dard se jaane gaYe:Ghazalدرد سے جانے گئے: غزل

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

dard se jaane gaYe:Ghazalدرد سے جانے گئے: غزل

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraab-e-bazm: tasleemaat!

ek Ghazal pesh hai. raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar hai. shukriyah.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
=========================
Ghazal

dard se jaane gaYe, aahoN se pehchaane gaYe
mujh se pehle bazm meN jab mere afsaane gaYe!

anjuman meN teree jab jab tere deewaane gaYe
shama' sar dhuntee rahee, qurbaan parwaane gaYe!

saaqee-e-Khushkaar kee mo'jiz-numaayee dekhiYe
jis t^araf naz^reN uTheeN, us samt paimaane gaYe

waqt aayaa to naz^ar aayaa nah koyee door door
dost sab apne isee u'nwaan pehchaane gaYe!

ham bataaYeN kyaa huwe saare butaan-e-aarzoo
kuchh gaYe soo-e-Haram aur kuchh Sanam-Khaane gaYe!

chand KhwaaboN par binaa rakkhee thee ham ne zeest kee
aaNkh kholee to kahaaN woh sab Khudaa jaane gaye!

jaan-o-dil, a'ql-o-Khirad, i'lm-o-yaqeeN, wehm-o-gumaaN
ho bhalaa is i'shq kaa sab apne begaane gaYe!

ham haiN aur dunyaa pai hai ik naa-muraadaanah nigaah
aaYe the anjaan sab se aur anjaane gaYe!

ek ummeed-e-karam aur ik du,a'a-e-naatamaam
door tak raah-e-fanaa meN ham ko poNhchaane gaYe!

yaad ne Daale haiN Dere kaargaah-e-shauq meN
gaahe gaahe ham bhee waaN is dil ko behlaane gaYe!

dil woh ik naadaaN keh suntaa hee naheeN hai koyee baat
tum bhee "Sarwar" jaane kis z^aalim ko samjhaane gaYe!

DhooNDte ho ab yahaaN kyaa "Sarwar"-e-darwesh ko
SaaHeb-e-dil jis qadar the kab ke maiKhaane gaYe!

=========================
[/size][/b]
Attachments
gg-dardsejaane1.gif
gg-dardsejaane1.gif (17.15 KiB) Viewed 374 times
gg-dardsejaane2.gif
gg-dardsejaane2.gif (7.29 KiB) Viewed 374 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Nayeem Khan
-
-
Posts: 280
Joined: Sun Jan 13, 2008 2:32 pm
Location: Mahbubnagar, India.
Contact:

Re: dard se jaane gaYe:Ghazalدرد سے جانے گئے: غزل

Post by Nayeem Khan »

Is khubsoorat ghazal par meri daad pesh hai.
Tanwir Phool
-
-
Posts: 2178
Joined: Sun May 30, 2010 5:06 pm
Contact:

Re: dard se jaane gaYe:Ghazalدرد سے جانے گئے: غزل

Post by Tanwir Phool »

SUBHAAN ALLAH , bahut khoob Sarwar Sb.
Is dil kash kalaam par daad aur dili mubaarakbaad
qabool keeji'ey
http://www.abitabout.com/Tanwir+Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
Post Reply