WEBMASTER wrote:
MuHtaramah
Naheed Verk Saahibah],
Aadaab oTasleemaat,
Aapke sawaalaat mutanavvuA kaifiyat ikhtiyaar karte gaye.
1) BeHr ke mauzooN houne nah houne ke baare meiN.
aur phir aapka yeh istidlaal ke aap ne faa'I'lun 5 martabah isteAmal kiyaa hei. 2) kiyaa vazn meiN izaafi rukn kaa isteAmal karnaa jaayiz hei,
3) kaa, kii, ke kaa vazn 2 or 1.
Iske bad yeh kahaa gayaa ke hanouz aapko apne sawaal kaa javaab nahiN milaa. Poochne per aap ne sawaal No.1 ko duhraayaa.
Ab aap agar ghaur kareN ke maiN aapko mandarja-e-zel ibaarat likh chukaa hooN tou aap yeh kaise kahengi ke aapko apne sawaal kaa javaab nahiN milaa.
(((Aapke sawaal kaa javaab yeh hei ke kisi beHr meiN agar izaafi rukn isteAmal kiye jaayeN tou usko mustazaad kehte heiN.))
Agar aap yeh kehtieeN aapko is silsileh meiN mazeed maloomaat darkaar heiN tou aapki baat soulah aane durust houti.
Chaliye ab tou mere muHtaram doust jou bahut hii tajribeh kaar heiN wo bhii in bikhri houii ibaarataoN ko tarteeb denaa chaahte heiN tou is se baRhkar khushii kii baat kyaa housakti hei.
Iske bavajood kiyunke abhi tak on the point guftagu karne se Sarwar Saahib aur doosre aHbaab gurez karrahe heiN, maiN apni naaqis ilmi Hudood ke andur rehte houe aapki rizaamandi aur tasalli ke liye kuch arz karne meiN jhijak nahiN meHsoos kartaa:
=====
Rasm o riyaayat ke Taur per Khalil Ibn-e-Ahmed Al-Faraaheedi aur Akhfash ko ilm-e-Arooz ke moojidaoN meiN maanaa gayaa hei. Unke daryaaft kardah arkan aur beHraoN ko bunyaadi daryaaft.
Iske b'ad, kuch izaafati beHreN bhii daryaaft houeeN aur unko saheeh maan liyaa gayaa. B'az beHraoN meiN arkaan kii nayi shakleN daryaaft kii gaieeN jinke ibraahimi daayire banaaye gaye. Ikhtilaaf ke bavajood is nayii daryaaft ko bhii yaksar rad nahiN kiyaa jaasakaa.
In sab baataoN ke madd0e0nazar ham aapke sawaal kaa mukhtasar javaab yehi samajhte heiN ke agar kisi beHr meiN uski behr ke aek do arkaan kaa izaafah kiyaa jaaye tou usko mustazad kehte heiN. Micaal ke Taur per aek beHr hei BeHr-e-MuqtaZab maTvi maqtooA mucamman jiska vazn hei:
"faa'I'laa'tu … maf'oo'lun………faa'I'laa'tu…. Maf'oo'lun
=/0//0/…/0/0/0………./0//0t…. /0/0/0
=2121… 222………… 2121 …. 222
Is vazn ko mustazaad kii shakl meiN isteAmal karne ke liye maiN ne yooN kardiyaa hei:
=2121…222 .. 2121 … 222 …2121 … 222
aur is per meraa maTlaA yooN hei:
yaas ke andheraoN meiN ik charagh jaltaa hei yaad-e-yaar baaqi hei
saans aati jaati hei, dil dhaRaktaa rhetaa hei, intizaar baaqi hei.
Nateejeh ke Taur per agar is silsileh meiN ham is sawaal ko apnaa meHvar banaakar mazeed tafseel meiN raushni Daalnaa chaaheN tou khaaskar mere ilm meiN izaafah hougaa.
=====
Doosra Tareeqa-e-fikr o nazar yeh housaktaa hei saari guzri hoii baataoN ko nazar andaaz karte houe naye sare se tabaadila-e-khayaal kiyaa jaaye jis ke liye maiN phir MuHtaram Sarwar Saahib kaa naam loongaa aur Rajkumar Saahib kii m'aloomaat se mustafeed hounaa chaahoongaa jin se arsa-e-daraaz se meHroom hooN.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
moHtaram Nazir saahab, salaam,
kal jab maiN ne janaab Raj saahab kee post kaa jawaab diyaa thaa tau tab tak aap kaa jawaab nazar se naheeN guzraa thaa aur usey paRhne kaa itefaaq abhi huvaa hai.
maiN ne apnee pehli post meN arz kee thee
agar aap ne iss kaa jawaab diyaa hai tau maiN ma'zarat chaahooN gee ke meree samajh meN naheeN aa sakaa aur maiN hunooz uljhan kaa shikaar hooN.
maiN aap ke tafseelee jawaab ke liye tahe dil se mamnoon hooN.
mujhey pooraa yaqeen hai ke aap ke tabsare se mere saath saath aur buhat se dostoN kaa bhee bhalaa huvaa ho gaa.
maiN umeed karti hooN ke aise ilmee behc mustaqbil meN bhee hamaare ilm meN izaafe kaa sabab banti rahe gee.
iss behc ke ikhtitaam par aik dilchasp baat sunaati chalooN.
aaj se kuch saal qabl jab maiN Computer Science meN apnee UNDER GRADUATE kar rahee thee tau meree "Data Structure" kee class ke jo Professor the voh mashaa'Allah se CS meN PHD thay (aur pore CS Department meN un kee knowledge aur un ke ro'b.o.dabdabe kaa Dankaa boltaa thaa. ) aur un ke paRhaane kaa jo style thaa voh aisaa thaa ke achaa khaasa baNdah bhee confuse ho ke reh jaaye aur class khatm ho jaane ke ba'd yahi sochtaa rahe ke aaj hum ne claas meN kyaa paRhaa hai?
dar.asl un ke jo paRhaane kaa aNdaaz thaa voh PHD level kaa hee thaa aur hum Tehre Undergrad. khair semester ke shuroo kaa aik mahina tau un ke lectures mere sar ke oopar se hee guzarte rahe, lekin wahaaN qusoor meree kam.ilmee kaa tau thaa hee magar uss ke saath saath mere un Professor kaa bhee qusoor thaa, kyoN ke voh students ke level ko saamne rakh kar apne lectures naheeN dete thay balke voh ye samajhte thay ke chooNke voh khud PHD heN tau voh saaree baateN/ilm jo un ke andar samaayaa huvaa hai, uss se hamaaree bhee aashnaayee ho gee, haalaaNke hum tau abhee Data Structre kee "alif, be" samajh rahe haiN.
iss micaal se maqsood sirf ye hai ke aap ne sab baateN vaazeH keeN magar aap ne jo techincal terms iste'maal keeN, un se baat mazeed ulajh gayee iss liye meree samajh meN n aaa sakaa aur iss ke liye maiN ma'zarat chaahooN gee.
aik baar phir aap ke vaqt aur tajziye ke liye mamnoon hooN.
mukhlis
Naheed