A'alami Mushaei'rah Guzarish#54 ke liye miSra'.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

A'alami Mushaei'rah Guzarish#54 ke liye miSra'.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan Aadaab-o-tasleemaqat! :-)

A'alami Mushaei'rah Guzarish#54 january 2011 ke liye miSra'-e-tarH pesh-e-khidmat hai. mulaHizah keejiye.

:RAHA NAH LAB PEH KOEE MAAJRAA SUNAANE KO:

khaaliq-e-miSra' ma'roof Shaai'ir janaab TANWEER PHOOL SaaHib.

Qawaafi: sunaane, batane, zamane, lubhane, waghaerah.
Radeef: ko

Behr kee is shakl ko behr-e-mujtac mucammin makhboon meHZoof maqt^oa' kehte haiN. is kee aSal shakl yeh hai, :mustafi'lun.....faai'laatun......mustafi'lun.....faai'laatun: mundarajah zel muntakhib miSra' kee beHr beHr-e-mujtac kee aaTh rukanee shakl hai. jis meN tarteeb waar makhboon, meHZoof, aor maqtooa' ZaHaafaat istema'aal kiye gae haiN.

agar :faai'laatun: ka pehla :alif: nikaal diya jae to :fai'laatun: bach rehta hai yahee faai'laatun ka meHZoof ZaHaaf kehlata hai. aor isee tarH agar :mustafi'lun: ki :seen: nikaal dee jae to baaqee :mutfa'i'lun: reh jata hai.jise :mufaai'lun: keh diya jata hai. aor yahee :mustafi'lun: ka makhboob ZaHaaf hai.

isee tarH :meHZoof ZaHaaf: banate huwe :faai'laatun: se :tun: nikaal diya jata hai.yooN :faai'laa: bach jata hai. jise :faai'lun: kar diya jata hai. aor yooN yeh :faai'laatun: ka meHZoof zaHaaf ban jata hai. aor agar :faai'lun: ka :Noon: nikaala jaae to :faai'l: bachtaa hai. jise :fao'lun: keha jata hai. jo keh meHZoof maqtooa' ZaHaaf kehlata hai. is tarteeb-o-tabdeelee ke ba'd aSal beHr kee makhboon meHZoof maqtoa' shakl zel meN darj hai.

afaai'l:

= mufaai'lun.......fa i' laatun.......mufaai'lun.....fao'lun
=1212..........1122.........1212......22
=//0//0.......///0/0......//0//0....../0/0

ijaazut: ghaer qaafiyah band miSrooN meN fao'lun ko fai'lun yaa faai'lun likhne kee ijaazut hai.

tamaam shua'raa se shirkat kee darkhuwaast kee jatee hai.

Mutamanni-e-shirkat
Intezaamiyah Urdubandhan
Tanwir Phool
-
-
Posts: 2230
Joined: Sun May 30, 2010 5:06 pm
Contact:

Re: A'alami Mushaei'rah Guzarish#54 ke liye miSra'.

Post by Tanwir Phool »

Bahut bahut shukriyaa ke aap nay raaqim-ul-huroof ki ghazal say misra-e-tarah kaa
intikhaab kiyaa.Kuchh masaa'il aur beemaari ki wajh say Bazm maiN aanay kaa moqa
naheeN mil rahaa hai.Sab ko salaam kahi'ey aur hamaisha apni khusoosi du'aaoN maiN
yaad rakhi'ey,JAZAAK ALLAH
Taalib-e-du'aa : Tanwir Phool
http://www.abitabout.com/Tanwir+Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: A'alami Mushaei'rah Guzarish#54 ke liye miSra'.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Tanwir Phool wrote:Bahut bahut shukriyaa ke aap nay raaqim-ul-huroof ki ghazal say misra-e-tarah kaa
intikhaab kiyaa.Kuchh masaa'il aur beemaari ki wajh say Bazm maiN aanay kaa moqa
naheeN mil rahaa hai.Sab ko salaam kahi'ey aur hamaisha apni khusoosi du'aaoN maiN
yaad rakhi'ey,JAZAAK ALLAH
Taalib-e-du'aa : Tanwir Phool
moHtaram Tanweer SaaHib :salaam2: !

Aap kee SeHat ke baarah meN pata chala Allah aap ko jald az jald SeHat-e-kaamilah se naawaze. ham sab kee purkhulooS dua'aaeeN aap ke saath haiN.

Wassalam
Muzaffar AHmad
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: A'alami Mushaei'rah Guzarish#54 ke liye miSra'.

Post by sajhashmi »

:bismillah:
:salaam2:

کہا جو اُس نے سرِ بز م گُن گُنا نے کو
پھر اِ ک جو ا ز ہی باقی تھا گُن گِنا نے کو

نظر کا فا صلہ رکھا گیا ، ضر و ر ی تھا
بہت سے لوگ تھے ورنہ نظر میں آنے

قمر جلا لو ی جیسے نہ شعر کہہ پا ئے
کہ عُمر چاہیے اُ ن سا مقا م پا نے کو

ا میر ِ شہر کو ہر گز نہ یہ خبر پہنچے
کسی نے بخشا شرف مجھ غریب خانے کو

غموں کی دھوپ میں اک عمر کٹ گئی اپنی
ملے نصیب سے رنج و الم ہی کھا نے کو

سیدانورجاویدہاشمی
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: A'alami Mushaei'rah Guzarish#54 ke liye miSra'.

Post by sajhashmi »

Kaha jo Uss ny Sar e Bazm Gunn goonaney ko
Phir ik Jawaz hi baqui tha Gunn Ginaney ko!
Tanwir Phool
-
-
Posts: 2230
Joined: Sun May 30, 2010 5:06 pm
Contact:

Re: A'alami Mushaei'rah Guzarish#54 ke liye miSra'.

Post by Tanwir Phool »

:bismillah:
:walikum:
:subh: bahut Khoob bhai Hashmi Sb.
Is Ghazal par bhi apni besh qeemat raaey deeji'ey
viewtopic.php?f=20&t=6820
http://www.abitabout.com/Tanwir+Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
Post Reply