Taazah ghazal. Irfan Barabankwi, Jeddah

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

Taazah ghazal. Irfan Barabankwi, Jeddah

Post by irfan barabankwi »


Aadaab o Tasleemaat,

Jeddah meiN aik yeh bhi Tarahi misraA diyaa gayaa thaa Ahmad Nadeem qaasimi kaa:
"maiN faqaT aik hii tasweer kahaaN tak dekhooN"

Mujhe ghalaT fehmi hougaiee thii aur maiN ne samjhaa ke qaafiye (tehreer, taqdeer, ta'seer,) waghairah heiN. Ghazal mukammal karne ke bad patah chalaa ke qaafiye (jahaaN, makaaN, jinaaN,) waghairah heiN.

Ab yeh ghazal aapki khidmat meiN haazir hei. Ummeed ke aapki giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milegaa.

Khair Andesh,
Irfan.
Attachments
a_irf_jed_ext.JPG
a_irf_jed_ext.JPG (98.06 KiB) Viewed 702 times
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Taazah ghazal. Irfan Barabankwi, Jeddah

Post by Mahtab Qadr »

irfan barabankwi wrote:
Aadaab o Tasleemaat,

Jeddah meiN aik yeh bhi Tarahi misraA diyaa gayaa thaa Ahmad Nadeem qaasimi kaa:
"maiN faqaT aik hii tasweer kahaaN tak dekhooN"

Mujhe ghalaT fehmi hougaiee thii aur maiN ne samjhaa ke qaafiye (tehreer, taqdeer, ta'seer,) waghairah heiN. Ghazal mukammal karne ke bad patah chalaa ke qaafiye (jahaaN, makaaN, jinaaN,) waghairah heiN.

Ab yeh ghazal aapki khidmat meiN haazir hei. Ummeed ke aapki giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milegaa.

Khair Andesh,
Irfan.
Irfaan sahib pahle to aapko khushaamdeed is khoobsurat bazm mai.
aur aap ki ghazal ki daad ke behad rawaN aur khoobsurat murassa ghazal hai. balke aajkal to bahut se diloN ki awaz bhi yahi hai.
shukria
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

moHtaram janaab-e-Irfaan saaHib,

salaam,

ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

aapkii Ghazal paRhi aur be-inteha lutf_andoz huye. bahot zabardast kalaam hai aapkaa. bahot KHoob-soorat. ek intehaaii dil_aavez Ghazal kii taKhleeq par dili mubaakbaad aur daad Haazir-e-Khidmat hai, gar qubool uftaad.

faqat Khaadim,

Hashmat
Image
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

bahut bahut shukriyah

Post by irfan barabankwi »

mohtaramee

MEHTAB QADR SAAHIB

salam alaikum

lijye saahib hum aapki bazm meiN aadhamke. khushamadeed ka bahut bahut shukriyah. bazm ki shuruAat per meri dili mubarakbad qubool kareiN. ghazal ki pasandeedgi ka aur meri hauslah afzayi ka bhi bahut bahut shukriyah. ummeed hai ke aap apni giraNqadr aara se nawazte raheiNge.

khair andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

bahut bahut shukriyah

Post by irfan barabankwi »

mohtaram janab

HASHMAT USMANI SAAHIB

salam alaikum

urdubandhan meiN meri pehli ghazal ki jo hauslah afzayi aap sab ne ki hai uska bahut bahut shukriyah. ummeed hai ke ayenda bhi aap apney qeemti mashwiroN aur giraNqadr raye se nawazte raheiNge.

khair andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

bahut bahut shukriyah

Post by irfan barabankwi »

mohtaramah

SAARA SAAHIBAH

pukhuloos tasleemat

sab se pehle tau aapko urdubandhan ki bahut kamyab shuruAat per mubarakbad pesh karta hooN uske baad ghazal ki pazeerai ke lkye aapka behud mamnoon -o- shukr guzar hooN. ummeed hai ke aap ayenda bhi mera hauslah baRhati raheiNgi. meri masroofiat ko dekhte hoye khat ke jawabaat aur ghazal ke tabsiroN meiN takheer ko ummedd hai ke aap muAaf framati raheiNgi. shukriyah

khair andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: Taazah ghazal. Irfan Barabankwi, Jeddah

Post by tahira Masood »

irfan barabankwi wrote:
Aadaab o Tasleemaat,

Jeddah meiN aik yeh bhi Tarahi misraA diyaa gayaa thaa Ahmad Nadeem qaasimi kaa:
"maiN faqaT aik hii tasweer kahaaN tak dekhooN"

Mujhe ghalaT fehmi hougaiee thii aur maiN ne samjhaa ke qaafiye (tehreer, taqdeer, ta'seer,) waghairah heiN. Ghazal mukammal karne ke bad patah chalaa ke qaafiye (jahaaN, makaaN, jinaaN,) waghairah heiN.

Ab yeh ghazal aapki khidmat meiN haazir hei. Ummeed ke aapki giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milegaa.

Khair Andesh,
Irfan.
Mukarrami

tasleemaat

wah janaab Maashallah kayaa husne-e-takhyyul hai. aur bohat khoob mazaameen baaNdhe haiN.
daad qabuul fermaaeiN.
wassalam
live and let live

Image
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

bahut bahut shukriyah

Post by irfan barabankwi »

mohtaramah

TAHIRA MASOOD SAAHIBAH

purkhuloos taslimat

aaj abht dino ke baad jab internet per aana hoa to aapka yeh tabsirah nazar nawaz hua. ghazal ki pasandeedgi ka bahut bahut shukriyah.

jawab ki takheer ke liye mAzarat chahta hooN. ummeed hai ke aap ayendah bhi meri hauslah afzayi karti raheiNgi. shukriyah

khair andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
fatimah
-
-
Posts: 71
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:58 am
Location: doha qatar
Contact:

Post by fatimah »

aslaam_u_alikam

irfan sahib aap ki yeh gazal bohat achi lagii.
puri gazal hi khub hey.
daad qubool kijiye.
shukriya
Image
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Irfan Sb, aadaab!

bahut dinoN baad aap kii koii Ghazal dekhii, aur paRh kar vuhii lutf aayaa jo aap ke kalaam kii sifat hai. daad qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Post Reply