maahaanah muntaKhib shaa'ir...Dr. MoHammad Iqbaal

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

iqbal
Attachments
iqbal-19.gif
iqbal-19.gif (40.74 KiB) Viewed 5054 times
iqbal-07.gif
iqbal-07.gif (52.01 KiB) Viewed 5054 times
hello
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam waqaar MiyaaN,

tumhaarii post_kardah donoN GhazleN 'allaamah kii nujhe bhii bahot hii pasand haiN. achchhii pasand hai aapkii, mashaa Allah! tumhaarii mazeed posts ka intezaar rahegaa. shukria share karne ke liye.

Hashmat
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

Image

Image

Image
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

CONCEPT OF SELF-RESPECT [KHUDI]

*. Nigah-e-faqr main shaan-e-sikandari kya hai?
Khiraaj ki jo gada ho, wo qaiseri kya hai?
Falaq nay ki hai ata un ko khaajgi kay jinhain
Khabar nahin rawish-e-banda parwari kya hai?
Kissey nahin hai tamanna-e-sarwari lekin
Khudi ki mout ho jis main, wo sarwari kya hai?
Buton say tujh ko umeedain, Khuda say no meedi
Mujhey bata tou sahi aur kaafri kya hai?


(Meanings: Nigah-e-Faqr main shan-e-sikandari kya hai = What is the worth of kingdom in eyes of a saint?; Khiraj ki jo gada ho, wo qeseri kya hai = Such a rule in which ruler is always worried about keeping it secure, is worthless; Falaq = Nature; Khaajgi = Ruling class; Khabar nahin = Ignored; rawish-e-banda parwari = Sense of serving humanity; tamanna-e-sarwari = Desires to rule; Khudi ki mout ho jis main wo sarwari kya hai = Such rule is insulting to gain which, self respect is required to be sacrificed; Buton = Idols (referring to fellow human beings here); umeedain = Expectations; no meedi = Disappointment; Kaafri = Non Muslim who donot believe in Oneness of God)


*. Aey Tair-e-Lahooti, uss rizq say mout achi
Jis rizq say aati ho, parwaz main kotahi
Aain-e-jawanmardi, haq goi-o-bay baaqi
Allah kay sheron ko, aati nahin rubaahi


(Meanings: Tair-e-Lahooti = Simile, addressing to Muslim youth; Rizq = food/income; Kotahi = Laziness, denotatively and connotatively referring to slavery here; Aain-e-Jawanmardi = Conditions to live with dignity; Haq goi = Honesty; Bay Baaqi = Bravery; Rubaahi = cunningness, hypocrisy)

*. Hai Fikr mujhey misra-e-saani ki zyada
Allah karey tujh ko ata Fuqr ki talwaar
Jo haath main ye talwaar bhi aa jayey tou Momin
Ya Khalid-e-Janbaaz hai, Ya Haider-e-Karrar


(Meanings: misra-e-saani = proceeding verse; Fuqr ki talwar = Strong Faith; Khalid-e-Janbaaz = Khalid Bin Waleed (May Allah be pleased with him); Haider-e-Karrar= Ali Ibn-e-Abu Talib (May Allah be pleased with him))

*. Wo kal kay gham-o-aish per kuch Haq nahin rakhta
Jo aaj khud afroz-o-jigar soz nahin hai
Wo qaum nahin laiq-e-hangama-e-farda
Jis qaum ki taqdeer main imroz nahin hai


(Meanings: gham-o-aish = thick n' thin; khud afroz-o-jigar soz = A person with motivation and determination; Laiq-e-hangama-e-farda = worthy to survive anymore; imroz = Present)

*. Paani paani ho gaya sun ker Qalander ki ye baat
Tu jhuka jab ghair key aagey, na tann tera na mann
Apney mann main dub kay pa ja suragh-e-zindagi
Tu agar mera nahi banta, na ban, apna tou bann


(Meanings: paani paani ho gaya = ashamed of oneself; Qalander = Saint; Ghair = Stranger (British here); tann and mann = Body and Soul; suragh-e-zindagi = Connotatively referring to secrets to live prestigious life)

*. Ho terey bayaban ki hawa tujh ko gawara
Iss dasht say behter hai na Dilli na Bukhara
Jis simt main chahey, sift-e-sal-e-rawan chal
Wadi ye hamari hai, wo sehra bhi hamara
Ghairat hai bari cheez jahan-e-tag-o-dou main
Pehnati hai derwaish ko taj-e-sir-e-dara
Afraad kay haathon main hai akwaam ki taqdeer
Her fard hai millat kau muqaddar ka sitara
Deen haath say dey ker agar azad ho millat
Hai aisi tijarat main Musalaman ka khasara


(Dr. Iqbal is addressing British here)

(Meanings: Bayaban = referring to Britain here; gawara = acceptable; dasht = Desert denotatively (India connotatively); Simt = Direction; sift-e-sal-e-rawan = Continuous flow; Wadi = Valley; Sehra = Desert; Ghairat = Self Respect; Jahan-e-tag-o-dou = World of struggle; Derwesh = begger here; Taj-e-sir-e-dara= Royal crown; Afraad = People; Akwaam = Nations; Fard = Individual; Millat = Nation; Muqaddar = destiny; Deen = Islam; Tijarat = Deal/Trade agreement; Khasara = Loss)

*. Kabhi aey, Naujawan Muslim! taddabur bhi kiya tu ney?
Wo kya gardon tha tu jis ka hai ik toota hua tara
Tujhey uss qaum nay pala hai aaghosh-e-mohabbat main
Kuchal dala tha jis nay paon main taaj-e-sir-e-dara


(Meanings: Taddabur = To think; Gardon = Sky (Simile, group of Prophet (PBUH) and his companions here); Qaum = Nation (Muslims here); Aaghosh-e-Mohabbat = Caring protection; Kuchal = Trample; Taj-e-sir-e-dara = Royal crown)

*. Hawa-e-byaban say hoti hai kaari
Jawanmard ki zarbat-e-ghaaziyanan
Paltna, jhapatna, jhapat kay palatna
Lahu garm rakhney ka hai ik bahana
Parindon ki duniya ka derwesh hon main
Kay shaheen banata nahin aashiyana


(Meanings: Hawa-e-byaban = Deserts (referring to challenging tasks here); Kaari = Influential; Jawanmard = Brave man; Zarbat-e-Ghaziana = Daring strike; Lahu = Blood; Bahana = Excuse; Derwesh = Saint; Shaheen = Falcon (Muslim youth here); Aashiyana = Permanent residence)

*. Utha mat khana-e-shesha-e-farang kay ihsaan
Sifaal-e-Hind say meena-o-jaam paida ker
Hazar chasshmey teri sang-e-rah say phootey
Khudi main doob kay zarb-e-kaleem paida ker


(Meanings: Khana-e-sheesha-e-farang = Referring to British here; Sifaal-e-Hind = Referring to former united India (sub contient) here; Meena-o-jaam = Referring to necessities of life here; Chasshmey = Denotatively means fountains but connotative meanings here, referring to obstacles; Sang-e-rah = Track/path; Phootey = Emergence; Zarb-e-Kaleem = Powerful Strike)

*. Nahin tera nash-e-mann kasr-e-sultani kay gumband per
Tu Shaheen hai basera ker paharon ki chatanon per


(Meanings: nash-e-mann = home; kasr-e-sultani = denotatively, it stands for royal palace but here, it means ease and laziness; Basera = Shelter; Chatanon = Rocks)

*. Aghyaar kay ufkaar-o-takhayyul ki gadai
Kya tujh ko nahin apni khudi tak bhi rasai?


(Meanings: Aghyaar = Referring to British; Ufkaar = Policies; Takhayyul = Theories; Gadai= to beg; rasai = access)

*. Khudi ko ker buland itna kay her taqdeer say pehley
Khuda bandey say khud poochey bata teri raza kya hai

*. Ghulami main na kaam aati hain shamsheerain, na tadbeerain
Jo ho shok-e-yaqeen paida tou cut jaati hain zanjeerain
Koi andaza ker sakta hai iss kay zor-e-bazu ka?
Nigha-e-mard-e-momin say badal jati hain taqdeerain


(Meanings: Ghulami = Slavery; Shamsheerain = Swords; Tadbeerain = Plannings; Shok-e-yaqeen = Sense of self respect; Zanjeerain = restraints; Andaza= Guess; Zor-e-Bazu= Strength; Nigah-e-Mard-e-Momin = Glare of a Muslim (connotatively referring to strength of a strong faith Muslim); Taqdeerain = Destiny)
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

yeh merii bahot hii ziyaada pasandeedah Ghazal hai...aap bhii lutf uThaaiye. is sher ka jawaab nahiiN!:


zindagii kii reh meN chal, lekin zaraa, bach_bach ke chal!
yeh samajh le koii meenaa_Khaana baar-e-dosh hai

Image
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,
zaraa is par bhii Ghaur o fikr farmaaiye, shukria.

Image
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Saara,

meri pasand ko pasand farmaane ka bahot bahot shukria.

'allaamah ne baja farmaayaa ki aise Kharqa_poshoN se Allah bachaaye! aapkaa pesh karda 'allaamah ka zareefaana kalaam paRh kar be_saaKhta haNsii aa gaii aur mujhe apne bhaaii ka sunaayaa huaa joke yaad aa gayaa. mere bhaaii saaHib baRe hii masKhare saabit huye ahiN. to joke sunaane kii ijaazat chaahuNga:


ek aise hii "PEER" saaHib kii maHfil meN mureedoN ne unheN gher rakkha thaa ba har chaar soo se. Hasb-e-ma'mool "PEER" saaHib apne ilm_o_faiz ke jawaahir luTaa rahe the ki yak_ba_yak gardooN meN ek bijli kaRkii apne poore garaj aur damak ke saath aur "PEER" saaHib maare Khauf ke palang [bed] par se ek jaanib gir paRe. sharmindagii aur nadaamat to bahot huii aur mureedain bhii be_qaaboo ho kar apna muNh chhipa chhipa kar haNs paRe. "PEER" saaHib ko apnii "PEERI" kii gaddi jaate huye nazar aayii to baat banaana unko munaasib lagii...kisii taur apne Khauf se gir jaane waalii baat ko koii "SPIN" denaa thaa. so, ba_aawaaz-e-buland aur Had_darja Khafgii ka izhaar karte huye suKhan taraaz huye:

"na-ma'qoolo! tum haNste ho! is mauq'e se 'ibrat lene ke bajaaye tumheN is meN mizaaH ka pahloo nazar aayaa! are jaahilo! tumko to Allah ke Dar aur Khauf se zamiin meN sajda_rez ho jaanaa chaahiye thaa...maiN bataataa huN ki maiN zamiin meN kiuN giraa.....baat yeh hai ki tum meN sa aisa koii hai jisse Allah saKht naaraaz hai aur us par yeh bijli kaRak kar girne waalii thii...mujhe isii asnaa meN is baat ka ilhaam huaa aur maiN ne us kaRaktii huii bijlii kii ROD ko apne dosh par le kar us taraf uchhaal diyaa to aise aapkii maiN ne jaan bachaayii...astaGhfaar karo, jaahilo!"

aanan faanan saare mureed unke qadmoN meN gir kar giRgiRaane lage.... :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:

yeh hai hamaare "PEERON" kii Kharqa_poshii ka aslii roop! :cry: :roll: :roll:
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

Image
Image
Image
Image
Image
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Saara,

aapkii chaspaaN_kardah 'allaamah kii nazm ba-'onwaan-e-"insaan" bahot pasand aaii. share karne ka shukria. ummeed hai ki aap jald hii kuchh aur pesh kareNgi. shukria.

Hashmat
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Saara,

aapne 'allaamah ka ek aur umda kalaam pesh kiyaa hai. paRh kar tabii'at Khush ho gaii. Thankoo

Hashmat
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

maiN aaj aapkii Khidmat meN 'allaamah ka ek munfarid kalaam pesh kar rahaa huuN. ummeed hai ki pasand aayegaa. shukria.

to kalaam mulaaHizah farmaaiye:
Image
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

moHtaram Hazraat aur mo'azziz Khawaateen-e-maHfil,

salaam,

maah-e-aprai'il Khatm hone ko aayaa aur usii munaasibat se ab 'allaamah Iqbaal kii laRii ko ba-dil-e-bardaashta qufl lagaane kaa waqt aan pahoNchaa hai. aisii 'azeem hastii kii daastaan naa_Khatm honewaalii hotii hai jab tak ki uskaa paiGhaam gali gali ke tiflaan aur baaliGhaan tak na pahoNch jaaye aur vo us par 'amal pairaa na ho jaayeN taakli hamaaraa deen Ghaalib aaye. aameen.

aap sab shorakaa~ kaa main teh-e-dil se mamnoon aur shukr_guzaar huuN ki aapne baRh chaRh kar Hissa liyaa aur ise kaamiiyaab banaayaa. maiN ek baar phir se aap sab kaa shukria adaa kartaa huN,

ab se aap log agar kuchh 'allaamah ke silsile se post karnaa chaaheN to IQBAALIYAAT kaa forum dast_yaab hai...ba_raah-e-karam vahaaN apne mazaameen aur 'allaamah ke kalaam chaspaaN kijiiye. shukria.

faqat Khaak_nashiiN,

Hashmat
Image
Post Reply