Page 9 of 12

Posted: Sun Feb 12, 2006 2:22 am
by ummassad
aankhon main umandte hain tu rukte nahi aansoo
palkoon main kaheen dard ka darya tu nahin hy

Posted: Sun Feb 12, 2006 11:12 am
by Daanish
Ek hum haiN ke hu'e aise pashemaaN ke bas
ek woh haiN ke jinheiN chaah ke armaaN hoNge--Momin

"alif"

Posted: Thu Feb 23, 2006 3:18 am
by Abdullah Nazir



oonkaa aanaa bhi hei andaaz-e-taghaaful jaisaa

do ghaRi baiThe nahiN, kehte heiN ghar jaane do.


Shaayher: Abdullah Nazir.


Nazir,


Posted: Sun Feb 26, 2006 5:40 pm
by MAHROO


aane se uske aaye bahaar
jaane se uske jaaye bahaar



neeraj

Posted: Mon Feb 27, 2006 3:03 am
by ummassad
ay waiz.e. nadan kerta hy tu ak qiyamat ka charcha
yaan rooz nigahain milti hain yaan rooz qiyamat hoti hy

alif

Posted: Mon Feb 27, 2006 8:34 pm
by Abdullah Nazir



uff re yeh Aaqrab-e-abroo kii tire neeshzani

cheekh uTThe nah taRaptaa houaa insaaN kab tak.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Mon Mar 06, 2006 7:17 am
by ummassad
aaina deekh apna saa mouh leeke rehgye
saaheb ko dil na dene pe kitna gurour tha

"alif"

Posted: Tue Mar 07, 2006 1:39 pm
by Abdullah Nazir



izhaar-e-tamannay-e-dil o jaaN nahiN karte

ham apni Haqeeqat ko numaayaaN nahiN karte.


Shaayer: Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Mar 25, 2006 6:09 pm
by ummassad
ab jhalakty hue saager nahi dekhy jaaty
touba ke baad yh manzer nahi dekhy jaaty

"alif"

Posted: Tue Mar 28, 2006 1:30 am
by Abdullah Nazir



intizaar-e-yaar meiN yuN raat bhar jaagaa kiye

karwaTeN lete rahe yaa soo-e-dar dekhaa kiye.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Aug 27, 2006 5:03 pm
by ummassad
ay mery humnashin chal kahin aor chal is chaman main ab apna guzara nahii
baat hoti guloon tak tu sehleytey hum aab tu tantoun ph bhi huq hamara nahii

Posted: Tue Sep 12, 2006 2:44 am
by Daanish
alif


ab junooN aap hai garebaaNgiir
ab woh rasm-e-takullufaat gayi
--Jigar

Posted: Wed Sep 13, 2006 4:03 am
by ummassad
ahawal.e. mahoubat main kuch faraq nahain ayesa
sooz o tub o taab awoul. sooz tub o taab aakhir

Posted: Wed Sep 13, 2006 4:19 am
by ummassad
ulti hogain sub tadbeerain kuch nh dawa ney kaam kiya
aakhir is beemari.e.dil ney apna kaam tamaam kiya

Posted: Thu Sep 14, 2006 3:23 pm
by Daanish
alif


Allah re deewangi-e-shauq ka a'alam
ik raqs meiN har zarrah-e-seHraa nazar aaya
--AsGhar