muHibbee Najm SaaHeb:aadaab!
Ghazal i'naayat karne kaa shukriyah. paRh` ke dil Khush huwaa. haaN yeh Z^aroor hai keh aap ne t^araH saKht muntaKhib kee hai aur is se kuch` mushkileN paidaa ho gayee haiN!
mere paas Momin kaa jo deewaan hai aur Mir ke kalaam kaa jo intiKhaab hai, in donoN meN mujh` ko is zameen aur beHr meN Ghazal naheeN milee. ya'nee meree kitaabeN naa-mukammal haiN. ek she'r yaad hai, aap bh`ee sun leN. ab yeh yaad naheeN keh kis kaa hai!
tum ne achh`aa kiyaa nibaah nah kee
ham bh`ee kuch` Khush naheeN wafaa kar ke!
-------------------------------
ham to rusvaa hove wafa kar ke
dil kisi buut se aashanaa kar ke
waah, achh`aa kahaa hai! daad!
--------------------------
zindagii kitni khoob.surat hai
chashm-e-HairaaN ko dil.rubaa kar kay
:chashm-e-HairaaN kaa dilrubaa karnaa: samajh` meN naheeN aayaa. aap yaqeena" bataa deN ge. tab tak maiN yooN sochtaa hooN!
zindagee kitnee KhoobSoorat hai
band aaNkh`oN ko dil kee waa kar ke!
--------------------------------
sharm se ous ke lab silaYe thai agar
ham hi kuch kehte HoSala kar ke
yooN to Khoob kahaa hai lekin :sharm: ke aur bh`ee ma'nee haiN!
Ka'bah kis muNh se jaa,o ge Ghalib
sharm tum ko magar naheeN aatee?
to yooN keh leN!
gar Hayaa ne siYe th`e us ke lab
ham hee----------
---------------------------
umr bhar ki maHabbatoN ka Sila
Yaar detaYe haiN saNg uTTha kar ke
SaaHeb! yeh :saNg uTh`aa kar ke: kuch` bh`aayaa naheeN. lekin kyaa kiyaa jaaYe!
-----------------------------
tuu na jab Thehra dil k aaNgan meN
mosam-e-gul se kyaa gila kar ke
doosre miSre' meN :ke: kee bajaaYe :te: hotaa to baat bantee. is Soorat meN to jumlah pooraa naheeN huwaa! ek shakl yeh ho saktee hai:
too nah aayaa to mausam-e-gul se
haath` kyaa aataa jo gilaa karte
ab aap socheN!
---------------------
:najm: be-mol aaj Harf-e-wafaa
faida dil ko kyaa lutaa kar ke
aap ne :be-mol: ko :kam-qeemat, sastaa: ke ma'nee meN likh`aa hai jo SaHeeH naheeN ma'loom hotaa hai. taSdeeq kar leN. yaa yooN keh sakte haiN:
Najm Harf-e-wafaa huwaa arzaaN
faa,idah-------------
==========================
aur raawee chain boltaa hai!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
ham to ruswaa hove!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Najm sahib salam e masnoon
aapki ghazal bahutpasand aai daad qubool kijyeham to rusvaa hove wafa kar ke
dil kisi buut se aashanaa kar ke
zindagii kitni khoob.surat hai
chashm-e-HairaaN ko dil.rubaa kar kay
sharm se ous ke lab silaYe thai agar
ham hi kuch kehte HoSala kar ke
umr bhar ki maHabbatoN ka Sila
Yaar detaYe haiN saNg uTTha kar ke
tuu na jab Thehra dil k aaNgan meN
mosam-e-gul se kyaa gila kar ke
:najm: be-mol aaj Harf-e-wafaa
faida dil ko kyaa lutaa kar ke
aapki ghazal bahutpasand aai daad qubool kijyeham to rusvaa hove wafa kar ke
dil kisi buut se aashanaa kar ke
zindagii kitni khoob.surat hai
chashm-e-HairaaN ko dil.rubaa kar kay
sharm se ous ke lab silaYe thai agar
ham hi kuch kehte HoSala kar ke
umr bhar ki maHabbatoN ka Sila
Yaar detaYe haiN saNg uTTha kar ke
tuu na jab Thehra dil k aaNgan meN
mosam-e-gul se kyaa gila kar ke
:najm: be-mol aaj Harf-e-wafaa
faida dil ko kyaa lutaa kar ke