ek Ghazal ایک غزل
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
ek Ghazal ایک غزل
یاران اردوبندھن: تسلیمات
چھوٹی بحر میں ایک ہلکی پھلکی غزل پیش کر رہا ہوں۔ شاید کسی قابل ہو۔ اپنی بیش بہا تنقید اورتبصرہ سے مستفید فرما کر مجھ کو شکریہ کا موقع عنایت کیجئے باقی راوی سب چین بولتا ہے۔
سرورعالم راز سرور
===================
غزل
ہے وفا چیز کیا، محبت کیا
خواب کیا، خواب کی حقیقت کیا
بیٹھے بیٹھے دل آج بھر آیا
جی پہ گزری ہے پھر قیامت کیا
ہو گئے گم خود اپنی آنکھوں سے
آ گئی آپ پرطبیعت کیا
دل دیا، جان دی، دیا ایماں
اس سے بڑھ کر بھی ہے عبادت کیا
عاشقی میں یہی تو ہوتا ہے
درد ہجراں کی پھر شکایت کیا
جب کہ ہر چیز آنی جانی ہے
اعتبار ملال و راحت کیا
وقت بدلا، بدل گئی دنیا
آخراس میں ہے ایسی حیرت کیا
دوست ہم بن گئے ہیں خود اپنے
دشمنوں کی ہمیں ضرورت کیا
کون سمجھائے کس کو سمجھائے
آدمی کیا ہے آدمیت کیا
ہم سمجھ بیٹھے آپ کو اپنا
ورنہ شکوہ کہاں، شکایت کیا
یہ غزل گوئی اور تم سرور
آ پڑی آخر ایسی آفت کیا
================
Ghazal
hai wafaa cheez kyaa, muHabbat kyaa
Khwaab kyaa, Khwaab kee Haqeeqat kiyaa!
baiThe baiThe dil aaj bhar aayaa
jee peh guzree hai phir qiyaamat kyaa!
ho gaYe gum Khud apnee aaNkhoN se
aa gayee aap par t^abee,at' kyaa?
a'ashiqee meN yehee to hotaa hai
dard-e-hijraaN kee phir shikaayat kyaa!
dil diyaa, jaan dee, diyaa eemaaN
is se baRh kar bhee hai i'baadat kyaa?
jab keh har cheez aanee-jaanee hai
e'tibaar-e-malaal-o-raaHat kyaa!f
waqt badlaa, badal gayee dunyaa
aaKhir is meN hai aisee Hairat kyaa?
dost ham ho gaYe haiN Khud apne
dushmanoN kee hameN Z^aroorat kyaa!
kaun samjhaaYe, kis ko samjhaaYe?
aadamee kyaa hai, aadmiyyat kyaa!
ham samajh baiThe aap ko apnaa
warnah shikwah kahaaN, shikaayat kyaa!
yeh Ghazal-goyee aur tum "Sarwar"
aa paRee aaKhir aisee aafat kyaa?
=========
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 2217
- Joined: Sun May 30, 2010 5:06 pm
- Contact:
Re: ek Ghazal ایک غزل
SUBHAAN ALLAH , bahut Khoob
ChhoTi baHr maiN baRi Ghazal !
Daad aur dili mubaarak baad paish hai
Taalib-e-du'aa-o-maHabbat
Tanwir Phool
ChhoTi baHr maiN baRi Ghazal !
Daad aur dili mubaarak baad paish hai
Taalib-e-du'aa-o-maHabbat
Tanwir Phool
http://www.abitabout.com/Tanwir+Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
Re: ek Ghazal ایک غزل
Sarwar Alam Raz saheb
achchi kawaish hey
S Anwer Jawaid Hashmi,Karachi
28th june,2012
=D>
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: ek Ghazal ایک غزل
mukarramee Tanwir SaaHeb: wassalaam!
taaKheer-e-jawaab ke liYe ma'Zirat-Khwaah hooN. zindagee kaa chakkar aisaa hee hai. Ghazal pasand karne aur daad ke liYe mamnoon hooN.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
taaKheer-e-jawaab ke liYe ma'Zirat-Khwaah hooN. zindagee kaa chakkar aisaa hee hai. Ghazal pasand karne aur daad ke liYe mamnoon hooN.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: ek Ghazal ایک غزل
muHtarim Hashmi SaaHeb: salaam-e-masnoon!
Ghazal kee pazeeraayee kaa dilee shukriyah. jawaab meN der huyee. ma'Zirat!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Ghazal kee pazeeraayee kaa dilee shukriyah. jawaab meN der huyee. ma'Zirat!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar: