Surkh Chilman meiN haseeN TajMahal ho jaise....!

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Surkh Chilman meiN haseeN TajMahal ho jaise....!

Post by Shummu »

Salaam Ahl-e-bazm!

Kamal Hatvi ka kalaam apne andaaz mein pesh kar rahi hoon...ummeed hai pasand aayega :)

Shumaila



ROMAN VERSION


Surkh chilman meiN haseeN Taj Mahal ho jaise
Aap ka husn mohabbat ki ghazal ho jaise

Aao kuch der zamaane se kahiN duur chaleiN
YuN jiyaa jaaye keh bas aakhri pal ho jaise

kyoN nahi aata tujhe meri mohabbat pe yaqeeN?
kyoN ye lagta hai tere maaThe pe bal ho jaise?!

yuN qareeb aayeiN keh bichReiN to koi ranj na ho
saaNs lena bhi mohabbat meiN khalal ho jaise

yuN uThii jaise koii barq chamak jaaye kahiN
ik nazar saare sawaalaat ka hal ho jaise !!!
Attachments
surkh_chilman2.jpg
surkh_chilman2.jpg (122.82 KiB) Viewed 443 times

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
rahmed25682
-
-
Posts: 126
Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
Location: Karachi
Contact:

Post by rahmed25682 »

Shummu jee ..

bohat bohat shukria kay aap nay KAMAL HATVI ka aik khoobsurat namoona-e-kalam share kia ...

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Shummu,

ari waah! kia Ghazal paRhvaaii hai aapne hameN...yuNki, maza aa gayaa. waqa'ii baRii dil_kash hai. mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye:


aao! kuch der zamaane se kahiiN duur chaleN
yuuN jiyaa jaaye ki bas aakhrii pal ho jaise

yuuN qareeb aayeN ki bichhReN to koii ranj na ho
saaNs lenaa bhi moHabbat meN Khalal ho jaise

yuuN uThii jaise koii barq chamak jaaye kahiiN
ik nazar saare sawaalaat ka Hal ho jaise!!!


shukria itnii Khoob_soorat Ghazal share karne kaa.

Hashmat
Image
brainheater
nau-waarid
Posts: 24
Joined: Sun Jan 02, 2005 9:06 pm

Post by brainheater »

asslamualikum

buhat hi umdah shuu thanx for sharing
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

THANX AAP SAB KA! :D

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply