rog jii kaa buraa nahiiN hotaa...ek qadre puraanii Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

rog jii kaa buraa nahiiN hotaa...ek qadre puraanii Ghazal

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

aapkii Khidmat meN apnii ek puraanii chhoTi bai'hr kii Ghazal le kar Haazir huaa huuN. ummeed hai ki aapko bhali lagegii. aapkii aaraa ka intezaar rahegaa. shukria.

to Ghazal mulaaHizah farmaaiye:


1.
dard dil se judaa nahiiN hotaa
koii yuN baa_vafaa nahiiN hotaa

2.
baat koii to hai kudoorat kii
ranj be_muddo'aa nahiiN hotaa

3.
yuN mile ho Ghuroor_o_naKhwat se
jaise dil emN Khuda nahiiN hotaa

4.
tum bhii, naaseH!, kahiiN lagaao dil
rog jii kaa buraa nahiiN hotaa

5.
mashwarah dil kaa maan lete haiN
phir bhii dil kaa kahaa nahiiN hotaa

6.
pyaar, "Sai'Hbaa!" se hai k zauq-e-nazar
aaj tak faisala nahiiN hotaa
Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

bohat khoob baradaram!
har she,r umdah hay.poorii ghazal pasand aaee.
daad qubool kijiye
:-)
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

AAP KE YE GHAZAL PASAND I HAY.

ATTIQ ABBASI
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Usmani Sb, aadaab!

aap kii Ghazal pasand aayii. daad haazir hai! aap zaraa aur Ghaur farmaate to chand ash.aar bahtar ho sakte the. maslan matla aur maqta kaa mafhuum (kam.az.kam mujh par) vaazah nahiiN huaa.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Post Reply