meree Ghazal.manzar

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
manzar alam
-
-
Posts: 26
Joined: Sat Jan 30, 2010 5:34 pm
Contact:

meree Ghazal.manzar

Post by manzar alam »

a'zeezaan-e-meHfil, :salaam2:
ek Ghazal aap kee Khidmat meN HaaZ^ir karne kee sa'aadat kar rahaa huuN is us ummeed ke saath keh ap HaZ^raat apnee qeemtee aaraa~se Z^aroor nawaazeNge...........shukriya
manzar

1
bas ek qat^rah-e-naacheez, u’mr bhar kii talaash
banaam-e-I’lm faqat^ hai yahii bashar kii talaash
بس ایک قطر‌‏‍‌ۂ ناچیز عمر بھر کی تلاش
بنام علم فقط ھے یھی بشر کی تلاش
2
nigaah ko hai miree bas tumhaare dar ki talaash
shab-e-siyaah ko jaise kisi saHar ki talaash
نگاہ کو ھے مری بس تمھارے در کی تلاش
شب سیاہ کو جیسے کسی سحر کی تلاش
3
Jalaake qaSr-e-anaa ko jo karde Khaakastar
hai mere soz-e-jigar ko usee sharar kii talaash
جلاکے قصر انا کو جو کردے خاکستر
ھے میرے سوزجگر کو اسی شرر کی تلاش
4
hamaare zaKhm ko kaafi hai un kii ek naz^ar
hameN nahiiN hai kisi aur chaarah_gar kii talaash
ھمارے زخم کو کافی ھے ان کی ایک نظر
ھمیں نھیں ھے کسی اور چارہ گر کی تلاش
5
bhaTak rahe haiN zamaane se dasht o SeHraa meN
hu`ii nah ham se magar ek raah_bar ki talaash
بھٹک رھے ھیں زمانے سے ھشت و صحرا میں
ھوئی نہ ہم سے مگر ایک راہ بر کی تلاش
6
nikal gayaa jo hamaaree dua’aaoN se yaaro!
kahaaN hai? Aao kareN phir usii acar kii talaash
نکل گیا جو ہماری دعاؤں سے یارو
کہاں ہے؟ آؤ پھر اسی اثر کی تلاش
7
haiN Khaali jins-e-moHabbat se jaibeN aaj talak
tamaam u’mr rahi jin ko maal o zar ki talaash
ھیں خالی جنس محبت سے جیبیں آج تلک
تمام عمر رھی جن کو مال وزر کی تلاش
8
naz^ar hameshah rahi a’ib par mire sab ki
kisi ne kii nahiiN mujh meN kabhi hunar ki talaash
نظر ھمیشہ مرے عیب پر رھی سب کی
کسی نے کی نہیں مجھ میں کبھی ھنر کی تلاش
9
unheN jo dekha to meHsoos yeh huaa manz^ar
hu`ii tamaam yahiiN par dil o naz^ar ki talaash
انھیں جو دیکھا تو محسوس یہ ھوا منظر
ھوئی تمام یھیں پر دل و نظر کی تلاش
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: meree Ghazal.manzar

Post by ismail ajaz »

manzar alam wrote:a'zeezaan-e-meHfil, :salaam2:
ek Ghazal aap kee Khidmat meN HaaZ^ir karne kee sa'aadat kar rahaa huuN is us ummeed ke saath keh ap HaZ^raat apnee qeemtee aaraa~se Z^aroor nawaazeNge...........shukriya
manzar

1
bas ek qat^rah-e-naacheez, u’mr bhar kii talaash
banaam-e-I’lm faqat^ hai yahii bashar kii talaash
بس ایک قطر‌‏‍‌ۂ ناچیز عمر بھر کی تلاش
بنام علم فقط ھے یھی بشر کی تلاش
2
nigaah ko hai miree bas tumhaare dar ki talaash
shab-e-siyaah ko jaise kisi saHar ki talaash
نگاہ کو ھے مری بس تمھارے در کی تلاش
شب سیاہ کو جیسے کسی سحر کی تلاش
3
Jalaake qaSr-e-anaa ko jo karde Khaakastar
hai mere soz-e-jigar ko usee sharar kii talaash
جلاکے قصر انا کو جو کردے خاکستر
ھے میرے سوزجگر کو اسی شرر کی تلاش
4
hamaare zaKhm ko kaafi hai un kii ek naz^ar
hameN nahiiN hai kisi aur chaarah_gar kii talaash
ھمارے زخم کو کافی ھے ان کی ایک نظر
ھمیں نھیں ھے کسی اور چارہ گر کی تلاش
5
bhaTak rahe haiN zamaane se dasht o SeHraa meN
hu`ii nah ham se magar ek raah_bar ki talaash
بھٹک رھے ھیں زمانے سے ھشت و صحرا میں
ھوئی نہ ہم سے مگر ایک راہ بر کی تلاش
6
nikal gayaa jo hamaaree dua’aaoN se yaaro!
kahaaN hai? Aao kareN phir usii acar kii talaash
نکل گیا جو ھماری دعا‎‏‌ؤں سے یارو!
کھاں ھے؟ آ‎ؤ کریں پھر اسی اثر کی تلاش
7
haiN Khaali jins-e-moHabbat se jaibeN aaj talak
tamaam u’mr rahi jin ko maal o zar ki talaash
ھیں خالی جنس محبت سے جیبیں آج تلک
تمام عمر رھی جن کو مال وزر کی تلاش
8
naz^ar hameshah rahi a’ib par mire sab ki
kisi ne kii nahiiN mujh meN kabhi hunar ki talaash
نظر ھمیشہ مرے عیب پر رھی سب کی
کسی نے کی نہیں مجھ میں کبھی ھنر کی تلاش
9
unheN jo dekha to meHsoos yeh huaa manz^ar
hu`ii tamaam yahiiN par dil o naz^ar ki talaash
انھیں جو دیکھا تو محسوس یہ ھوا منظر
ھوئی تمام یھیں پر دل و نظر کی تلاش

moHtaram janaab manzar alam SaaHeb

salaam qubool farmaa'iye,uske saath saath aap kee iss dilkash o dilnisheeN Ghazal jis meN bohot KhoobSoorat mazaameen ko baRee umdagee ke saath aap ne apne taKhayyul o taGhazzul meN Dhaalaa hai aur apne paRhne waaloN ko fikr o aaghaee ke paiGhaam se nawaazaa hai mubaar baad aur daad qubool farmaa'iye,KhuSooS" muNdarjah zel ash'Aar bohot hee baRhiyaa haiN

unke liye KhuSooSee daad :clap01:

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: meree Ghazal.manzar

Post by sbashwar »

محترم منظر عالم صاحب
السلام علیکم

بھٹک رھے ھیں زمانے سے ھشت و صحرا میں
ھوئی نہ ہم سے مگر ایک راہ بر کی تلاش

تاخیر سے آپ کی دلکش غزل پر نظر پڑی۔ بہت خوب۔ میری داد اور مبارکباد قبول فرمائیں۔

مخلص
سالم باشوار
سالم احمد باشوار
User avatar
manzar alam
-
-
Posts: 26
Joined: Sat Jan 30, 2010 5:34 pm
Contact:

Re: meree Ghazal.manzar

Post by manzar alam »

ismail ajaz wrote:
manzar alam wrote:a'zeezaan-e-meHfil, :salaam2:
ek Ghazal aap kee Khidmat meN HaaZ^ir karne kee sa'aadat kar rahaa huuN is us ummeed ke saath keh ap HaZ^raat apnee qeemtee aaraa~se Z^aroor nawaazeNge...........shukriya
manzar

1
bas ek qat^rah-e-naacheez, u’mr bhar kii talaash
banaam-e-I’lm faqat^ hai yahii bashar kii talaash
بس ایک قطر‌‏‍‌ۂ ناچیز عمر بھر کی تلاش
بنام علم فقط ھے یھی بشر کی تلاش
2
nigaah ko hai miree bas tumhaare dar ki talaash
shab-e-siyaah ko jaise kisi saHar ki talaash
نگاہ کو ھے مری بس تمھارے در کی تلاش
شب سیاہ کو جیسے کسی سحر کی تلاش
3
Jalaake qaSr-e-anaa ko jo karde Khaakastar
hai mere soz-e-jigar ko usee sharar kii talaash
جلاکے قصر انا کو جو کردے خاکستر
ھے میرے سوزجگر کو اسی شرر کی تلاش
4
hamaare zaKhm ko kaafi hai un kii ek naz^ar
hameN nahiiN hai kisi aur chaarah_gar kii talaash
ھمارے زخم کو کافی ھے ان کی ایک نظر
ھمیں نھیں ھے کسی اور چارہ گر کی تلاش
5
bhaTak rahe haiN zamaane se dasht o SeHraa meN
hu`ii nah ham se magar ek raah_bar ki talaash
بھٹک رھے ھیں زمانے سے ھشت و صحرا میں
ھوئی نہ ہم سے مگر ایک راہ بر کی تلاش
6
nikal gayaa jo hamaaree dua’aaoN se yaaro!
kahaaN hai? Aao kareN phir usii acar kii talaash
نکل گیا جو ھماری دعا‎‏‌ؤں سے یارو!
کھاں ھے؟ آ‎ؤ کریں پھر اسی اثر کی تلاش
7
haiN Khaali jins-e-moHabbat se jaibeN aaj talak
tamaam u’mr rahi jin ko maal o zar ki talaash
ھیں خالی جنس محبت سے جیبیں آج تلک
تمام عمر رھی جن کو مال وزر کی تلاش
8
naz^ar hameshah rahi a’ib par mire sab ki
kisi ne kii nahiiN mujh meN kabhi hunar ki talaash
نظر ھمیشہ مرے عیب پر رھی سب کی
کسی نے کی نہیں مجھ میں کبھی ھنر کی تلاش
9
unheN jo dekha to meHsoos yeh huaa manz^ar
hu`ii tamaam yahiiN par dil o naz^ar ki talaash
انھیں جو دیکھا تو محسوس یہ ھوا منظر
ھوئی تمام یھیں پر دل و نظر کی تلاش

moHtaram janaab manzar alam SaaHeb

salaam qubool farmaa'iye,uske saath saath aap kee iss dilkash o dilnisheeN Ghazal jis meN bohot KhoobSoorat mazaameen ko baRee umdagee ke saath aap ne apne taKhayyul o taGhazzul meN Dhaalaa hai aur apne paRhne waaloN ko fikr o aaghaee ke paiGhaam se nawaazaa hai mubaar baad aur daad qubool farmaa'iye,KhuSooS" muNdarjah zel ash'Aar bohot hee baRhiyaa haiN

unke liye KhuSooSee daad :clap01:

nikal gayaa jo hamaaree dua’aaoN se yaaro!
kahaaN hai? Aao kareN phir usii acar kii talaash

naz^ar hameshah rahi a’ib par mire sab ki
kisi ne kii nahiiN mujh meN kabhi hunar ki talaash
moHtaram janaab Isaamil Aejaaz SaaHeb! :salaam2:
HauSlah afzaayee ke liye maiN aap kaa bahot shukr_guzaar huuN....aur ummeed kartaa huuN keh aaindah bhee yuuN hee Hauslah baRhaate raheNge...
bahot bahot shukriyah............
manzar
User avatar
manzar alam
-
-
Posts: 26
Joined: Sat Jan 30, 2010 5:34 pm
Contact:

Re: meree Ghazal.manzar

Post by manzar alam »

sbashwar wrote:
محترم منظر عالم صاحب
السلام علیکم

بھٹک رھے ھیں زمانے سے ھشت و صحرا میں
ھوئی نہ ہم سے مگر ایک راہ بر کی تلاش

تاخیر سے آپ کی دلکش غزل پر نظر پڑی۔ بہت خوب۔ میری داد اور مبارکباد قبول فرمائیں۔

مخلص
سالم باشوار
محترمی! :salaam2:
حوصلہ افزائی کے لیئے میں آپ کا بھت بھت شکر گزار ھوں۔۔۔۔۔شکریہ
منظر
User avatar
Nayeem Khan
-
-
Posts: 280
Joined: Sun Jan 13, 2008 2:32 pm
Location: Mahbubnagar, India.
Contact:

Re: meree Ghazal.manzar

Post by Nayeem Khan »

Bohat khoob. daad pesh hai.
User avatar
manzar alam
-
-
Posts: 26
Joined: Sat Jan 30, 2010 5:34 pm
Contact:

Re: meree Ghazal.manzar

Post by manzar alam »

Nayeem Khan wrote:Bohat khoob. daad pesh hai.

:salaam2:
baht shukriyah, maHtram! :jazax:
Post Reply