitullah kee ziyaarat aur rasool Allah ke rauze mubaarak par Haaziree kee taufeeq ataa farmaa'ey,meree iss kaavish meN ko'ee baat qaabil e iSlaaH yaa wazaaHat talab ho tow meree tamaam paRhne waaloN se guzaarish hai keh raihnumaa'ee farmaa'eN
Allah aap sabko jaza e Khair ataa farmaa'ey
niyaazmand
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Ismail Ajaz Khayaal
(خیال)