ik dasht-e-naamuraadee dil kee yeh bastiyaaN haiN!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ik dasht-e-naamuraadee dil kee yeh bastiyaaN haiN!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

kuch` a'rSeh qabl Irfan Abid SaaHeb ne Mir Taqee "Mir" ke raNg meN ek Ghazal i'naayat kee th`ee jis kaa mat^la' th`aa:

aaneN baRe baRoN kee Khat^re meN DaaliyaaN haiN
kitnoN kee TopiyaaN ik dil ne uchh`aaliyaaN haiN

mujh` ko bh`ee "baiTh`e-biTh`aaYe shauq charraayaa" keh kyoN nah maiN bh`ee puraane raNg meN kuch` kehne kee koshish karooN? sawaal yeh th`aa keh zameen aur beHr kyaa ho?

is fikr meN meraa Zehn us she'r kee jaanib gayaa jo mujh` ko beHad pasand hai, ya'nee:

woh SoorateN ilaahee! kis des bastiyaaN haiN?
ab jin ke dekh`ne ko aaNkh`eN tarastiyaaN haiN!

so maiN ne bh`ee isee zameen-o-beHr meN t^aba'-aazmaayee karne kee koshiah(-e-naakaam?) kee hai jo pesh-e-Khidmat hai. z^aahir hai keh is raNg meN mere liYe kaamyaab sahaa,i'ree taqreeba" naa-mumkin hai. fikr-e-suKhan se andaazah huwaa keh chooN.k yeh aaj kal kee zabaan naheeN hai aur maiN is se kam hee waaqif hooN, lihaaZah is meN asha'ar kehnaa mumkin to hai lekin yeh sab :aawurd: kee shaai'ree hai. "aamad" kaa is meN daKhl bohat hee kam hai.

mazeed yeh keh qawaafee (bastiyaaN, tarastiyaaN) ne bh`ee fikr par saKht paabandee lagaa rakh`ee hai. is silsileh meN maiN ne kuch` aazaadee iKhtiyaar kee hai jo shaayad aisee buree bh`ee naheeN hai. lekin is kaa faiSilah to aap hee kareN ge!

ba-har-Haal yeh Ghazal kehne se kam-az-kamdil kee ek Hasrat to nikal gayee! ab yeh i'lm naheeN hai keh aa,indah bh`ee aisee koyee "bid,a't" karooN gaa keh naheeN!

ab aap Ghazal suniYe aur apne Khayaalaat aur raaYe se be-takalluf aagaah keejiYe. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

======================================
GHAZAL:

ik dasht-e-naamuraadee dil kee yeh bastiyaaN haiN!
saaNseN behaktiyaaN haiN, aaheN sisaktiyaaN haiN!

deewaanagee hee apnee pehchaan ho gayee hai
dh`aRke hai be-t^araH dil, aaNkh`eN barastiyaaN haiN!

kyaa Khoob ham ne seekh`aa furqat meN zeest karnaa
us aaNkh` kaa taSawwur aur mai-parastiyaaN haiN!

lohoo kabh`oo piyaa hai, lab ko kabh`oo siyaa hai
tis par bh`ee teree z^aalim! yeh baalaa-dastiyaaN haiN!

zinhaar dil nah dewe koyee kabh`oo kasoo ko
is raah-e-a'ashiqee meN pastee see pastiyaaN haiN!

dunyaa ko jis gh`aRee bh`ee Tuk ik nigaah dekh`aa
Hasrat ke haiN so kooche, aahoN kee bastiyaaN haiN!

mere sawaal-e-Gham par us kee yeh be-niyaazee?
eedh`ar yeh HasrateN haiN, oodh`ar woh mastiyaaN haiN!

tujh` naatawaaN ko "Sarwar" is a'ashiqee ne maaraa
yaadeN tujh`e kasoo kee din raat DastiyaaN haiN
!

--------------------------
dasht = SeHraa, registaan, desert
dast-e-naamuraadee = naa-muraadiyoN kaa registaan
furqat = hijr, meHboobah se judaayee
zeest = zindagee
taSawwur = Khayaal
mai-parastee = sharaab peenaa
lohoo = Khoon
tis par = is par bh`ee
baalaa-dastee = haath` kaa ooNchaa honaa ya'nee kisee par apnaa iKhtiyaar ho jaanaa
zinhaar = kabh`ee naheeN
kabh`oo = kabh`ee
kasoo = kisee
pastee = neechaayee
Tuk = Zaraa see, th`oRee see
kooche = galiyaaN
be-niyaazee = be-ruKhee, tawajjuh kaa nah honaa
eedh`ar = idh`ar
oodh`ar = udh`ar
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: ik dasht-e-naamuraadee dil kee yeh bastiyaaN haiN!

Post by najma »

Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

JANAB S.A.RAZ :SARWAR: SAHIB!
ASSALAM-O-AALAIKUM

Ghazal paRhne se pehle ye ta,assur rahaa keh aap ne waqaee ek na-kam hi koshish kii hogii.lekin har she,r ek se baRh ke ek nikala hay aap ne.

lohoo kabh`oo piyaa hai, lab ko kabh`oo siyaa hai
tis par bh`ee teree z^aalim! yeh baalaa-dastiyaaN haiN!

mere sawaal-e-Gham par us kee yeh be-niyaazee?
eedh`ar yeh HasrateN haiN, oodh`ar woh mastiyaaN haiN!

khaas taur se in ash,aar meiN to esa laga. goya aap ne hamieN ''MEER'' ka zamana dikhadiya ho.
yehii naheeN, aap ne to itne munfarid se qafiye bhi nikale haiN.
ek bohat hii khoobsoorat aur apni nau,iyyat ki behtareen Ghazal par bhar pur daad qubool kijiye
khair andesh
najma
:-)
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Najma SaaHebah: aadaab!

aap kee i'naayat hai jo aise alfaaz^ se mujh`e yaad kar letee haiN warnah ba-z^aahir to meree is koshish ko qubool-e-a'am HaaSil naheeN huwaa! aap kee daad ke liYe dilee shukriyah!

ummeed hai keh aap se niyaaz HaaSil hotaa rahe gaa.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :lol:

Aapki ghazal beHad pasand aayii. saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Sirf mandarja-e-zeil-misreA per mujhe ruknaa paRaa:

tis par bh`ee teree z^aalim! yeh baalaa-dastiyaaN haiN!

Lafz "baalaa" kii aliff ko giraane kaa javaaz mere ilm meiN nahiN. Mehrbani farmaakar rehnumaayi keejiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Thu May 05, 2005 4:34 am, edited 1 time in total.
Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Ra'naa SaaHeb:aadaab!

Ghazal kee paZeeraayee ke liYe mamnoon-o-mutashakkir hooN! aap ke aane se is meHfil kee raunaq baRh` gayee hai!

aap ne apne pehle sawaal kaa jawaab Khud hee de liYaa hai. jahaaN tak doosre sawaal kee baat hai to alif kaa dabnaa bohat a'am hai. yeh a'ib to shaayad hai lekin :gardan-zadanee: naheeN hai. :-)

waise yeh a'rZ^ kar dooN keh a'rooZ^ kaa mujh` ko koyee KhaaS i'lm naheeN hai. aap behtar jaante haiN.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

Ghazal pasand karne kaa aur is Haqeer-e-pur-taqSeer ko daad se nawaazne kaa bohat shukriyah!

Zikr meraa mujh` se behtar hai keh us meHfil meN hai!

qiblah Ra'naa SaaHeb ko un ke sawaal ke jawaab meN jo likh`aa hai woh dekh` leejiYe. waise maiN aap jaise SaaHeb-e-i'lm ke saamne bh`alaa kyaa bol saktaa hooN?

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Mohatram Sarwar Raz Sahib
Tasleemat
aap ki is khoobsurat ghazal ka har sher pasand aaya, mazameen aur meer ka andaaz donoN hi lajawab haiN aapne meer ki zameen mai sher kahkar apni meer taqi meer se gahri wabastagi aur unke asloob se talluq aur apne ustadana andaaz e bayaN ka suboot dia hai.
BAHUT BAHUT MUBARAK
shukria
Mahtab Qadr
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHibbee Mahtab Qadr SaaHeb:aadaab!

muddat ke ba'd aap se niyaaz HaaSil huwaa aur bohat Khushee kaa baa,ic huwaa. Jazaak Allah!

Ghazal pasand karne aur us kee daad dene ke liYe mere paas ek lafz^ :shukriyah: hee hai jo bohat naa-kaafee hai! wohee HaaZ^ir hai! qubool keejiYe.

Mir kee kyaa baat hai. maiN Mir, Ghalib aur Iqbal kaa bohat maddaaH hooN. ek jagah maiN ne kahaa bh`ee hai keh:

shaa,i'ree apnee baraaYe-bait hai "Sarwar" keh maiN
Haashiyah-bardaar-e-Ghalib, Khoshah-cheen-e-Mir hooN!

yeh iz^haar-e-waaqia' hai, shaa,i'raanah kasr-e-nafsee naheeN hai.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtarami Sarwar Alam Raz Sarwar SaaHib, salaam-e-a'qeedat :)

puraane raNg maiN raNgee aap ki ye dil-kash Ghazal aap k dil-nasheen andaaz maiN intehyaayee lut^f-aafareen hai , aap ne jis ustaadaana mahaarat se zabaan-o-bayaan ko bartaa hai , woh Sirf aap hii kaa KhaaSSaa hai !! , kaash ham bahut kuch keh sakte , laken apnee kam-i'lmee jo aaRe aajaati hai :C . ba-har-Haal , meeri jaanib se DheeroN daad qabool kejeye !! , bahut bahut shukriya :) rose:

moKhliS : Zia Baloch :-)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezee Najm SaaHeb:aadaab!

bhaayee aise bh`ee betaab nah hoN keh apnee u'mr mere naam likh`waane lageN! abh`ee aap kee u'mr hee kyaa hai jo jaane kee itnee jaldee hai? jaane waaloN meN to hamaaraa number aage hai!

dil kaa jaanaa Thehar gayaa hai, SubH gayaa yaa shaam gayaa! (Mir)

aap kee muHabbat aur daad ke liYe dil se mamnoon bh`ee hooN aur dua'a-go bh`ee. aaj kal t^abee,a't sanjeedah aur Ghaur-o-fikr kee shaa,i'ree kee jaanib maa,il hai. lekin ph`ir Khayaal aataa hai keh:

u'mr saaree to kaTee i'shq-e-butaaN meN Momin
aaKhiree waqt meN kyaa Khaak musalmaaN hoN ge!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHibbee Zia SaaHeb: aadaab!

kyaa Haal hai aur aap aaj kal :suffer: kee kis manzil meN haiN? Khudaa kare keh aap jald gh`ar aa jaaYeN. SubH kaa bh`oolaa shaam ko gh`ar aa jaaYe to us ko bh`oolaa naheeN kehte!

daad-o-sitaayish ke liYe mutashakkir hooN. Farsi meN kahooN gaa keh :reHmat-e-shumaa ziyaad!:

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Taqreeb kuch tou....

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :lol:

Aap ne RaAna Saahib ko likhkha thaa:

(((aap ne apne pehle sawaal kaa jawaab Khud hee de liYaa hai. jahaaN tak doosre sawaal kee baat hai to alif kaa dabnaa bohat a'am hai. yeh a'ib to shaayad hai lekin :gardan-zadanee: naheeN hai. )))

Meraa bhii yehi khayaal hei ke Harf-e-alif qaabil-e-gardan zadanee nahiN hei taa aankeh koii sharAii javaaz nikal aaye. :lol:

Kisi kaa sheAr hei:
"dil jou har dam udaas rehtaa hei
khuda jaane kis ke paas rehtaa hei"
:roll:

Aapkaa Mukhlis,
Nazir.

Image
Post Reply