Bahut bahut mubaarak Mahtab Qadr Sahib ko Administatership
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut mubaarak Mahtab Qadr Sahib ko Administatership
Bhayi
MAHTAB QADR Saahib
Aadaab o Tasleemaat, :?
Hamari khush qismati hei ke aap hamare saath URDUBANDHAN per maujood heiN aur apne bharpoor taAaavun se hameN sarfaraz farmaarahe heiN.
Nazir.
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
ZARRA NAWAZI
Mohatram Bhai Abdullah Nazir Sahib
Salam Alaikum Wa Rahma
Aap mujhe jisqadar jante haiN urdubandhan par koi aur nahi janta., aap hazraat ki is izzatafzai ke mai qabil na tha magar aap ne mujhe ye sharaf bakhsa .Allah aapkojazaye khair ata farmaye, mujhe apni bebuzaati aur kam mayegi ka ehsaas hai,umeed ke aaap ki rahnumai is silsile mai mujhe hamesha hasil rahegi. sara sahiba ka bhi mashkoor hoN ke unhoN ne is khoobsurat site ki ibtida ki aur apni hamarang shaksiat aur aapka taaun ke sabab itne kam arse mai is marhale tak pahoNcha dia, jisay dekh kar koi ye andaza nahi karsakta ke is site ki umar kitni hai.:)
phir aik baar aap ka mamnoon hoN.
Mahtab Qadr

-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
salaam Sarfaraz aur Naazir saaHibaan,
ummed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge,
mujhe yeh jaan kar be-intehaa masarrat huii ki hamaare har_dil_azeez saathii janaab-e-Sarfaraz saaHib ko is taKhtii-e-paiGhaam kaa administrator banaayaa gayaa hai.
ummeed hai ki ham sabko aapkii rah_numaaii aur Hausla_afzaaii miltii rahegii. hamaaraa bhar-poor ta'aavun aapke Haq meN rahegaa. inshaa Allah.
Saara saaHiba ko bhii yaqeenan credit jaataa hai ki unhoN ne apnii meHnat aur lagan se is site ko kaamiyaab banaayaa aur is taraH hameN urdu kii KHidmat karne ke mavaaq'e faraaham kiye. Saara saaHiba aapkaa shukria.
lets get back to work to make this site a great success!
aameen.
faqat Khaadim-e-urdu,
Hashmat [MM]
ummed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge,
mujhe yeh jaan kar be-intehaa masarrat huii ki hamaare har_dil_azeez saathii janaab-e-Sarfaraz saaHib ko is taKhtii-e-paiGhaam kaa administrator banaayaa gayaa hai.
[rainbow][h2]Mahtaab Qadar saaHib aapkoo bahot bahot mubaarak ho!
[/rainbow][/h2]ummeed hai ki ham sabko aapkii rah_numaaii aur Hausla_afzaaii miltii rahegii. hamaaraa bhar-poor ta'aavun aapke Haq meN rahegaa. inshaa Allah.
Saara saaHiba ko bhii yaqeenan credit jaataa hai ki unhoN ne apnii meHnat aur lagan se is site ko kaamiyaab banaayaa aur is taraH hameN urdu kii KHidmat karne ke mavaaq'e faraaham kiye. Saara saaHiba aapkaa shukria.
lets get back to work to make this site a great success!
aameen.
faqat Khaadim-e-urdu,
Hashmat [MM]
WOW ye to bahut acchi khabar hai.....SARFARAZ sahab aap ko ADMINSHIP bahut bahut MUBARAK ho....mujhe badi khushi hui aap ko ORANGE COLOR meiN dekh kar :D
sunein main TAARUF FORUM access nahi kar paa rhai hoon....it asks for PW jab enter karti hoon to it says INCORRECT PW.... kya karoon?
sunein main TAARUF FORUM access nahi kar paa rhai hoon....it asks for PW jab enter karti hoon to it says INCORRECT PW.... kya karoon?
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Hashmat sahib shummu sahiba sara ji
Mere khyal se ab ye masala hal ho gaya hai, ab ye secret room nahi raha:) aap apna taarruf jald hi karwaiN..
shukria aap sab ka
MQ
shukria aap sab ka
MQ
-
- -
- Posts: 134
- Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
- Location: khanewal
- Contact:
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
shukriah
Janab e Waqar masood sahibwaqar_masood wrote:janab mehtab qadr sahib
buhut khushi hoye keh aap kay zeer e saya hamain buhut kuch seekhnay ko milay gaa..mubarak hoo ..
waqar masood
salaam
bahut mashkoor hoN ke sathioN ne itni mohabbatoN se nawaaza , darasl ye mohabbateiN us waqt paye takmeel ko pahoNcheiN gi jab aapsab ka bharpoor taaun bhi ham sab ko hasil hoga. kioNke ...
kashti mai bathne ka saleeqa bhi chahiye
kashti ka zimmadaar faqat na khuda nahi
aur iska saleeqa ye hai ke ham dosre ko urdu ki khoobsurat bazm mai sarahte huve mil jul kar pure khuloos ke sath aage barheiN inshalla vo din door nai jab urdubandhan net ki mashoor o maroof sites mai shumar hone lagay.
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Walaikum salam va rahmasbashwar wrote:Mahtab Qadr Sahib
Asslam Alaikom.
Hum chand meter ke faasle par rehte huay mulaqat nahiN hoti. Urdubandhan eh kami puri kar raha hai.
Bohat bohat Mubarak.
Salem Bashwar
sahi farmaya aapne salem bhai. koshish karte haiN inshallah jald mulaqat ki. Abdullah bhai se maloom hva tha ke aap kuch ziada masroof hain indinoN. inshallah rabta rahega, mubarakbaad ka shukria ye to sab Abdullah bhai aur sara ki mahrbaani hai.:)
Mahtab Qadr
janab mehtab qadr sahib
merii taraf say bhii dheron mubarakkkkk!
ab kya karoon phool pesh karna naheen ata mujhay, bass seedhii saadii c post hi kar letii hoon to bara teer maar letii hoon, ziyada kuch aata hii naheen.
lekin dill ki gehraiyyon say mubarak zaroor qubool kijiyey.
khair-andesh
najma
:)

Re: Bahut bahut mubaarak Mahtab Qadr Sahib ko Administatersh
Oh yeh toh bahot achi khaber hei, bahot bahot mubarak ho Sarfaraz sahib.WEBMASTER wrote:
Bhayi
MAHTAB QADR Saahib
Aadaab o Tasleemaat, :?
Hamari khush qismati hei ke aap hamare saath URDUBANDHAN per maujood heiN aur apne bharpoor taAaavun se hameN sarfaraz farmaarahe heiN.
Nazir.
Re: ZARRA NAWAZI
MERA KHIAL HAY KEY HUM SUB KP SIRF URDU YA SIRF ENGLISH MAIN BAAT KARNEE CHAHIEY AND NOT URDU WRITTEN IN ENGLISH..
DR SHAHID AMIN
ENT SURGEON
WWW.DRSHAHID.COM.PK[size=18][/size]
Dr.Shahid aapka khyaal bahut acha magar aapne apne khyal ka izhaar ghalat jaga kia hai. aap apni raye baat cheet forum mai pesh kareiN inshallah sab aapse discuss kareiNge.

- Attachments
-
- AllbanUrd1.gif (36.64 KiB) Viewed 1576 times
Re: ZARRA NAWAZI
I would like to see commnets about my novel Tuloo-e-Amn..
DR SHAHID AMIN
ENT SURGEON
WWW.DRSHAHID.COM.PK
Gujranwala
Pakistan
DR SHAHID AMIN
ENT SURGEON
WWW.DRSHAHID.COM.PK
Gujranwala
Pakistan
- Attachments
-
- NOVELSAMLL.gif (37.05 KiB) Viewed 1576 times
Re: ZARRA NAWAZI
welcome ,Dr.shahid ameen sahib aap apna kalaam aur nacr unke mutalliqa forums mai post kareiN inshallah , raye dene se koi door nahi hoga.
shukria
shukria
- Attachments
-
- novel.gif (20.65 KiB) Viewed 1588 times