kalam Shafiq Murad

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

kalam Shafiq Murad

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Kalam Janaab Shafiq Murad

maiN kaainaat ko taskheer kar ke dekhooN ga,
maiN apne shaoq kee ta'meer kar ke dekhooN ga,

mire bayaan ko sunkar kaha hai munSif ne
tiree sazaa ko maiN teHreer kar ke dekhooN ga,

hawas ke haath na cho paaeeN jis ki bunyaadeeN
ek aesaa daor maiN ta'meer kar ke dekhooN ga,

yeh ZulmateeN, yeh ta'aSub, yeh nafratooN ki faZaa
har aek Zehr ko ikseer kar ke dekhooN ga,

maiN apne hath se likhooN ga qismateeN sab kee
maiN apne khaab ki ta'meer kar ke dekhooN ga,

sha'oor e Zaat wirasat meN chooR jaooN ga
kamaal e Zaat kee tashHeer kar ke dekhooN ga,
User avatar
Nayeem Khan
-
-
Posts: 280
Joined: Sun Jan 13, 2008 2:32 pm
Location: Mahbubnagar, India.
Contact:

Re: kalam Shafiq Murad

Post by Nayeem Khan »

Bohat khoob. Share karne ka shukria.
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: kalam Shafiq Murad

Post by sbashwar »

mire bayaan ko sunkar kaha hai munSif ne
tiree sazaa ko maiN teHreer kar ke dekhooN ga,

Janaab Shafiq Murad Sahab ki ghazal enayat karne ka shukria.
سالم احمد باشوار
Tanwir Phool
-
-
Posts: 2175
Joined: Sun May 30, 2010 5:06 pm
Contact:

Re: kalam Shafiq Murad

Post by Tanwir Phool »

:salaam2:
یہ خوب صورت کلام یہاں پیش کرنے کا شکریہ
ہمیشہ دعاؤں میں یاد رکھئے
:jazax:
http://www.abitabout.com/Tanwir+Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
Post Reply