Aadaabee maHaafil meN aapkee shumuliyat yaqeenan HaoSlah afzaa hai, is i'naayat-e-khaaS ke liye mamnoon-e-eHsaan hooN.
kalaam hadiyah-e-nazar huwaa, kiya kehne mashAllah! faSaahat-o-balaaghat jo aap kaa turrah-e-imtiyaaz hai yahaN bhee jalwah figan hai, asha'aar apnee ra'naaee-o-acar angezee ke baai'c dil ko chu rahe haiN, rawyaat ka rang asha'aar ko rashk-e-chaman bana raha hai is taamaam guldastah-e-asha'aar ke liye khaadim kee dilee daad pesh-e-khidmat hai qubool keejiye agle mushae'irah ke liye bhee aap kee shumuliyat musarrat ka baai'c ho gee peshgee shukritah!
محترم مظفر احمد صاحب!
السلام علیکم!
میری اس طرحی غزل کے حوالے سے آپ کی یہ گرانقدر رائے میرے لیے حوصلہ افزائی کی باعث ہے،
اس عنایت کے لیے آپ کا تہِ دل سے شکرگزار ہوں،
ہر پَل شاد رہیے۔
مخلص
شاہین فصیح ربانی