Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

zinda they jinki sard hawavoun hum qateel
ab zair.e.aab hain woh jazeerey wafaoun ke
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »




Gunj jo jaante heiN gunj-e-qinaaAat ko Faqeer

saamne unke heiN kyaa maal yeh daulat waale.


Shaayer: Faqeer


Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »

[size-18]


kab wo aate heiN dekhiye Hasrat

khatm houtaa hei kab zamaan-e-firaaq.


Shaayer: Hasrat Mouhaani.


Nazir.

[/size]
Image
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

aye SHAKEEL unki mahfil main bhi kiya mila .bardh gaiyen aor bhi dil ki betabiyan
herak janib rahi woh nigaha.he karam.hum tarastey rahey aik nazar ke liye
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »




"baagh-e-Aalam ki hawaa aatish nah raas aayi mujhe

doust jis gul kaa rahaa maiN, wo miraa dushman rahaa".


Shaayer: aatish.


Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »




"khaayaal-e-zulf meiN sar ai NaSeer peeTaa kar

nikal ke saanp gayaa hei lakeer peeTaa kar".


Shaayer: NaSeer.


Nazir.

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

bhuule se muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz'
mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »




"izhaar-e-ishq us se nah karnaa thaa :sheftah:

yeh kyaa kiyaa ke doust ko dushman banaadiya."


Shaayer: Sheftah


Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »




"aap marte to heiN per jeete hi ban aayegi

Sheftah Zid peh wo apni jo sitamgar aayaa."


Shaayer: Sheftah


Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA"

Post by Abdullah Nazir »




"likhkhi yeh ham ne wo ghazal-e-taazah :sheftah:

her sheAr jis meiN daagh deh-e-dasta-haaye gul."


Shaayer: Sheftah


Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »




"Sheftah zauq-e-seHar us ne kahaaN dekhaa hei

wo jo kehtaa hei keh hei aakhir-e-shab, khwaab lazeez".


Shaayer: Sheftah


Nazir.

Image
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

[size=18][/size][color=blue][/color]

khafa ho ke aey DARD mer tu chala tu
kahan tek gham apna chupata rahe gaa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »




"kyaa housake kisi se ilaaj apnaa :sheftah:

us gul peh ghash heiN jis meiN muHabbat ki boo nahiN."


Shaayer: Sheftah


Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqTaA

Post by Abdullah Nazir »




"Haal meiN :Seemaab: mustaqbil ki taabaani nahiN

kaarwaaN hasti kaa shaayad aakhiri manzil meiN hei."


Shaayer: Seemaab Akbaraabaadi


Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

maqtaA

Post by Abdullah Nazir »




"paimaana saamane hai to kuchh gham nahiiN "Nizam"

ab dard-e-dil kii ko_ii davaa mere saath hai ".


Shaayher: Nizaam


Nazir.

Image
Post Reply