aap kee ghazal be-hadd pasand aayee ...
GHALIB kee zameen main aik achhy ghazal kahee hay .. DAAD qubool keejiye
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
Raheel Ahmed saaHeb:
Aadaab,
takheer se likhne ke liye bohat ma'azrat, aap kee daad ke liye bohat bohat mamnoon hooN.
umeed hai ke aahinda bhi aap kee aara aur hosla-afzai ka silsilah jaare rahe gaa
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
maashaa Allah , nazar na lage, kyaa hi khoob ghazal kahi hai aap ne , jee khush hogayaa :D . jaisa k Mahtaab SaaHib ne farmaayaa k Ghalib ki zameen maiN ghazal kehna hi dil gurde ka kaam hai , aur aap ne to maashaa Allah kamaal kar dikhaayaa hai . bahut khoob janaab ! . meri jaanib se DheroN daad qabool kejeye !. shukriya
mokhliS : Zia Baloch
Janab-e-Zia Baloch SaaHeb:
Aadaab,
takheer se likhne ke liye maa'zrat khwah hooN. aap ke khat ko daikh kar khushi hoovii. bhahii muft meN daad milna kise naheiN pasand
khair aap kee daad aur kalaam kee pasandeedgi ke liye bohat mamnoon hooN.
dua go
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)