ek nazm: maayoosee!مایوسی: ایک نظم

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ek nazm: maayoosee!مایوسی: ایک نظم

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab!

ek naz^m kayee saal qabl kahee thee. aaj naz^ar aa gayee. sochaa keh pesh kar dooN. so HaaZir hai. shukriyah

Sarwar A. Raz "Sarwar"
=======================================================
Maayoosee

Dar rahaa hooN keh mulaaqaat nah ho jaaYe kaheeN!
aaNkhoN aaNkhoN meN koyee baat nah ho jaaYe kaheeN!
nauHah-KhwaaN shorish-e-jaZbaat nah ho jaaYe kaheeN!
munkashif Khud peh miree Zaat nah ho jaaYe kaheeN!
aur bayaaN Soorat-e-Haalaat nah ho jaaYe kaheeN!

wo tiree neem-nigaahee, wo tab-o-taab-e-jamaal
tere abroo kaa takabbur, tiree qaamat kaa jalaal
thartharaate huwe lab, tere woh ruKhsaar, woh Khaal
i'shq-e-Khushkaam kee sargoshee kaa raNgeen woh jaal
saaz-e-dil par woh dhaRakte huwe sur aur woh taal
mauj-e-naGhmah ho koyee yaa kisee shaa,i'r kaa Khayaal
saaNs ukhRee huwee ghaRiyoN kee, woh lamHe be-Haal
garmee-e-joshish-e-jaZbaat sar-e-shaam-e-wiSaal
dil woh deewaanah! keh be-gaanah-e-afkaar-o-malaal
nah Gham-o-ranj-o-taraddud, nah koyee Khauf-e-ma,aal

mujh ko sab yaad hai teraa woh judaa ho jaanaa
apne Haalaat peh bandoN kaa Khudaa ho jaanaa!

woh mah-o-saal, woh din raat kahaaN se laa,ooN?
saath guzre huwe lamHaat kahaaN se laa,ooN?

too naheeN hai nah sahee, yeh dil-e-barbaad to hai!
luT gayaa saaraa jahaaN, ek tiree yaad to hai!

mujh ko ma'loom hai ab tujh ko naheeN paa,ooN gaa
maiN kaheeN door, bohat door chalaa jaa,ooN gaa!

Attachments
maayoosee.gif
maayoosee.gif (22.23 KiB) Viewed 1266 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: ek nazm: maayoosee!مایوسی: ایک نظم

Post by jawaid badauni »

MoHtarmee Sarwar Raaz SaHab,
aadaab

BeHud Haseen Nazm hai. Such tou yeh pahlee baar aap ki koyee Nazm shayad meri nazar se guzree hai. Nihayat umdah zaban. Bunniyaadee taur per aap Gazal ke shayar haiN so nazm bhi aap ke mizaj-e fikr se mutasir huwee hai. Meyar ke e'tbaar se is Nazm ka mawanah Ali Sardar Jaferry marhoom ki chuneeNdah nazmoN se kiya ja sakta hai, Meree janib se daad qubool farmaiye. Mumkin ho tou kuch aur NazmoN se nawaziyega.

Khair t'alab,
Jawaid Badauni
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: ek nazm: maayoosee!مایوسی: ایک نظم

Post by Sarwar A. Raz »

jawaid badauni wrote:MoHtarmee Sarwar Raaz SaHab,
aadaab

BeHud Haseen Nazm hai. Such tou yeh pahlee baar aap ki koyee Nazm shayad meri nazar se guzree hai. Nihayat umdah zaban. Bunniyaadee taur per aap Gazal ke shayar haiN so nazm bhi aap ke mizaj-e fikr se mutasir huwee hai. Meyar ke e'tbaar se is Nazm ka mawanah Ali Sardar Jaferry marhoom ki chuneeNdah nazmoN se kiya ja sakta hai, Meree janib se daad qubool farmaiye. Mumkin ho tou kuch aur NazmoN se nawaziyega.

Khair t'alab,
Jawaid Badauni
mukarramee Jawaid SaaHeb: wassalaam!

muddat ke ba'd aap naz^ar aaYe haiN. Urdu ko aap kee Z^aroorat hai so apnaa kaam jaaree rakheN. Khidmat bhee i'baadat se kam naheeN! ummeed hai keh mulaaqaat hotee rahe gee.

maiN ne shaayad 20-25 naz^meN kahee hoN gee. :Maayoosee: 2005 kee kahee huyee hai. aap ko pasand aayee to meree i'zzat-afzaayee huyee lekin kahaaN Ali Sardar Jafree marHoom kaa maqaam aur kahaaN maiN! cheh nisbat Khaak raa baa a'alam-e-paak! aap kee daad ke liYe dilee shukriyah. kisee mauqe' se aur naz^meN pesh karooN gaa, inshaa Allah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: ek nazm: maayoosee!مایوسی: ایک نظم

Post by jawaid badauni »

Sarwar A. Raz wrote:
jawaid badauni wrote:MoHtarmee Sarwar Raaz SaHab,
aadaab

BeHud Haseen Nazm hai. Such tou yeh pahlee baar aap ki koyee Nazm shayad meri nazar se guzree hai. Nihayat umdah zaban. Bunniyaadee taur per aap Gazal ke shayar haiN so nazm bhi aap ke mizaj-e fikr se mutasir huwee hai. Meyar ke e'tbaar se is Nazm ka mawanah Ali Sardar Jaferry marhoom ki chuneeNdah nazmoN se kiya ja sakta hai, Meree janib se daad qubool farmaiye. Mumkin ho tou kuch aur NazmoN se nawaziyega.

Khair t'alab,
Jawaid Badauni
mukarramee Jawaid SaaHeb: wassalaam!

muddat ke ba'd aap naz^ar aaYe haiN. Urdu ko aap kee Z^aroorat hai so apnaa kaam jaaree rakheN. Khidmat bhee i'baadat se kam naheeN! ummeed hai keh mulaaqaat hotee rahe gee.

maiN ne shaayad 20-25 naz^meN kahee hoN gee. :Maayoosee: 2005 kee kahee huyee hai. aap ko pasand aayee to meree i'zzat-afzaayee huyee lekin kahaaN Ali Sardar Jafree marHoom kaa maqaam aur kahaaN maiN! cheh nisbat Khaak raa baa a'alam-e-paak! aap kee daad ke liYe dilee shukriyah. kisee mauqe' se aur naz^meN pesh karooN gaa, inshaa Allah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"



محترمی سرور راز صاحب! آداب و نیاز

مصروفیت کے علاوہ میری صحت بھی پہلے سی نہیں رہی ہے.

انشا الله جب جب ممکن ہوگا حاضری لگاتا رہوں گا . امید ہے آپکے مزاج

بخیر ہونگے-

مخلص'
جاوید بدایونی

















Post Reply