KOEE KHOOBII MIREE, DIKHII BHII NAHEEN

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

KOEE KHOOBII MIREE, DIKHII BHII NAHEEN

Post by najma »

SATHIYO

aadaab

ek ghazal aap sab ki nazr.

asaatizah-e-kiraam se islaah ki darkhaast ke saath.
Attachments
koee khoobii mirii dikhii bhii naheeN.gif
koee khoobii mirii dikhii bhii naheeN.gif (11.07 KiB) Viewed 910 times
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Assalaam o alekum,


waaaah waaaaah bahooot khoob bahoot hi zabardast najma baaaji bahoot hi khoobsoorat aur dilkash ghazal likhi aur share ki apnien ghazal kaa her sher dil ko chhootaa hai bahoot khoob Dili DaaD Qabool karaien khush rahien
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

Wah wah bohat achi ghazal hay ji .

ATTIQ ABBASI
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

khurram_shaikh wrote:Assalaam o alekum,


waaaah waaaaah bahooot khoob bahoot hi zabardast najma baaaji bahoot hi khoobsoorat aur dilkash ghazal likhi aur share ki apnien ghazal kaa her sher dil ko chhootaa hai bahoot khoob Dili DaaD Qabool karaien khush rahien

bohar shukriya khurram

sada khush rahiyye

:-)
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

little abbasi wrote:SALA/\/\.

Wah wah bohat achi ghazal hay ji .

ATTIQ ABBASI

bohat shukriya attiq!!!


khush raho

:-)
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Post by Anmol »

Adaab Najma Ji,

AAp ki ghazal Khoob hay, sher # 3,4 aur maqta mujhe zyada pasand aaye, daad pesh hay. :-)
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Najma jee
aap ki ghazal buhat pasand aayii
sher n0 4 aur 6 ziyada pasand aye
thanks for sharing
zmufti
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Najma sahiba ghazal pasand ai, bataur e khas 3,7aur maqta lajawab haiN

Mahtab Qadr
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezah Najma SahibaH
Tasleemaat

Aap ne iss qadar haseen ghazal se nawaza hai dil Khoosh ho gaya khooda ki qasam. ChoTi se zameen meN itne sada aur haseen ashAAr, ek lamhe ko mera dil chaahne laga tha maiN bhi iss zameen per hal chala daloN.

Mukammal Ghazl pasaNd aaii, maqta Khususan bahut achcha laga. Zindabad.

Khiartalab,

Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: bari bhi nahin

Post by jawaid badauni »

dunya wrote:
Najma jii,

adaab,

Aapki ghazal behad pasand aayi jiske liye meri dili haazir hei.

Aapke maqte kaa doosra misra hei:

"utni chaadar miri barii bhii nahin"

shayad is meiN typo hei. Bari tou chouti ka antonym hei. agar aap ne 'barhii' ko ghalat type kardiya hei tou yeh aur baat hei. Meri maloomaat meiN izaafah keejiye.

Khair Andesh,
Dunya

MohtarmaH Najma SahibaH, Tasleeem

Aapke maqte meN koii aib nahiN nah typing ki koii ghaltee hai. Ghaliban Dunya sahibaH aap ko maqte ko thik se samjh nahiN paayee haiN.

Aapka maqta bahut haseen hai. Itna achcha maqta hai keh iss per ek mazmoon likha ja sakta hai. Chader ke saath "baRhe" likhne ka to jawaz hi nahiN chader koii aise cheez nahiN jo "flexible" ho aur ghaTtee baRHtee rahe. Aapne jo "baRee" ka lafz likha hai bilkul durust hai.

Chacha Ghalib ne farmaya tha: "HazaroN KhuwahisheN aisee keh her khuwahish peh dum nikle...Bahut nikle mire armaan lekin phir bhi kum nikle." Shayad mumkin hai aap ne iss maqte meN Chacha ke she'r se istafada hasil kiya ho (jo ek jaa.iz amal hai aur buzurg shayar ke liye ek qism ka Khiraaje aqeedat bhi). Insaan ko apnee chader dekhkaer pair phailana chahiye magar yahaN shairaH yeh gila kar rahee hai keh ooskee khuwahisheN baRhtee jaatee haiN chader utni ki utni hai.

Bahut achchi baat kahi hai aaap ne. Mukammal Ghazal per maiN aap ko daad de hi chuka hooN maqte per ek baar phir tahseen pesh karta hooN.

Khair Andesh,
Jawaid Badauni
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Najma baji:

salaam arz hai

mujhe kyuN lag rahaa hai ke main ye ghazal pehle paRh chuka hooN #-o , ya phir ye mere aawaara takhayyul ki kaar.farmaai hai :grin:

ya phir aap ye keh sakti haiN ke :

baat kis tarha aap ne sun
voh jo maine abhi kahi bhi nahiN :-k
:twisted:

mazaaq bar.taraf, is ghazal ke tamaam ash'aar bahot pasand aaye, meri jaanib se daad Haazir hai, zaroor qubool farmaaiye ga ;)

gulistaan-e-aqeedat :rose

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Dunya Dehlavi bhi wahi kahrahi theiN jo Najma sahiba ne kaha, Ustaad e Sukhan Jawaid Badauni sahib tak shayed Dunya Dehlavi ka mafhoom nahi pahoNcha. Najma sahiba ka maqta bahut shandaar hai waqai lutf aagay. urdu rasm ul khat mai likhi gai ghazal mai typo to nahi nazar aata. agar pahle roman mai bhi ghazal likhi gai thi to shayed meri nazar se nahi guzri. urdu mai to saaf likha hai.
khawhisheiN jitni barhgaiN najma
utni chadar meri barhi bhi nahi
is sher zaher hai usi kahawat ki taraf ishaara hai, paoN utne hi phailao jitni chadar ho.
albatta Matle mai pahle misre ka qafia mujhe khatak raha hai "dikhi " bhi nahi, kia nazar aane ke lye ya paye jaane kelye ye lafz ka istemal sahi hai. asatiza ekraam se iltemas hai ke raushni daleiN.
shukria
MahtabQadr
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Mahtab Qadr wrote:Dunya Dehlavi bhi wahi kahrahi theiN jo Najma sahiba ne kaha, Ustaad e Sukhan Jawaid Badauni sahib tak shayed Dunya Dehlavi ka mafhoom nahi pahoNcha. Najma sahiba ka maqta bahut shandaar hai waqai lutf aagay. urdu rasm ul khat mai likhi gai ghazal mai typo to nahi nazar aata. agar pahle roman mai bhi ghazal likhi gai thi to shayed meri nazar se nahi guzri. urdu mai to saaf likha hai.
khawhisheiN jitni barhgaiN najma
utni chadar meri barhi bhi nahi
is sher zaher hai usi kahawat ki taraf ishaara hai, paoN utne hi phailao jitni chadar ho.
albatta Matle mai pahle misre ka qafia mujhe khatak raha hai "dikhi " bhi nahi, kia nazar aane ke lye ya paye jaane kelye ye lafz ka istemal sahi hai. asatiza ekraam se iltemas hai ke raushni daleiN.
shukria
MahtabQadr
Mohtarmee Mahtab Qadr Sb

Such to yeh hai keh aap hum donoN ko nahiN samajh sake haiN.

Nazma sahibah ne BaRee(which means large) likha hai jaisa keh unhoN ne PM meN bhi mujhe bataya. Duniya sahibah ko BaRhee (which means extended) ziyada miunasib lag raha hai. Main ne samjhane ki koshish ki hai keh baRee (large) hi saheeh hai BaRhee nahiN.

Khuloos bartarf, aap ne yeh kaun sa lafz istaimal kiya mere liye zara sochiyega. MaiN Ustaad-Sukhan nahiN lifl-e maktab hooN janab. Iss qism ke alfaaz ko asatisa karam ke liye mauqoof kar deejiye janab, Jaise hamare Abdullah Nazir Sahab (Ummid hai aap ne mausoof per miree nazm dekh lee hogee).

Khairtalab
Jawaid
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Mukarramee Jawaid badauni sahib ,mai ne aapko ustaad e sukhan tanzan hargiz nahi likha balke aapki fanne urooz par dastaras aur aapke kalam ko parh kar balke aapke baray mai logoN se sunkar , kaha.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aapka faislah sar aankhaoN per

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Najmah Saahibah

Purkhuloos Tasleemaat,

Mujh se aap ne apne maqteA ke baare meiN daryaaft kiyaa ke us meiN lafz "baRi" ke taAlluq se kyaa khayal hei? Aapka maqTaA yooN hei:

"khwaahisheN jitni baRhgaieeN Najma
utni chadar miri baRi bhii nahiN"

MaiN ne apni raaye ka izhaar karte houe kahaa:
Pahle misreA mein (jitni baRhgaieeN) kaa jumlah jo zamaana-e-maazi meiN hei is baat kaa ishaarah kartaa hei ke javaab-e-sharT "utni chadar baRi bhii nahiN" bhii is liHaz se zamaana-e-maazi mein hii hougaa. Aap ne jab is sheAr ko nacr meiN likhkhaa tou meri kii houi nacr se bilkul mukhtalif thii. Meri nacr yooN thii:

(aiy Najma meri khwaahisheN jitni baRhgaieeN, utni meri chaadar baRi bhii nahiN)
Aap ne dobarah doosre misreA se "bhii" ke lafz ko nazar andaz karte houe kahaa "utni meri chadar baRi nahiN"

Iske b'ad dekha ke aapki ghazal per tabsirah karte houe Janab Jawaid Badayuni Saahib ne faislah-kun andaz meiN Hukm Saadir farmaayaa ke lafz "baRi" bilkul SaHeeH hei aur maqTeA kii khoobiyaaN bayaan karte houe usko Mirza Ghalib ke mandarja-e-zeil sheAr se milaadiyaa jiska mazmoon bilkul mukhtalif hei:
"hazarouN khwaahisheN aisi ke her khwaahish pah dam nikle
bahut nikle mire armaan lekin phir bhii kam nikle"

Aapke iSraar aur Jawaid Badaayuni Saahib ke faisle ke b'ad koii gunjaayish nahiN reh jaati ke mazeed ifhaam o tafheem per zour diyaa jaaye. Waise mera apnaa nazariyah bhi yehi hei keh Shayer/Shaayerah ko pooraa poora Haq houtaa hei ke uska sheAr jaisaa bhii hei usko apni daanist meiN bahut hii munaasib samjhe.

Nateejeh ke Taur per maiN aap se muAafi kaa khwaastgar hooN ke aapko tasalli bakhsh javaab nah de sakaa kiyuNkeh mera zaavia-e-nigaah aapki fikr-e-Aaali-muqaam se mukhtalif thaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
Image
Post Reply