WELLCOME NIGAAH JEE
-
- -
- Posts: 136
- Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am
WELLCOME NIGAAH JEE
nigaah jee KHUSH RAHIEN
Assalam-o-a'laikum,
MoHtarama Nigaah SaaHiba,
aap ko is meHfil maiN ham , tah-e-dil se khush-aamadeed kehte haiN.
yaqeena" aap ki tashreef-aavarii se meHfil ki ruanqoN maiN izaafa hoga :D . bahut bahut shukriya
mokhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
salaam Nigaah saaHiba,
kaisi haiN aap?
ham aapkaa is meHfil meN bharpoor isteqbaal karte haiN. ummeed hai ki aapkaa waqt yahaN Khush-gawaar guzregaa. aapkii post ka shiddat se intezaar rahegaa.
aapkii ID bahot adabii hai aur aapkii nigaah yaqeenan daqeeq hogi. aapkii ID kii nisbat se AsGhar GoNdvii ka yeh she'r yaad aa gayaa:
NIGAAH-e-naaz kii kaifiiyateN haiN dil meN vohii
ki rooH tan meN ho, sheesha meN jis taraH ho parii
tashreef aavorii ka teh-e-dil se shukria adaa kartaa huN.
faqat Khaak_nashiiN,
Hashmat
kaisi haiN aap?
[rainbow][h2]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman
[/h2][/rainbow]ham aapkaa is meHfil meN bharpoor isteqbaal karte haiN. ummeed hai ki aapkaa waqt yahaN Khush-gawaar guzregaa. aapkii post ka shiddat se intezaar rahegaa.
aapkii ID bahot adabii hai aur aapkii nigaah yaqeenan daqeeq hogi. aapkii ID kii nisbat se AsGhar GoNdvii ka yeh she'r yaad aa gayaa:
NIGAAH-e-naaz kii kaifiiyateN haiN dil meN vohii
ki rooH tan meN ho, sheesha meN jis taraH ho parii
tashreef aavorii ka teh-e-dil se shukria adaa kartaa huN.
faqat Khaak_nashiiN,
Hashmat
Salaamz...bahut bahut KHUSHAAMADEED NIGAH SIS idhar bhi...aap ko yahan bhi dekh kar yaqeenan bahut khushi hui hai..aati rahiyega :D
Shumaila
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 46
- Joined: Thu Dec 16, 2004 8:13 am
- Location: Lahore
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Khushaamaded Nigah Saahibah
[rainbow][h2]Khush-aamded NIGAH SAAHIBAH
[/rainbow][/h2]Aapko URDUBANDHAN kii meHfil meiN dekhkar bahut khushi houi. Ham sab aapkaa istiqbaal karte heiN aur ummeed hei aapki sargarmiyaoN se yahaN kii raunaq dobaalaa houjayegi.
Aapka Mukhlis,
Nazir.