Page 2 of 2

Posted: Tue Dec 27, 2005 7:39 pm
by jawaid badauni

Azeezi Mahtab SaHab,
Aadaab

Aap ek arce bAAd dikhaaii diye woh bhi apni bahu ke saath. Bhayee umdah Nazm hai. Bahut pasaNd aaii. Daad qubool farmaiiye. Ummid hai aaindah bhi aise hi mufarid mazamin per likhte raheNge.

MuKhliS
Jawaid

Janab Shukria

Posted: Tue Dec 27, 2005 10:45 pm
by Mahtab Qadr
Jawaid sahib
Aadaab
Aaapki is Daad o tahseen ke lye mashkoor hoN. abhi to beta jawan hone laga hai, bahoo ka marhala abhi baqi hai huzoor ;). baharhaal aik mauzoo dia gaya tha jahaiz waghaira ke khilaaf kuch likhne ka ,tab mere zahn mai ye nazm ne janam lia. shukria
inshallah aate rahne ki koshsish kar ta rahta hoN>
mukhlis
Mahtab Qadr
jawaid badauni wrote:

Azeezi Mahtab SaHab,
Aadaab

Aap ek arce bAAd dikhaaii diye woh bhi apni bahu ke saath. Bhayee umdah Nazm hai. Bahut pasaNd aaii. Daad qubool farmaiiye. Ummid hai aaindah bhi aise hi mufarid mazamin per likhte raheNge.

MuKhliS
Jawaid

Re: AIK NAZM "BAHOO"

Posted: Thu Jan 05, 2006 8:29 am
by Ehsan Raza
ANKHON KE NOOR -CHASHME BAD DOOR
BAHOOT KHOOBSOORAT
WAQAI IS MAZMOON KI SHAIKHEEN KO ZAROORAT THI
AOR APKI KHALAM KARDA BAHU BETE KI AHMIYAT NEAPKE TAROOF KO MAZEED BALANDI PER PAHUNCHA DIYA HAI

MAAZRAT KE SAATH NAZAM KE AKHRI MISRE MEN MAULA
TASHDEED KE SAATH ISTEMAL HOTA HAI AISA KARNE PER MISRA WAZAN SE GIRTA HAI
KHOOBSOORAT NAZAM MEN KOI DAGH NAHIN HONA CHAHYE
(ARSH BHI KANP KANP JAATA HAI)
(JAB KISI KO TALAQ HOTI HAI)

Re: AIK NAZM "BAHOO"

Posted: Sun Jan 08, 2006 2:14 pm
by Mahtab Qadr
Ehsan Raza sahib
Behad mashkoor hoN aapne daad o tahseense nawaaza. aapki raye bahut qeemti hai mere lye kioNke mukhlis dost poori eimandaari se daad dete haiN isi lye aapne aik misre mai maula ke silsile mai nishandahi ki.
darasl mai ne "arsh e maula " mai meem wau laam (kharhi alif ke sath) aur barhi yaa likha hai jo urdu script mai bhi dekha jasakta hai aur yahaN maula par kahiN tashdeed mai ne nahi parhi , agar aap ka maqsood us maulla se hai jo meem ain laam aur barhi ya se hoti hai to aapki baad so fisad durust . magar mai ne maula bandha hai maulla nahi. umeed ke baat pahoNch gai hogi agar mai phir bhi mughalete mai hoN to zaroor apni raye se nawaaziye mashkoor o mamnoon hoNga
aapka mukhlis
Mahtab Qadr
Ehsan Raza wrote:ANKHON KE NOOR -CHASHME BAD DOOR