Page 2 of 3
Posted: Sun Jun 12, 2005 3:16 pm
by najma
Tapak hi paRte haiN aaNkhoN se khoon ke Qatre
jigar se paar jo nok-e-sinaaN guzartii hay
najma
Posted: Sun Jun 12, 2005 9:15 pm
by Anmol
TumheN kya, aaj bhi koi agar milne nahiN aya
Ye baazi hum ne haari hay, sitaro tum to so jao
Posted: Sun Jun 12, 2005 11:43 pm
by najma
Tehnii pe kisii shajar ki tanhaa
bulbul tha koee udaas baiTha
Posted: Mon Jun 13, 2005 12:18 am
by najma
fil-badee,
Tal gaee har balaa mire sir se
jane kis ki duaeiN kaam aaeeN
najma
Posted: Mon Jun 13, 2005 3:13 am
by shahnaz zafar
tum apney shehr key logon se pooch ker dekho
meri tarahn koii tanha dikhaii deyta hai
Posted: Mon Jun 13, 2005 9:43 am
by najma
shahnaz zafar wrote:tum apney shehr key logon se pooch ker dekho
meri tarahn koii tanha dikhaii deyta hai
fil-badee,
TimTimata hua diyaa lekar
log nukle haiN DhoonDne mujhko
najma
plz note!
ash,aar harf-e-tay for ''tum'' se naheeN
bal-k
TAY fo ''Timatar'' se dijiye
shukriya
Posted: Tue Jun 14, 2005 3:14 am
by shahnaz zafar
teri palkon ke ghaney saaye ka mousam khoob hai
dhoop mai nikla to sar par shamiyaney lag gaye
Posted: Tue Jun 14, 2005 8:15 pm
by najma
shahnaz zafar wrote:teri palkon ke ghaney saaye ka mousam khoob hai
dhoop mai nikla to sar par shamiyaney lag gaye
plz note!
ash,aar harf-e-tay for ''tum'' se naheeN
bal-k
TAY fo ''Timatar'' se dijiye
shukriya
"te"
Posted: Fri Jun 17, 2005 7:58 am
by Abdullah Nazir
Taal dete hou her ik baar hansii meiN mujhko
jaise tum bhool gaye wadah nibhaane ki qasam
Nazir.
Posted: Fri Jun 17, 2005 8:00 am
by najma
plz note!
ash,aar harf-e-tay for ''tum'' se naheeN
bal-k
TAY fo ''Timatar'' se dijiye
shukriya
Posted: Fri Jan 06, 2006 10:13 pm
by ummassad
thokrain mar ke mahfil se uthate hain mujhe
a0r ak paon se daman bhi daba rakha hai
Posted: Fri Jan 06, 2006 10:17 pm
by ummassad
toot gya jab dil tuu phir sans ka nagma kye mane
goong rahi hai kyun shanai jab koi baarat nahi
"te"
Posted: Sat Mar 04, 2006 4:11 am
by Abdullah Nazir
tairnaa seekhnaa chaahooN bhi tou kaise seekhuN
kardiyaa maujaoN ne ToofaaN ke Hawaale mujhko.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Mar 10, 2006 9:56 pm
by ummassad
tuu ne yeh kya jazab kiya mujhko bhi faash kerdiya
main hi tu ak raaz tha seena.e. kayenath main
"te"
Posted: Sun Mar 19, 2006 5:34 am
by Abdullah Nazir
tum ne kahaa thaa douge mujhe zindagi nayi
badle nah mere shaam o saHar, der kiyuN houi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.