Page 8 of 33
Posted: Sat Apr 15, 2006 10:17 am
by zmufti
zindagii shammaa kii maanind jalaataa huu.N 'Nadeem'
bujh to jaa_uu.Ngaa magar subah to kar jaa_uu.Ngaa
Posted: Sat Apr 15, 2006 7:56 pm
by ummassad
tark.e wafa ke baad yah uski ada QATEEL
mujhko sataaye koi tu usko bura lagey
Posted: Sun Apr 16, 2006 10:48 am
by Daanish
Asghar mujhe junooN nahiN lekin yeh haal hai
ghhabra raha huN dekh ke deewar-o-dar ko dar ko maiN
maQTaA
Posted: Mon Apr 17, 2006 1:53 am
by Abdullah Nazir
"kyaa kehiyiye dimaagh uskaa ke gul-ghasht meiN kal Meer
gul shaakhaoN se jhuk aaye thay per moNh nah lagaayaa".
Shaayer: Meer.
Nazir.
Posted: Mon Apr 17, 2006 2:44 am
by Daanish
huN jaaN balab butaan-e-sitamgar ke haath se
kya sab jahaaN meiN jeete haiN, Momin isi tarah?
maqTaA
Posted: Mon Apr 17, 2006 10:48 pm
by Abdullah Nazir
"mile bhi khaak meiN ham, aek MuSHafi usko
hamaare jeene kaa ab tak gumaan baaqi hei".
Shaayer: MuSHafi.
Nazir.
maqTaA
Posted: Thu Apr 20, 2006 10:56 am
by Abdullah Nazir
"taRap jaate heiN Husn o ishq kaa jab naam aataa hei
isi se bus samajh lo :Yaas: kyaa hounge javaani meiN".
Nazir.
Posted: Thu Apr 20, 2006 6:47 pm
by zmufti
Qamar main huu.N muKhtar ta.nziim-e-shab kaa
hai.n mere hii bas me.n a.ndhere ujaale
Posted: Sat Apr 22, 2006 8:04 pm
by zmufti
'Ghalib' chuTii sharaab, par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.N roz-e-abr-o-shab-e-maahataab me.n
maqTaA
Posted: Sat Apr 22, 2006 11:19 pm
by Abdullah Nazir
Yaas manzil hei miri manzil-e-unqaay-e-kamaal
Lucnow meiN koii kiuN DhoonDne aataa hei mujhe.
Shaayer: Yaganah Chngezi Yaas.
[color\brown]
Nazir.
[/color]
Posted: Mon Apr 24, 2006 8:00 pm
by zmufti
nazar mere dil ki pa.Dii "dard" kis par
jidhar dekhataa huu.N wahii ruu-ba-ruu hai
maqTaA
Posted: Tue Apr 25, 2006 12:10 pm
by Abdullah Nazir
"naam-e-ishq-e-butaaN nah lo Mumin
Keejiye bus khudaa khudaa SaaHib."
Nazir.
Posted: Thu Apr 27, 2006 7:33 pm
by zmufti
Gham ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'
Khaanaa_barbaad kahaa.N thaa pahale
Posted: Sat Apr 29, 2006 7:28 pm
by zmufti
miTate huo.n ko dekh ke kyo.n ro na de.n 'Majaz'
aaKhir kisii ke ham bhii miTaaye huye to hai.n
maqTaA
Posted: Sun Apr 30, 2006 4:48 am
by Abdullah Nazir
"shikwah kartaa hei beniyaazi kaa
tuu ne Mumin butaoN ko kyaa jaanaa."
Shaayer: Mumin.
Nazir.