Khush-aamded/Welcome URDU-BANDHAN...hamaaraa ghar

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Khush-aamded/Welcome URDU-BANDHAN...hamaaraa ghar

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

Khush-aamded/Welcome URDU-BANDHAN :)

moHtaram janaab e Naazir saaHib, moHtaramah janaabah Saara saaHiba aur tamaam mo'azziz saathiyoN ko dili-mubaarak-baad!

aap sab ko yeh jaan kar aur yeh dekh kar laa-mutanaahii masarrat hogii ki hamaaraa jaan se bhi azeez-tar ghar [URDU-BANDHAN] vaapis aa gayaa hai...aaiye, aaiye tashreef laaiye...aaiye yahaN ham phir se udham chaukaRii lagaate haiN aur jam kar dhamaal karte haiN.

ham aaj tarab meN raqsaaN haiN...aaiye aur mere saath jhoomiye [misl e feel!] :lol:
Image
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

assalam o alaikum

yeh to buhut khushi ki baat hay keh yeh khubsoorat site phir say bahaal ho gayee ..welcome to all the members again and again ...khush rehain sab ..

waqar masood
hello
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

MoHtarami A.Nazir SaaHib, MoHtarama Saara Jabeen SaaHiba, aur arbaab-e-meHfil ,

MaiN aap sab ko Urdubandhan ki baHaali par dheeroN mubaarakbaad paish kartaa hoN :D

Allah Ta'aalaa se du'aa hai k rabb-e-paak hamaare is Jannat-numaa ghar ki daai'm Hifaazat kare(Aameen) :D

................................................................

Hashmat bhai , aap ka bahut bahut shukriya k aap ne ye thread open kyaa :D

MokhliS: Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Shukriya

Post by Abdullah Nazir »


Muhtarameen
Hashmat Osmani Saahib,
Waqar-Masood Saahib, aur
Zia Baloch Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aap sab ka dobaarah istiqbaal karte houe bahut khushi mehsoos hourahi hei.

Allah ka fazl houaa ke Saara Saahibah ne poori tavajjoh dekar saari mushkilaoN per qaaboo paaliyaa. Doosre aap sab kii duayeN saath theen ke site bahaal hougaiee.

Aap sab ka shukriyah.

Aapka Mukhlis,

Nazir.
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Sab membran ko mobarak

Post by sbashwar »

Asslam Alaikom.
Har nayi koshish mein kuch na kuch khamiyan/rukavatein hoti hein. Alhamdlillah Urdubandhan ke dubara bahal honey par mein sabhi membran ko dili mubarak baad deta houn. Isko kamyaab banane ke liye sabhi hazraat ke tawoon ki zurorat hogi.
Shukria.
Salem Bashwar
Post Reply