Page 10 of 33

maqtaA

Posted: Thu May 11, 2006 2:07 am
by Abdullah Nazir



"Akhtar" dayaar-e-husn me.n pahu.Nche.n to hai.n mar ke ham

kyuu.N kar huaa hai tay ye safar kuchh na puuchhiye

Shaayer: Akhtar Sheeraani


Nazir.


maqtaA

Posted: Thu May 11, 2006 2:14 am
by Abdullah Nazir



"maikhaane ke hangaame heiN kuch der ke mehmaaN

hei SubH qareeb :Akhtar: deewaanah piyaa jaaye".


Shaayer: Akhtar Sheeraani


Nazir.


maqTaA

Posted: Thu May 11, 2006 2:31 am
by Abdullah Nazir



"Khafaa houke ai :Dard: mar to chalaa tuu

kahaaN tak gham apnaa chupaataa rahegaa."


Shaayer: Khwaajah Meer Dard


Nazir.


maqTaA

Posted: Sat May 13, 2006 6:50 pm
by Abdullah Nazir



"ai "Dard" jis kii aaNkh khulii is jahaan me.n

shabanam kii taraH jaan ko apanii wo ro gayaa "


Shaayer: Khwaajah Meer Dard


Nazir.


maqTaA

Posted: Mon May 15, 2006 11:58 am
by Abdullah Nazir



"aatish hameshah sair houaa khwaan-e-Husn se

niyyat ko rakh ke bousa-e-lab ki chashak zaraa".


Shaayer: aatish


Nazir.


Posted: Wed May 17, 2006 2:22 am
by ummassad
aadet hi banali hey tumny tuu MUNEER apni
jis shaher main bhi rahna uktaaye huye rahna

maqTaA

Posted: Wed May 17, 2006 10:31 am
by Abdullah Nazir



"apne Dhab ki kyaa paRhi aek aur Mumin ne ghazal

do hi din yeh to gouyaa maahir-e-fun hougayaa".


Shaayer: Mumin


Nazir.


maqTaA

Posted: Sun May 21, 2006 11:33 am
by Abdullah Nazir



"kyaa bhalaa Sabr o muHabbat ko jagah ho Naasikh

yaar ke seene ko kartaa nahiN keenah khaali."


Shaayer: Naasikh.


Nazir.


Posted: Sun May 21, 2006 12:55 pm
by hassan_bashir
ziist se taNg ho ai "Daagh" to jiite kyuN ho ?
jaan pyaarii bhii nahiiN jaan se jaate bhii nahiiN !

maqTaA

Posted: Mon May 22, 2006 12:44 am
by Abdullah Nazir



"Mujh per hi ai Qamar nahiN paabundiy-e-falak

taare bhi jaasake nah Had-e-aasmaaN se door."


Shaayer: Qamar Jalaalavi


Nazir.


Posted: Mon May 22, 2006 7:33 am
by hassan_bashir
"Qamar" dil kyaa hai maiN to un kii Khaatir jaan bhii de duuN.
merii qiismat agar un ko na phir bhii aitabaar aaye !

Posted: Mon May 22, 2006 12:33 pm
by hassan_bashir
aur "Faraz" chaahiiyeN kitnii muhabbateiN tujhe?!
maaoN ne tere naam par baChhoN ke naam rakh liYe!!

maqTaA

Posted: Mon May 22, 2006 7:28 pm
by Abdullah Nazir



"andhe hei jahaaN ke loag saare ai Meer

soojhe nah jise, use hi kehte heiN baSeer".


Shaayer: Meer.


Nazir.


Posted: Tue May 23, 2006 8:07 am
by hassan_bashir
khaNjar le kar soChate kyaa ho qatl "Murad" bhii kar daalo,
daagh haiN sau daaman pe tumhaare eik izaafa aur sahii !!

maqTaA

Posted: Tue May 23, 2006 9:06 am
by Abdullah Nazir



"Shikeb kaisi uRaan ab wo par hi TooT gaye

Keh zer-e-daam jab aaye thay phaRphaRaaye bahut".



Shaayer: Shikeb Jalaali.


Nazir.