Page 2 of 3

"Hai"

Posted: Sun Aug 07, 2005 3:47 am
by Abdullah Nazir



Hasrat-e-dil mujhe le aayi tiri meHfil meiN

tuu bataa Haal-e-dil-e-zaar kahooN yaa nah kahooN.



Nazir.


Posted: Sun Aug 07, 2005 7:34 am
by Shummu
hasraten raakh ho gai lekin
aag ab bhi kahin dabi se hey

"Hai"

Posted: Wed Aug 10, 2005 3:35 am
by Abdullah Nazir



Haal-e-dil sunke wo kahne lgay ab chup bhii raho

kyaa muHabbat meiN tumheN itni pareshaani hei.



Nazir.


Posted: Wed Aug 10, 2005 6:32 am
by zmufti
had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir
nikalii hai juganuo.n kii bhaTakatii sipaah phir

Posted: Wed Aug 10, 2005 9:14 am
by Shummu
bahut shukriya aap sab ka itne achche achche ashaar bhejne ke liye.... next harf hai 'KHE' jo sticky kar diya hai :)

Posted: Fri Jan 06, 2006 10:26 pm
by ummassad
hadise kye kye tumhari berukhi se ho gye
saari duniya keliye hum ajnabi se ho jai

Posted: Sat Jan 07, 2006 7:06 pm
by ummassad
hadise kye kye tumhare berukhi se hogye
sari dunya keliye hum ajnabi se ho gye

Posted: Sat Jan 07, 2006 7:12 pm
by ummassad
hyrat se takraha hai jahan-e-wafa mujhe
tumne banadiya hai mohobat main kye mujhe

Posted: Tue Jan 10, 2006 8:43 pm
by ummassad
hararat hai balaki bada-e- tahzeeb-e- haazir main
bhadhak uttha bhabuka banke muslim ka tan-e- khaki

Hai

Posted: Tue Feb 28, 2006 8:09 pm
by Abdullah Nazir



Hijaab-e-jalva-e-jaanaaN kahaaN rahaa Nazir

nazar ke saamne wo pardah-daar hei kab se.



Nazir.