" kejeye zulm woh mujh par k mujhe yaad rahe !"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

" kejeye zulm woh mujh par k mujhe yaad rahe !"

Post by Star Mind »

Yaraan-e-meHfil, aadaab :)

kal aek meHfil maiN jigar muraadaabadi ka aek KhoobSoorat t^araHi miSra' " kejeye zulm woh mujh par k mujhe yaad rahe" diyaa gayaa thaa,
naacheez ki nazar joNhi paRee misra' par, to chaNd ash'aar ka nuzool fora" se peshtar howaa , jo aap ki nazr kar rahaa hoN , is ummed k saath k apni raaye se nawaazeNge ! :D

bahut bahut shukriyaa !

to lejeye Ghazal Haazir hai :-

::: Urdu Version :::

Image

::: Roman Version :::

1.
u'mr bhar keleye lab par mire faryaad rahe
"kejeye zulm woh mujh par k mujhe yaad rahe" ! 8)

2.
yaa ilaahii ye chaman tuu ne banaaye kyoN haiN ?
taa k pholoN se bharaa , Khaana-e-Sayyad rahe ? :?

3.
jaane kyaa baat hoii ab k baras saawan maiN
ba'd muddat , maiN ne chaahaa k dil aabaad rahe ! :smt033

4.
phir tujhe kon du'aaoN se nawaazega yahaaaN ?
jab na dunyaa maiN tiraa a'aashiq-e-naa-shaad rahe ! :cry: :cry:

5.
raat gar beete kabhii, jaage saweraa bhi agar
zindagee ! yaad tujhe , zulmat-e-beedaad rahe ! :twisted:

ye shea'r ahl-e-wat^an keleye !

6.
shart^ hai , kishwar-e-qaai`d ko bachaane keleye
tere seene maiN chiraaGhaaN , rah-e-ajdaad rahe ! :idea:

7.
tuu k maGhrib k nazaaroN maiN hai gum sum itnaa
kaash aaNkhoN maiN tiree, Soorat-e-baGhdaad rahe ! :evil:

8.
jo acar hii na kare dil pe , bhalaa shea'r kahaaN ?
shea'r woh hai jo zamaane ko sadaa yaad rahe ! 8)

9.
maiN woh mi'raaj-e-muHabbat ka fasaana hoN nayaa
mere har Harf maiN ik lashkar-e-farhaad rahe ! :D

aur ab ye shea'r apne marGhoob shaao'r janaab-e-Qais ki nazr !

10.
woh to din raat taraqqii k manaazil kare t^ay
jis bhi meHfil maiN koii :Qais: sa utsaad rahe ! ;)

aur ab maqt^a' shareef !

11.
ik :Zia: hii to nahiN i'shq maiN barbaad tire
tujhko jitnoN ne bhi dekha , youNhi barbaad rahe ! :evil: :evil:

............................................................................................

Hasb-e-ma'mool aap ki aaraa ka intezaar raheygaa ! :D shukriya

moKhliS: Zia Baloch :-)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, bahut achchi ghazal hei

Post by Abdullah Nazir »

Azeezi
Zia Baloach Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal behad pasand aayii. Is ghazal per tabsirah karte houe maiN kuch bakhaalat se kaam le rahaa hooN. Baharbaal, ye zaroori nahiN ke aap meri aaraa se muttafiq houN.

dil maiN nihaaN rahoN k nazar se a'yaaN rahoN ?
tuu hii bataa mujhe k maiN aaKhir kahaaN rahoN ?

Aapka maTlaH bahut achcha hei. Is meiN ieeTaa kaa Aib zaroor hei lekin yeh aajkal bilkul Aam hougayaa hei.

2.
ik lamHa-e-Hayaat hai , woh bhi dhowaaN dhowaaN ! :smt120
us par naSeeb kehta hai maHv-e-fuGhaaN rahoN !

Yeh sheAr bhii bahut achchaa hei lekin (ik lamaha-e-Hayaat) ke mani aap yeh lena chaahte heiN (ik mukhtasar Hayyat hei)

3.
merii bhi just-joo hai kesii dil k dasht maiN !
yaa rab ! nigaah-e-yaar se kab tak nihaaN rahoN ?

Bahut achcha sheAr hei.

4.
ahl-e-junoN ki bazm ho yaa majlis-e-Khirad !
meHfil sajaaoN yaar ki , maiN to jahaaN rahoN ! :D

Yeh sheAr bhii achcha hei.

5.
siHraa maiN koi Qais na jaNgal maiN Heer hai
koii maqaam-e-shauq nahiN hai, kahaaN rahoN ?

Yeh sheAr bhii bahut achcha hei.

6.
meHfil ki aabroo hoN to phir ay nigaah-e-shauq !
ban kar chiraaGh-e-Husn ka kyoN kar dhuwaaN rahoN ?

Doosre misreA kii taAqeed ko suljhaane ke liye yooN kahaa jaasaktaa hei (ban kar charaagh Husn ka kyoN kar dhuwaaN rahuN) lekin is per bhii yooN mehsoos houtaa hei ke aap lafz "kiyuN" kii bajaaye "kiyuNkar " isteAmaal karrahe heiN. Is liye isko yooN kiyaa jaasaktaa hei.(ban kar charaagh-e-Husn bhalaa kiyuN dhuaaN rahuN).

7.
Jis baaGh maiN u'roos-e-bahaaraaN ka QaSr hai
dil mera chaahtaa hai , maiN bhii wahaaN rahoN ! :D

Achcha sheAr hei. Doosre meiN lafz "ke" kii kami hei. MisraA yooN hounaat chaahiye: (dil mera chaahtaa hei keh maiN bhii vahaaN rahuN).

8.
sheereeN lisaan hoN , dil-e-aadam ki shaan hoN
Urdu zabaan hoN , to kiyoN be-zabaaN rahoN ?

SheAr kaa khayaal bahut umdah hei. Doosre misreA meiN be beHr houne laa sabab housakta hei keh koii lafz chooT gayaa hou. Housakta hei aapka doosraa misraA yooN hou. (urdu zubaan hooN,to maiN kiyoN be-zubaaN rahooN).

aap ne do sar waale saaNp to sune hi hoNge , ab do maqta;oN waali Ghazal bhi dekh lejeye

maqta; no 1;

9.
:Meer-o-Firaaq-o-Ghaalib-e-sheereN: bayaaN ki tarH
aise suKhan kahoN k :Zia: jaavidaaN rahoN !

KiyuN nahiN, kehiye aur kehte jaayiye aur jaavidaaN houjayiye . Is khoobsoorat maTleA meiN aap ne apni dili tamannaa ka izhaar kardiyaa hei aur is maqTeA kaa andaaz-e-bayaan bhi bahut dilkash hei. Ab dekhte heiN ke aane waale maqTeA meiN kyaa hei?

maqta' no 2;

samjhaaye kon aa k :Zia: ko jahaan maiN
kambaKht chaahtaa hai , sadaa hii jawaaN rahoN !

Yeh maqtaA bhii achcha hei lekin uskii ibarat ko mukhtalif alaamaat se zaahir karnaa paRegaa jaise:
(samjhaye kaun aa k :Zia: ko, jahaan meiN
kambakht chaahtaa hei, "sadaa hii jawaaN rahuN".
Agar aisaa nahiN kiyaa jaaye tou pahle misreA meiN "jahaan meiN" kaa phrase ziyadah maAloom hougaa, aur doosre misreA meiN "sadaa hii javaaN rahuN" ko sadaa hii javaaN rahe karnaa paRegaa.

Mukhtasar yeh ke aap kii ghazlean aajkal is baat kii nishaandehi karrahi heiN ke aap jald aek "ustad shayer" banne waale heiN. Is dilkash ghazal per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: Bahut khoob, bahut achchi ghazal hei

Post by Star Mind »

WEBMASTER wrote:
Azeezi
Zia Baloach Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal behad pasand aayii. Is ghazal per tabsirah karte houe maiN kuch bakhaalat se kaam le rahaa hooN. Baharbaal, ye zaroori nahiN ke aap meri aaraa se muttafiq houN.

ustaad-e-moHtaram janaab Nazir SaaHib, w/salaam :)

yaqeen jaaneye aap ko yahaaN dekh ka meeri baachheN khil uTTheN !
dil baaGh baaGh howaa ! maiN ise apni sa'aadat se ta'beer kartaa hoN :)
aur aap ki aaraa mere leye nehaayat mu'tabar hai janaab ! :-)

dil maiN nihaaN rahoN k nazar se a'yaaN rahoN ?
tuu hii bataa mujhe k maiN aaKhir kahaaN rahoN ?

Aapka maTlaH bahut achcha hei. Is meiN ieeTaa kaa Aib zaroor hei lekin yeh aajkal bilkul Aam hougayaa hei.

mat^la' ko pasand farmaane par aap ka beHad mamnoon hoN :) , inshaa Allah maiN is baat ko aayenda keleye madd-e-nazar rakkhoNga , aur is a'aib k baare maiN mut^aali'e k zareye bahut kuch jaan paaoNga inshaa Allah ! bahut bahut shukriya :-)

2.
ik lamHa-e-Hayaat hai , woh bhi dhowaaN dhowaaN ! :smt120
us par naSeeb kehta hai maHv-e-fuGhaaN rahoN !

Yeh sheAr bhii bahut achchaa hei lekin (ik lamaha-e-Hayaat) ke mani aap yeh lena chaahte heiN (ik mukhtasar Hayyat hei)

shea'r pasand farmaane par aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN :)
jee mera mat^lab bilkul yahi hai ! :-)

3.
merii bhi just-joo hai kesii dil k dasht maiN !
yaa rab ! nigaah-e-yaar se kab tak nihaaN rahoN ?

Bahut achcha sheAr hei.

moHtaram , saraapa mamnoon hoN :-)

4.
ahl-e-junoN ki bazm ho yaa majlis-e-Khirad !
meHfil sajaaoN yaar ki , maiN to jahaaN rahoN ! :D

Yeh sheAr bhii achcha hei.

zahe naSeeb, k aap ko mere itne ash'aar pasand aaye haiN :)
mamnoon hoN janaab :)

5.
siHraa maiN koi Qais na jaNgal maiN Heer hai
koii maqaam-e-shauq nahiN hai, kahaaN rahoN ?

Yeh sheAr bhii bahut achcha hei.

meeri Khush-qismati hai ustaad-e-moHtaram ! bahut bahut shukriya :-)

6.
meHfil ki aabroo hoN to phir ay nigaah-e-shauq !
ban kar chiraaGh-e-Husn ka kyoN kar dhuwaaN rahoN ?

Doosre misreA kii taAqeed ko suljhaane ke liye yooN kahaa jaasaktaa hei (ban kar charaagh Husn ka kyoN kar dhuwaaN rahuN) lekin is per bhii yooN mehsoos houtaa hei ke aap lafz "kiyuN" kii bajaaye "kiyuNkar " isteAmaal karrahe heiN. Is liye isko yooN kiyaa jaasaktaa hei.(ban kar charaagh-e-Husn bhalaa kiyuN dhuaaN rahuN).

mamnoon hoN moHtaram ! yahaaN par maiN ye nahiN kehnaa chaah rahaa k maiN chiraaGh-Husn banoN , balke ye kehnaa chaah rahaa hoN k chiraaGh-e-Husn "KAA" dhowaaN kyoN rahoN ! :-)

aap ki tajveez bhi nehaayat Khoob hai aur ustaadaana tajveez hai ! bahut bahut shukriya :-)

7.
Jis baaGh maiN u'roos-e-bahaaraaN ka QaSr hai
dil mera chaahtaa hai , maiN bhii wahaaN rahoN ! :D

Achcha sheAr hei. Doosre meiN lafz "ke" kii kami hei. MisraA yooN hounaat chaahiye: (dil mera chaahtaa hei keh maiN bhii vahaaN rahuN).

moHtaram is se baRh kar aur Khushee ki kyaa baat hosakti hai k aap ko taqreeba" mere tamaam ash'aar pasand aaye haiN ! aek shaagird keleye ye kesi bahisht se kam nahiN ! nehaayat mamnoon hoN , aap ne bajaa farmaayaa ! "k" ki zaroorat hai ! bahut bahut shukriya :)

8.
sheereeN lisaan hoN , dil-e-aadam ki shaan hoN
Urdu zabaan hoN , to kiyoN be-zabaaN rahoN ?

SheAr kaa khayaal bahut umdah hei. Doosre misreA meiN be beHr houne laa sabab housakta hei keh koii lafz chooT gayaa hou. Housakta hei aapka doosraa misraA yooN hou. (urdu zubaan hooN,to maiN kiyoN be-zubaaN rahooN).

moHtaram mamnoon hoN ! yahaaN aap se aek sawaal karnaa chaahoNga k kyaa "kyoN" ko 12 k wazn par baaNdhaa jaasaktaa hai ?

aap ne do sar waale saaNp to sune hi hoNge , ab do maqta;oN waali Ghazal bhi dekh lejeye

maqta; no 1;

9.
:Meer-o-Firaaq-o-Ghaalib-e-sheereN: bayaaN ki tarH
aise suKhan kahoN k :Zia: jaavidaaN rahoN !

KiyuN nahiN, kehiye aur kehte jaayiye aur jaavidaaN houjayiye . Is khoobsoorat maTleA meiN aap ne apni dili tamannaa ka izhaar kardiyaa hei aur is maqTeA kaa andaaz-e-bayaan bhi bahut dilkash hei. Ab dekhte heiN ke aane waale maqTeA meiN kyaa hei?

ustaad-e-mukarram ! tah-e-dil se mamnoon hoN , inshaa Allah aap ki rahnumaaii maiN achcha shaai'r banoNga ! 8)

maqta' no 2;

samjhaaye kon aa k :Zia: ko jahaan maiN
kambaKht chaahtaa hai , sadaa hii jawaaN rahoN !

Yeh maqtaA bhii achcha hei lekin uskii ibarat ko mukhtalif alaamaat se zaahir karnaa paRegaa jaise:
(samjhaye kaun aa k :Zia: ko, jahaan meiN
kambakht chaahtaa hei, "sadaa hii jawaaN rahuN".
Agar aisaa nahiN kiyaa jaaye tou pahle misreA meiN "jahaan meiN" kaa phrase ziyadah maAloom hougaa, aur doosre misreA meiN "sadaa hii javaaN rahuN" ko sadaa hii javaaN rahe karnaa paRegaa.

mamnoon hoN janaab :) . aap ne bajaa farmaayaa ! aap ka nukta zehn maiN maHfooz karliyaa hai ! saraapa mamnoon hoN :)
Mukhtasar yeh ke aap kii ghazlean aajkal is baat kii nishaandehi karrahi heiN ke aap jald aek "ustad shayer" banne waale heiN. Is dilkash ghazal per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

moHtaram aap ki zarra-nawaazi hai , warna "abhi i'shq k imtehaaN aur bhi haiN" :P . magar inshaa Allah agar aap ki rahnumaaii yoNhi jaari rahee to inshaa Allah aek din zaroor kuch ban kar dikhaaoNga !
aap ka is qadr KhulooS se tabSira beHad pasand aayaa ! saraapa mamnoon hoN ! ummed hai k aayenda bhi rahnumaai farmaate raheNge ! shukriya :)

[/i]
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: " kejeye zulm woh mujh par k mujhe yaad rahe !"

Post by najma »

Star Mind wrote:Yaraan-e-meHfil, aadaab :)

kal aek meHfil maiN jigar muraadaabadi ka aek KhoobSoorat t^araHi miSra' " kejeye zulm woh mujh par k mujhe yaad rahe" diyaa gayaa thaa,
naacheez ki nazar joNhi paRee misra' par, to chaNd ash'aar ka nuzool fora" se peshtar howaa , jo aap ki nazr kar rahaa hoN , is ummed k saath k apni raaye se nawaazeNge ! :D

bahut bahut shukriyaa !

to lejeye Ghazal Haazir hai :-

::: Urdu Version :::

Image

::: Roman Version :::

1.
u'mr bhar keleye lab par mire faryaad rahe
"kejeye zulm woh mujh par k mujhe yaad rahe" ! 8)

2.
yaa ilaahii ye chaman tuu ne banaaye kyoN haiN ?
taa k pholoN se bharaa , Khaana-e-Sayyad rahe ? :?

3.
jaane kyaa baat hoii ab k baras saawan maiN
ba'd muddat , maiN ne chaahaa k dil aabaad rahe ! :smt033

4.
phir tujhe kon du'aaoN se nawaazega yahaaaN ?
jab na dunyaa maiN tiraa a'aashiq-e-naa-shaad rahe ! :cry: :cry:

5.
raat gar beete kabhii, jaage saweraa bhi agar
zindagee ! yaad tujhe , zulmat-e-beedaad rahe ! :twisted:

ye shea'r ahl-e-wat^an keleye !

6.
shart^ hai , kishwar-e-qaai`d ko bachaane keleye
tere seene maiN chiraaGhaaN , rah-e-ajdaad rahe ! :idea:

7.
tuu k maGhrib k nazaaroN maiN hai gum sum itnaa
kaash aaNkhoN maiN tiree, Soorat-e-baGhdaad rahe ! :evil:

8.
jo acar hii na kare dil pe , bhalaa shea'r kahaaN ?
shea'r woh hai jo zamaane ko sadaa yaad rahe ! 8)

9.
maiN woh mi'raaj-e-muHabbat ka fasaana hoN nayaa
mere har Harf maiN ik lashkar-e-farhaad rahe ! :D

aur ab ye shea'r apne marGhoob shaao'r janaab-e-Qais ki nazr !

10.
woh to din raat taraqqii k manaazil kare t^ay
jis bhi meHfil maiN koii :Qais: sa utsaad rahe ! ;)

aur ab maqt^a' shareef !

11.
ik :Zia: hii to nahiN i'shq maiN barbaad tire
tujhko jitnoN ne bhi dekha , youNhi barbaad rahe ! :evil: :evil:

............................................................................................

Hasb-e-ma'mool aap ki aaraa ka intezaar raheygaa ! :D shukriya

moKhliS: Zia Baloch :-)

bohat khoob zia baloch sahib!
aap ki ye kawish bhi hasb-e-ma,mool hameIiN padand aaee.
baz laf ''kyuuN''======
''lun'' ke wazn par baandha jataa hay.''fe-lun'' ke wazn par naheeN. :-)
dheroN daad qubool kijiye
:-)
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

WAH AAP KI GHAZAL BOHAT ACHI HAY MUJAY PASAND I HAY.

ATTIQ ABBASI
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: " kejeye zulm woh mujh par k mujhe yaad rahe !"

Post by Star Mind »

najma wrote:

shukriya Najma SaaHiba !

aap hamesha meeri HoSla afzaaii farmaati haiN ! ye mere leye kesi i'jaaz hargiz kam nahiN k aap jaisee a'zeem shaai'ra meeri Ghazal ko is qaabil samjhe ! saraapaa mamnoon hoN :-)

kyoN ka vazn bataane par aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN :)

beHad shukriyaa :)

moKhliS: Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

little abbasi wrote:SALA/\/\.

WAH AAP KI GHAZAL BOHAT ACHI HAY MUJAY PASAND I HAY.

ATTIQ ABBASI
Abbasi SaaHib. w/salaam :)

beHad shukriyaa aap ka . aap ko Ghazal pasand aayee meeri meHnat wuSool hogayee :)

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

sara_j wrote:Zia saahib,

waqai ab aap tou ustad shayar bangaye hain.................aapki ghazal bohat pasand aayi.

sara
Saara SaaHiba , kyoN sharminda karti haiN aap :oops: kahaaN maiN aur kahaaN ustaad hona, "abhi to i'shq k imtehaaN aur bhi haiN" :grin:

Ghazal ki pazeeraaii keleye beHad mamnoon hoN . shukriyaa

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezi Zia Sahab,

Aapki Ghazal per Urdu Duniya meN daad pesh kar chuka hooN, mukarrar tahseen qubool farmaiye. Aap ne nah sirf achchee koshish ki hai, buhut kum waqt meN ashAAr kah liye hain jo ek barhee baat hai. Zindabad.

Khulooskaar,
Jawaid Jawaid
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

jawaid badauni wrote:Azeezi Zia Sahab,

Aapki Ghazal per Urdu Duniya meN daad pesh kar chuka hooN, mukarrar tahseen qubool farmaiye. Aap ne nah sirf achchee koshish ki hai, buhut kum waqt meN ashAAr kah liye hain jo ek barhee baat hai. Zindabad.

Khulooskaar,
Jawaid Jawaid

moHtarami Jawaid SaaHib , aadaab :)

Huzoor , aap ki taraf se aisee daad mele to phir aur kyaa chaaheye ? :-)
ye meeri intehaayee Khush-qismati hai k mujhe aap jaise ahl-e-hunar ki taraf se aisee daad mil rahee hai ! aur aap mera is qadr HoSla baRhaa rahe haiN :) nehayaat mamnoon hoN aap ka ! :-)
jee haaN aap ne bajaa farmaayaa aaj kal shaai'ree ki deevee kuch zyaada hi mehrabaan hai is leye dhaRaa dhaR ash'aar ka nuzool horahaa hai :grin: bahut mamnoon hoN aap ka :)