jab naam tiraa sochooN, jab dh`yaan tiraa aawe!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

jab naam tiraa sochooN, jab dh`yaan tiraa aawe!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!

chand din huwe Khudaa-e-suKhan Mir Taqi "Mir" ke raNg meN ek Ghazal pesh kee th`ee. aaj ek aur Ghazal unheeN ke raNg meN HaaZ^ir-e-Khidmat hai. aisee GhazaleN jald jald saamne aaYeN to un ko aamne-saamne rakh` kar dekh`ne ko dil chaahataa hai. aap agar aisaa karnaa chaaheN to aap kee Khushee hai! maiN Sirf yeh a'rZ^ karooN gaa keh yeh donoN GhazaleN muKhtalif zameenoN kee aur alag alag beHroN meN kahee gayee haiN. mazeed yeh keh woh Haalaat bh`ee muKhtalif th`e jin meN yeh taKhleeq huyee haiN. is liYe in meN farq kaa honaa fit^ree baat hai! Khair! ab aap Khud hee paRh` kar mujh` ko apnee raaYe se aagaah farmaa,iYe! shukriyah peshagee HaaZ^ir hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

===========================

GHAZAL:

jab naam tiraa sochooN, jab dh`yaan tiraa aawe
ik Gham tire majnooN kee zanjeer hilaa jaawe

sab kee to sahe lekin lohoo nah woh Tapkaawe
keedh`ar se koyee aisaa dil aur jigar laawe

dunyaa-e-danee meN kab hotaa hai koyee apnaa
behlaawe hee behlaawe! dikh`laawe hee dikh`laawe!

Khud apnaa nawishtah hooN, kyaa dosh kasoo ko dooN?
yeh dil pa,e-shunwaayee jaawe to kidh`ar jaawe?

Tuk dekh` miree jaanib, be-Haal hooN Ghurbat meN
deewaar so larzaaN hai! saayah so hai katraawe!

jee ko nah lagaanaa tum ik aan kasoo se bh`ee
sab Husn ke dh`oke haiN, sab i'shq ke behlaawe!

dekh`o to Zaraa us ke andaaz-e-Khudaawandee
Khud baat bigaaRe hai, Khud hee hameN jhuTlaawe!

Sad-Haif tujh`e "Sarwar"! ab i'shq kee soojh`ee hai?
har bandah-e-eemaaN jab Ka'beh kee t^araf jaawe
!
Attachments
gg-jabnaamtiraasochoon.gif
gg-jabnaamtiraasochoon.gif (9.96 KiB) Viewed 540 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Mon May 09, 2005 1:13 pm, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. RAz :Sarwar: Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat,


Waah waah waah, kyaa kehne. Itni piyaari ghazal kehkar aap ne Meer Taqii Meer ke rang ko ujaagar kyaa hei.

Aapki ghazal is qadar pasand aayi keh maiN uske her sheAr ko baar baar duhraataa rahaa aur luTf andouz houtaa rahaa. KiyooN nahiN, aakhir ghazal kehne waale kaun heiN? her dil azeez shayer Janab Sarwar Saahib jo urdu adab kii khidmat meiN benazeer muqaam rakhte hein.

Is dilkash ghazal per khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayie.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab a'rZ^ hai!

aap ke Khat^ se dilee masarrat huyee! daad-o-teHseen ke liYe mamnoon hooN. Ghazal kaa aap ko pasand aa jaanaa hee sanad hai.

is se ziyaadah Haajat-e-sharH-o-bayaaN naheeN! (Raz Chandpuri)

aap kaa Khat^ dekh`te waqt Urdu Ghazal par naz^ar gayee to :jhuTlaawe: kee bajaaYe :jh`uTlaaYe: naz^ar aayaa.

"Sarwar" kee kitaabat ko kyaa aur khaa jaaYe
ik t^urfah tamaashaa hai! "jh`uTlaawe" ko "jh`uTlaaYe"???

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: jab naam tiraa sochooN, jab dh`yaan tiraa aawe!

Post by najma »

Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!

chand din huwe Khudaa-e-suKhan Mir Taqi "Mir" ke raNg meN ek Ghazal pesh kee th`ee. aaj ek aur Ghazal unheeN ke raNg meN HaaZ^ir-e-Khidmat hai. aisee GhazaleN jald jald saamne aaYeN to un ko aamne-saamne rakh` kar dekh`ne ko dil chaahataa hai. aap agar aisaa karnaa chaaheN to aap kee Khushee hai! maiN Sirf yeh a'rZ^ karooN gaa keh yeh donoN GhazaleN muKhtalif zameenoN kee aur alag alag beHroN meN kahee gayee haiN. mazeed yeh keh woh Haalaat bh`ee muKhtalif th`e jin meN yeh taKhleeq huyee haiN. is liYe in meN farq kaa honaa fit^ree baat hai! Khair! ab aap Khud hee paRh` kar mujh` ko apnee raaYe se aagaah farmaa,iYe! shukriyah peshagee HaaZ^ir hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

===========================

GHAZAL:

jab naam tiraa sochooN, jab dh`yaan tiraa aawe
ik Gham tire majnooN kee zanjeer hilaa jaawe

sab kee to sahe lekin lohoo nah woh Tapkaawe
keedh`ar se koyee aisaa dil aur jigar laawe

dunyaa-e-danee meN kab hotaa hai koyee apnaa
behlaawe hee behlaawe! dikh`laawe hee dikh`laawe!

Khud apnaa nawishtah hooN, kyaa dosh kasoo ko dooN?
yeh dil pa,e-shunwaayee jaawe to kidh`ar jaawe?

Tuk dekh` miree jaanib, be-Haal hooN Ghurbat meN
deewaar so larzaaN hai! saayah so hai katraawe!

jee ko nah lagaanaa tum ik aan kasoo se bh`ee
sab Husn ke dh`oke haiN, sab i'shq ke behlaawe!

dekh`o to Zaraa us ke andaaz-e-Khudaawandee
Khud baat bigaaRe hai, Khud hee hameN jhuTlaawe!

Sad-Haif tujh`e "Sarwar"! ab i'shq kee soojh`ee hai?
har bandah-e-eemaaN jab Ka'beh kee t^araf jaawe
!

JANAB S.A.RAZ :SARWAR: SAHIB!
ASSALAM-O-ALAIKUM
aapki ye ghazal bhi hameiN bohat pasand aaee.
har she,r hameiN meer ke zamane meiN le gaya.wohi andaz hay aapka.



jab naam tiraa sochooN, jab dh`yaan tiraa aawe
ik Gham tire majnooN kee zanjeer hilaa jaawe

dunyaa-e-danee meN kab hotaa hai koyee apnaa
behlaawe hee behlaawe! dikh`laawe hee dikh`laawe!


Sad-Haif tujh`e "Sarwar"! ab i'shq kee soojh`ee hai?
har bandah-e-eemaaN jab Ka'beh kee t^araf jaawe


waah
dheroN daad qubool kijiye itne umdah kalam par.
khair andesh
najma
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Najma SaaHebah:aadaab!

jawaab meN taaKheer huyee lekin yaqeen keejiYe keh bilaa-vajh naheeN huyee. yooN aap kaheN to Ghalib kaa woh she'r bh`ee paRh` dooN? :-)

aap hameshah hee meree dil-joo,ee kartee haiN aur daad se HauSilah baRh`aatee rehtee haiN. Ghazal pasand karne aur us kee sitaayish kaa dilee shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Dunya SaaHebah:aadaab!

aap kaa Khat^ meree i'zzat-afzaayee kaa baa,ic huwaa. bohat bohat shukriyah! ummeed hai keh aa,indah bh`ee bazm meN aatee raheN gee.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: jab naam tiraa sochooN, jab dh`yaan tiraa aawe!

Post by naheedv »

mohataram janaab Sarwar saahab,
taslimaat!

aaj buhat! din ke ba'd mehfil meN haaziree lagaane kaa vaqt milaa hai aur ye diekh kar mujhe buhat afsos huvaa ke yahaaN tau "dasht.e.khaamoshi" kaa raaj hai. jo chaNd aik naam pehle nazar aa jaate thay ab tau voh bhee yahaaN se bhaag ga'e haiN (lagtaa tau yahi hai).

mujhe abhi tau aap kee isee ghazal ko paRhne kaa moqa' haaSil huvaa hai aur pehlee kee baaree abhee phir aaye gee.

aap ne ye ghazal keh kar tau "khudaa.e.sukhanwar" kaa lehja phir se taazah kar diyaa hai. jitnee hee zameen dilkash hai utnaa hee kalaam pur.acar aur dil.nawaaz!
matla' buhat khoob hai aur maqta' paRh kar haNsee aa'yee, tau aap ab maqte' par amal kar dee Daaliye :D
she'r 6 tau aaj kal ke niSaab meN shaamil kar denaa chaahiye ke buhat naSeehat.aamoz hai.

iss kaamyaab tareen ghazal par daad paish karti hooN.

mukhliS
Naheed
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Naheed SaaHebah: aadaab!

aap kee nawaazish keh itnee muHabbat se yaad kar letee haiN! shukriyah qubool keejiYe. ummeed hai keh mulaaqaat hotee rahe gee.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Sara SaaHebah:aadaab!

daad aur i'zzat-afzaayee ke liYe mutashakkir hooN. Khush rahiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

WAH BOHAT KHOOB GHAZAL HAY JI.

ATTIQ ABBASI
Post Reply