Page 8 of 12

Posted: Fri Apr 29, 2005 2:56 am
by Hashmat Usmani
awwal-e-shab vo bazm kii raunaq, shamm'a bhii thii parvaana bhii
raat ke aaKhir hote_hote, Khatm thaa ye afsaanaa bhii


Aarzoo Lucknauwii

Posted: Fri Apr 29, 2005 3:12 am
by Hashmat Usmani
aaNkheN mujhe talvoN se vo malne nahiiN dete
armaan mere dil kaa nikalne nahiiN dete


Akbar Allahabadi

alif

Posted: Fri Apr 29, 2005 3:27 am
by Abdullah Nazir



aek aahaT sii dar-e-dil pah houii thii kal shab

Aaj tak neend nah aayii tire deevaane ko.




Nazir.


alfi

Posted: Fri Apr 29, 2005 3:36 am
by Abdullah Nazir



Ab nah wo gul heiN nah gulzaar nah wo mausame gul

yaad-e-mazi mujhe ik qissa-e-paareenah hei.




nazir.


Posted: Fri Apr 29, 2005 7:40 am
by najma
ab ke baras bhi shehr me tere habs wohii hay, log sabhi
phirte haiN girebaaN chaak kiye, haey tujhe eh,saas kahaaN
khawar qureshi

Posted: Sat Apr 30, 2005 3:48 am
by Hashmat Usmani
aa ke patthar to mere saHn meN do_chaar gire
jitne us peR ke phal the pas-e-diivaar gire


Shakeb Jalaali

Posted: Sat Apr 30, 2005 11:28 am
by najma
uljhii huee hay shauq ki raftaar raah meiN
har gaam par hay rasm ki deewaar raah meiN
khawar qureshi

Posted: Sat Apr 30, 2005 12:27 pm
by Hashmat Usmani
aadam kaa jism jab ke anaasir se mil banaa
kuchh Khaak bach rahii thii so 'aashiq kaa dil banaa


MoHammad Raf'ii "Saudaa"

Posted: Sat Apr 30, 2005 12:48 pm
by Hashmat Usmani
ik teraa Gham thaa ba_har_rang jo shaadaab rahaa
is shajar ne giraayaa koii pattaa apnaa


Musavvir Sabzwarii [kia pyaaraa naam hai ;)]

Posted: Sat Apr 30, 2005 2:08 pm
by najma
uljhii huee hay shauq ki raftaar raah meiN
har gaam par hay rasm ki deewaar raah meiN
khawar qureshi

Posted: Sat Jan 07, 2006 8:05 pm
by ummassad
aaye khch abar kuch sharab aaye
iske baad aaye jo azab aaye

Posted: Mon Jan 16, 2006 9:19 pm
by ummassad
ay mere hamnashin chal kahin aor chal is chaman main ab apna guzara nahi
baat hoti guloo tek tuu sehlete hum ab tuu kantoon pe bhi haq hamara nahi

Posted: Fri Jan 20, 2006 9:30 pm
by ummassad
is aalam-e- hasti se guzarjaonga ak din
saaya houn faqt naqsh b deewar nahi houn

Posted: Sat Jan 21, 2006 6:26 pm
by ummassad
allah re nazuki ke chambali ka ek phool
sir pe jo rakh diya tu kamar tek lachak gyi

Posted: Thu Feb 09, 2006 5:29 pm
by Daanish
aa ke sajjada nasheeN Qais hua mere baad
na rahi dasht meiN khaali koi ja mere baad--Meer