Page 2 of 2

Posted: Fri Oct 07, 2005 7:54 pm
by Shummu
hassan_bashir wrote:
Shummu wrote:
hassan_bashir wrote:duniyaa maiN eik shakhs bhi aisaa milaa nahiN
jis se jahaaN koee huee ho khataa nahin

'Daal' se ashaar bhejne hain.... 'daal' se nahi...
maazrat Shumaila jee .. maine shaayad ghaur se nahiN paRha .. :grin:


duaaN ban ke fazaa maiN uRaa diyaa mujh ko
maiN jal rahaa tha kisi ne bujhaa diyaa mujh ko


ab Theek hai ?? :lol:
ab bhi nahi :cry:


D se ...Dibba wala D ...got it??

Posted: Fri Oct 07, 2005 8:00 pm
by Shummu
Duubte Duubte kashtii ko ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

Posted: Sat Oct 08, 2005 2:08 am
by hassan_bashir
Shummu wrote:
hassan_bashir wrote:
Shummu wrote:
'Daal' se ashaar bhejne hain.... 'daal' se nahi...
maazrat Shumaila jee .. maine shaayad ghaur se nahiN paRha .. :grin:


duaaN ban ke fazaa maiN uRaa diyaa mujh ko
maiN jal rahaa tha kisi ne bujhaa diyaa mujh ko


ab Theek hai ?? :lol:
ab bhi nahi :cry:


D se ...Dibba wala D ...got it??
:shock: :shock: :shock:


leejiye ab samjhaa...... :grin:

Daalaa hai be-khudee ne ajab raah par mujhe
aaNkheN haiN aur kuch nahiN aataa nazar mujhe


yaqeenan ab Theek hai :-)

Posted: Wed Dec 28, 2005 4:42 pm
by ummassad
darey gum se jo gum utthane se pahley
vo doobey talaatum ke aaney se pahley

Posted: Wed Dec 28, 2005 4:49 pm
by ummassad
derty hain chasham o.zulf.o.nigaha.o.ada se hum
her dam panaha maangty hain her balaa se hum

"Daal"

Posted: Sun Mar 19, 2006 6:16 am
by Abdullah Nazir



Doobkar mad bhari aankhaoN meiN tiri souchtaa hooN

aa sakunga maiN kabhi lauT ke aansoo ki TaraH.


Shaayher: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Mar 19, 2006 9:59 am
by zmufti
dil-e-Khastaa jo lahuu ho gayaa to bhalaa huaa ki kahaa.N talak
kabhii soz-e-siinaa se daaG thaa kabhuu dard-o-Gam se fiGaar thaa

Daal

Posted: Tue May 09, 2006 1:09 pm
by Abdullah Nazir



Dhal gayi shaam faZaaoN meiN baRhi taareeki

chaand baadal meiN chupaa meHv-e-tamaasaa hougaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.

[color-brown'
Nazir.

[/color]