Page 2 of 2

Re: Bahut khoob

Posted: Wed Aug 31, 2005 1:47 pm
by Mahtab Qadr
Mohatramee Abdullah bhai sahib
salaam e masnoon
Hamesha ki tarah aap se sanad pakar ghazal moatabar ho gai. is aitebaar ke lye behad mashkoor hoN. aapne apni guN nagooN masroofiat ke bawajood is ghazal par nazr e eltefaat se nawaaza jiske lye mai aapka mamnoon o mashkoor hoN.
niazmand
Mahtab Qadr
WEBMASTER wrote:
Janab
Mahtab Qadr Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Hameshah apne doust aHbaab ki ghazlaoN per is liye takheer houjaati hei ke in ke kalaam per phir kisi waqt kuch likhkhaa jaasaktaa hei. Yehi Haalat meri apni ghazal per tabsirah karne waalaoN ko javaab dene meiN bhii houti hei.

Aaj dekhaa tou aapki ghazal achche gehre rangaoN meiN nazar aayi. MaiN ne soucha ke ab mazeed takheer nahiN houni chaahiye.

Aapki ghazal mujhe beHad pasand aayi. Saare ke saare ashAar bahut hii achche heiN.

Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaaiye.
[color\brown]

Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/color]

Posted: Wed Aug 31, 2005 1:53 pm
by Mahtab Qadr
Anmol Sahiba
aapne munfarid zameen aur do ahm sheroN ki daad dekar behad khushi bakhsi . aap ke mashkoor hoN.
shukria
Mahtab Qadr
Anmol wrote:Adaab, Mehtaab Sahib!

Hamesha ki tarah munfarid zameen le kar aaye heN aap. Ye ghazal bhi Khoob rahi, Khusoosi taur per matla aur sher#2 behad pasand aaye, DheroN daad pesh hay.