samandari toofaan (taaza kalaam)
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
samandari toofaan (taaza kalaam)
Monday, December 27, 2004
samandari toofaan
suna hay keh samandar main koee toofaan aaya hay
parayshani ki zad main Aalam e insaan aaya hay
samandar say nikal kar aa gaee haiN mouj saRkoN per
gharoN say beh kay paani main sarosaamaan aaya hay
huaa hay youN to Indonasia main zalzala barpaa
magar zad main Srilanka o Hidutaan aaya hay
nahiN poochha ajal nay naam o mazhub marnay waloN say
nah zindah Ram louTa hay nah wapas Khan aaya hay
dawayeN baap ki laynay jo apnay ghar say nikla tha
woh KHidmat main pidar ki be dawa be jaan aaya hay
machhairoN nay samandar main jahaN ik jaal Daala tha
samak kay saath phans kar us main ik insaan aaya hay
main roTi laykay aata hooN gaya tha keh k bachchoN say
nah KHud louTa nah khanay ka koee saamaan aaya hay
ilahee movt yeh kaisi hay jis main marnay waloN ko
muyassar nah chita aayi nah qabrastaan aaya hay
luTairay loot main masroof haiN aisi tabaahee main
badal kar apna chehra daykhiye shaitaan aaya hay
husaini hum khiyaaloN main jo jaa e hadesa ponhchay
nazar manzar hamaiN charoN taraf veeraan aaya hay
Khozema Husaini Khandwi

-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
hashmat sahibHashmat Usmani wrote:salaam Khuzaima saaHib,
aapkaa kalaam paRha aur dil be_saaKhta maGhmoom ho gaya aur ranj o Gham kii ek lahr saare maaHaul meN phail gaii. aapne waaqi'aat aur jazbaat kii umdagii se tarjumaanii kii hai.
Allah kare zor e qalam aur ziyaada.
faqat Khaak_nashiiN,
Hashmat
nacheez is housla afzaaee kay liye mamnoon o mashkoor hay
husaini
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Achce ta'assuraat heiN
Muhtarami
Khuzema Husaini Saahib
Aapki nazm paRhkar bahut khushi houi.
Khaas Taur per aapke ta'assurat ne mujhe bhi bahut muta'assir kiyaa.
Meri daad aur mubaarakbaad haazir hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
Re: Achce ta'assuraat heiN
WEBMASTER wrote:
Muhtarami
Khuzema Husaini Saahib
Aapki nazm paRhkar bahut khushi houi.
Khaas Taur per aapke ta'assurat ne mujhe bhi bahut muta'assir kiyaa.
Meri daad aur mubaarakbaad haazir hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
bohat bohat shukriyah
husaini
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Mohtarmi wa mukarrami Khuzema Husaini Sb
Aap ki murassa' nazm paRhkar dil bhar aaya. Bahut khub manzar kashi ki hai aap ne inn museebat ke maroN ki. Aap ki nazm dekh kar besakhta ghair daanista taur per ek she'r maiN bhi kah baitha. Jisaarat ki ma'zrat chaahta hooN Bhai.
KahaN se dhoond kar laaye koii ab Nooh ki kashti
Khuda ka qahr banker aaj phir toofan aaya hai
Meri janib se nazm ki bharpoor daad qubool farmaiye.
Mukhlis,
Jawaid Badauni
Musact - Oman
Aap ki murassa' nazm paRhkar dil bhar aaya. Bahut khub manzar kashi ki hai aap ne inn museebat ke maroN ki. Aap ki nazm dekh kar besakhta ghair daanista taur per ek she'r maiN bhi kah baitha. Jisaarat ki ma'zrat chaahta hooN Bhai.
KahaN se dhoond kar laaye koii ab Nooh ki kashti
Khuda ka qahr banker aaj phir toofan aaya hai
Meri janib se nazm ki bharpoor daad qubool farmaiye.
Mukhlis,
Jawaid Badauni
Musact - Oman
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
shukriya
aadaab
housla afzaee ka shukriya
husaini
housla afzaee ka shukriya
husaini
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami Khozema Husaini SaaHib,
aap ka bahut saaraa kalaam paRhne ko mil raha hai in dinoN. maashaa Allah nazar na lage khoob aamad horahi hai
kyaa khne Huzoor ! ham tu ab aap k kalaam k deevaane hogaye haiN :D .
kamaal k likhte haiN saaHib aap tu . bahut khoob!
aap ne samandari tofaan ka jo naqsha kheNcha hai, us keleye mere paas lafz nahiN . bahut u'mda ! DherooN daad !
aayenda bhi intezaar rahyega . shukriyamokhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
zia sahaibStar Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,
moHtarami Khozema Husaini SaaHib,
aap ka bahut saaraa kalaam paRhne ko mil raha hai in dinoN. maashaa Allah nazar na lage khoob aamad horahi hai
kyaa khne Huzoor ! ham tu ab aap k kalaam k deevaane hogaye haiN :D .
kamaal k likhte haiN saaHib aap tu . bahut khoob!
aap ne samandari tofaan ka jo naqsha kheNcha hai, us keleye mere paas lafz nahiN . bahut u'mda ! DherooN daad !
aayenda bhi intezaar rahyega . shukriyamokhliS : Zia Baloch
aadaab
bohat bohat shukriya aap ki daad ka.
husaini
wah Khozema sahab..bahut khoob manzar kashi ki hai aapne tsunami ki...bahut hi afsosnaak haadsa pesh aaya hai yaqeenan jo kitni hi jaaneiN le kar chala gaya...daad haazir hai is koshish par.
Shumaila
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
shumaila jiShummu wrote:wah Khozema sahab..bahut khoob manzar kashi ki hai aapne tsunami ki...bahut hi afsosnaak haadsa pesh aaya hai yaqeenan jo kitni hi jaaneiN le kar chala gaya...daad haazir hai is koshish par.
Shumaila
aadaab
buhat buhat shukriyah
husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini