نیاز و ناز کا قصہ niyaaz-o-naaz kaa qiSSah

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

نیاز و ناز کا قصہ niyaaz-o-naaz kaa qiSSah

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: tasleemaat!

http://www.urduanjuman.com meN dee huyee t^araH:

maiN ek shaam churaa looN agar buraa nah lage

par apnee Ghazal pesh kar rahaa hooN. shukriyah

Sarwar A. Raz "Sarwar"
================================
Ghazal

niyaaz-o-naaz kaa qiSSah faqat^ fasaanah lage
Zaraa jo socheN muHabbat bhee ik bahaanah lage!

bharosaa baat kaa is kee naa us kee yaaree kaa
zamaanaa saaraa siyaasat kaa kaarKhaanah lage!

kuchh ek too hee naheeN markaz-e-wujood-o-a'dam
kahooN maiN apnee bhee gar tujh ko naa-rawaa nah lage!

nigaar-Khaanah-e-hastee bhee kyaa mu,a'mmah hai
har ek but hai Khudaa aur Khudaa, Khudaa nah lage!

yeh zindagee hai to phir maut kis ko kehte haiN?
hameN to zindagee bhee maut kaa bahaanah lage!

chhupaa,ooN laakh maiN Khud ko to Khud se chhup nah sakooN
magar jo DhooNDne niklooN to kuchh pataa nah lage!

hamaaraa kyaa keh wat^an hai nah koyee manzil hai
jahaaN bhee raat basar ho woh aashiyaanah lage!

nah poochh gardish-e-shaam-o-saHar kee raNgeenee
tamaam manz^ar-e-hastee saraab-Khaanah lage!

yeh daastaan-e-pareshaaN baRee puraanee hai
kahooN jo Harf-e-muHabbat to ik zamaanah lage!

koyee bhalaa kaheeN suntaa hai dard kee roodaad
bayaan maiN kisee u'nwaaN karooN fasaanah lage!

tumheeN bataa,o keh "Sarwar" ko kyaa samajhte ho
hameN to woh kisee Soorat bhee paarsaa nah lage!

========================
[/b]
Attachments
gg-niyaazonaaz1.gif
gg-niyaazonaaz1.gif (19.16 KiB) Viewed 258 times
gg-niyaazonaaz2.gif
gg-niyaazonaaz2.gif (5.5 KiB) Viewed 258 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply