Lafz par Ashaar#7--" MAUSAM"

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

chaak-e-jigar muhataaj-e-rafuu hai aaj to daaman sirf lahuu hai
ek
mausam thaa ham ko rahaa hai shauq-e-bahaaraa.N tumase ziyaadaa

MajrooH Sultaanpuri
Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

baarish huee to phooloN ke tan chaak ho gaey
mausim ke haath bheeg ke saffaak ho gaey
p.shakir
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

waqt guzraa hai par mausam nahiiN badlaa, yaaro!
aisii gardish hai zamiiN Khud bhii duhaaii degii


Anwar Masood
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

aaj gulistaaN meN phailii hai Khushbuu terii yaadoN kii
mausam-e-gul hai, ham haiN, tanhaa dil par gahraa daaGh liye

Krishn "Adeeb"
Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

sard mausim meiN kaheeN saaNs na jamne paey
jism ke khol meiN ik shola, sadaa ka rakhna
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

mumkin hai k tu jisko samajhtaa hai bahaaraaN
auroN kii nigaahoN meN vo
mausam ho KhizaaN kaa


'allaamah Iqbaal
Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

SUN RAHA HOON NAVEED E MAUSAM E GUL
SHAKL AB TAK NAZAR NAHIN AATI
waqar zaidi
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

kaun batlaaye tumheN kaise vo mausam haiN k jo
mujh se hii duur raheN, mujh meN hii baste jaayeN


Ummeed Faazlii
Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

rut na badle to bhi afsurdah shajar lagta hay
aur mausim ke taghayyur se bhi Dar lagta hay
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

mausam ko ishaaroN se bulaa kiuN nahiiN lete
ruuThaa hai agar vo to manaa kiuN nahiiN lete


Zafar Gorakhpuri
Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

mausim kahaaN maantaa hai tahaziib kii bandhishon ko
jismon se baahar nikal ke angaDaa_iyaaN boltii hain
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

mere Haal pe Hairat kaisii dard ke tanhaa mausam meN
patthar bhii ro paRte haiN, insaan to phir insaan huaa



MoHsin Naqvii
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

kaliyoN ne bhii khil_khil ke rituoN ko sadaa dii hai
pattoN ne bhii hil_hil ke shaaKhoN ko havaa dii hai
mausam pe bahaar aaii, mere dil kaa chaman viraaN


Kumar "AaNsoo"
Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

lutf jo us ke intazaar mein hay
vo kahaaN mausim-e-bahaar meiN hay
User avatar
syed bilal armaan
-
-
Posts: 189
Joined: Mon Jan 17, 2005 12:57 pm
Contact:

Post by syed bilal armaan »

koi badal naye MAUSAM ka phir elaan karta hai
khaz'an ke baagh main jab ek pata bhi nahi raheta...
Post Reply