Page 2 of 2

Posted: Sun Jun 19, 2005 8:37 am
by Mahtab Qadr
Mukarramee Jawaid badauni sahib ,mai ne aapko ustaad e sukhan tanzan hargiz nahi likha balke aapki fanne urooz par dastaras aur aapke kalam ko parh kar balke aapke baray mai logoN se sunkar , kaha.

aapka faislah sar aankhaoN per

Posted: Sun Jun 19, 2005 4:30 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Najmah Saahibah

Purkhuloos Tasleemaat,

Mujh se aap ne apne maqteA ke baare meiN daryaaft kiyaa ke us meiN lafz "baRi" ke taAlluq se kyaa khayal hei? Aapka maqTaA yooN hei:

"khwaahisheN jitni baRhgaieeN Najma
utni chadar miri baRi bhii nahiN"

MaiN ne apni raaye ka izhaar karte houe kahaa:
Pahle misreA mein (jitni baRhgaieeN) kaa jumlah jo zamaana-e-maazi meiN hei is baat kaa ishaarah kartaa hei ke javaab-e-sharT "utni chadar baRi bhii nahiN" bhii is liHaz se zamaana-e-maazi mein hii hougaa. Aap ne jab is sheAr ko nacr meiN likhkhaa tou meri kii houi nacr se bilkul mukhtalif thii. Meri nacr yooN thii:

(aiy Najma meri khwaahisheN jitni baRhgaieeN, utni meri chaadar baRi bhii nahiN)
Aap ne dobarah doosre misreA se "bhii" ke lafz ko nazar andaz karte houe kahaa "utni meri chadar baRi nahiN"

Iske b'ad dekha ke aapki ghazal per tabsirah karte houe Janab Jawaid Badayuni Saahib ne faislah-kun andaz meiN Hukm Saadir farmaayaa ke lafz "baRi" bilkul SaHeeH hei aur maqTeA kii khoobiyaaN bayaan karte houe usko Mirza Ghalib ke mandarja-e-zeil sheAr se milaadiyaa jiska mazmoon bilkul mukhtalif hei:
"hazarouN khwaahisheN aisi ke her khwaahish pah dam nikle
bahut nikle mire armaan lekin phir bhii kam nikle"

Aapke iSraar aur Jawaid Badaayuni Saahib ke faisle ke b'ad koii gunjaayish nahiN reh jaati ke mazeed ifhaam o tafheem per zour diyaa jaaye. Waise mera apnaa nazariyah bhi yehi hei keh Shayer/Shaayerah ko pooraa poora Haq houtaa hei ke uska sheAr jaisaa bhii hei usko apni daanist meiN bahut hii munaasib samjhe.

Nateejeh ke Taur per maiN aap se muAafi kaa khwaastgar hooN ke aapko tasalli bakhsh javaab nah de sakaa kiyuNkeh mera zaavia-e-nigaah aapki fikr-e-Aaali-muqaam se mukhtalif thaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]