Lafz par Ashaar#7--" MAUSAM"

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

mausam

Post by Abdullah Nazir »




dilj silj le kp njoo ,aisa, jeoM saatj gizaremge

dounoN milkar jeewan kii taqdeer sanwaareNge.



Nazir.

Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

tumhaare Gham kaa mausam hai abhii tak
lab-e-tashna pe shabnam hai abhii tak


Anees Ansaarii
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

aise hijr ke mausam ab kab aate haiN
tere 'alaava yaad hameN sab aate haiN


Shai'hryaar
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

mausam

Post by Abdullah Nazir »




beHr-e-hastii meiN tamavvuj ke Ajab mausam heiN

kabhii Toofan-e-balaa hei tou kabhi khaamoushii.



Nazir.

Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

yuuN hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate haiN insaaN, jaanaaN!


AHmad Faraaz
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

"mausam"

Post by Abdullah Nazir »




MaiN bhii mausam kii TaraH kaise badal saktaa hooN

mujhko aataa nahiN kyaa waAdah nibhaanaa jaanaaN.



Nazir.

Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

phuul, Khushbuu, jhiil, mausam, dhuup, titlii aur havaa
sab ke chehroN par udaasii tere jaane ke baad


Sarvesh Chandausii
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

mausam

Post by Abdullah Nazir »




kunje-e-tanhaayi meiN thaa afsurdah aur naalaaN bahut

Mausam-e-gul aagayaa hei phir tire aane ke bad.



Nazir.

Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

baarish huii to phuuloN ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye


Parveen "Shaakir"
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

mausam

Post by Abdullah Nazir »




MaiN tere saath kahaaN se kahaaN chalaa aayaa,

Purkaartaa hii rahaa mausam-e-bahaar mujhe.



Nazir.

Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

uThii hai maGhrib se ghaTaa
piine kaa mausam aa gayaa


Hafeez Jullundhari
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

"mausam"

Post by Abdullah Nazir »




Mausam ke badalne se dunyaa tou nahiN badlii

aajaoo keh mil jul kar baateN kareN ham dounoN.



Nazir.

Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

koii mausam ho, havaa le ke chalii aatii hai
duur pardes meN bhii Khaak-e-vatan kii Khushbuu


Malikzaada Manzoor AHmad
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

"mausam"

Post by Abdullah Nazir »




[/u]hamaare pyaar kaa mausam bhii hei ajab mausam

nah aasakegi khizaaN phir kabhi bahaar ke ba'd.[/u]



Nazir.

[/color
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

yeh udaasiyoN ke mausam kahiiN raayegaaN na jaayeN
kisii zaKhm ko kuredo, kisii dard ko jagaao


AHmad Faraaz
Image
Post Reply