Page 10 of 12
Posted: Thu Sep 14, 2006 10:16 pm
by ummassad
allah re nazuki kh chambali ka aik phool
ser per jo rakhdiya tu kamer tek lachak gai
Posted: Sat Sep 30, 2006 3:36 am
by ummassad
ab is chaman main nh saiyad hey nh hy gulchin.
karo tu ab sitam.e.baagban ki baat kero.
Posted: Thu Nov 23, 2006 12:04 pm
by praise
ab iraado.n pe bharosaa hai na taubaa pe yaqii.n
mujh ko le jaaye kahaa.N tashnaalabii shaam ke baad
Posted: Wed Dec 06, 2006 10:24 am
by hassan_bashir
aaj maiN ne apnaa phir saudaa kiyaa!
aur phir meiN door se dekhaa kiyaa!! :?
"alif"
Posted: Wed Dec 13, 2006 2:05 am
by Abdullah Nazir
ameeraoN se maraasim kaa tou shaiwah Aam hei lekin
ghareebi meiN kisi kee qadr o qeemat kam nahiN houti.
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Posted: Sat Apr 21, 2007 1:36 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
agar ho dh~oop kee shiddat bh~ee raste meN kaheeN
buland peR ke neeche qayaam mat karna.
Faoq Kareemi
Posted: Sat Apr 28, 2007 11:09 pm
by ummassad
aankh saaqi ki jahan milgai mastanoo se
chashmey kouser key ubalney lagey paymanou se
Posted: Fri May 11, 2007 4:37 pm
by ummassad
andaaz hu b hu teri aawaz e pa ka tha .
dekha nikal ke gher se tu jhounka hawa ka tha.
Posted: Tue May 22, 2007 1:38 am
by ummassad
ak khwab jo manhdhar main kub se ghira hey .
us khwab ko saahil na mila ab ke barus bhi.
Posted: Thu Jun 07, 2007 10:32 pm
by ummassad
apney bhi khafa mujh se begaaney bhi nakhush.
main zaher e halahul ko kabhi kah na saka qhand.
Posted: Tue Jul 24, 2007 2:58 am
by ummassad
aakhire shub deed ke khabil thi bismil ki tarup.
subha bum koi ager baala e baam aaiya tu kiya.
Posted: Sat Aug 11, 2007 4:29 am
by ummassad
aik bhi aah saleeqey se ager ho jaye.
raat dam toud dey ghabra key saher ho jaye.
Posted: Sat Aug 11, 2007 5:50 pm
by alwaysalone
Is Daur MeN Haalaat Ka Maara Hua Insaan
Wo Lafz Hai Jo Apnay Hi Maani Se Juda Hai
Posted: Fri Aug 17, 2007 1:28 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
abhee kamsin ho rehne do kaheeN khu do gee dil meraa
tumhare hee liye rakhkhaa hai le lenaa jawaaN ho kar!!
Posted: Fri Aug 17, 2007 5:28 pm
by munir-armaan-nasimi
KYA BAAT HAI MUZAFFAR BHAI..... BAHUT PYARA MASHORA HAI.... KAAS, KISI NE HAMEIN BHI YE BAAT PAHLE BATAYI HOTI TO AAJ HUM....... GHALIB KI TARAH NIKAMME TO NAHIN HOTE......!!
Insaan Nahiin Hai Wohh To Farishta Hai Dosto
Jiski Zabaan Se Dil Bhi Kisi Ka Dukha Nahiin
(Munir Armaan Nasimi)